ASL AL-DEEN


ASL AL-DEEN (Part 01)

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Allaah ki madad se in posts ki series mein hamaara mawzoo' "Asl Al-Deen" ke muta'lliq hoga jiska hum tazkirah karenge aur ye mawzoo' bohat hi ahem tareen hai kyunke kisi ka Eemaan isko poora kiye baghair durust hi nahin hai.

DEEN KI BUNYAAD KYA HAI ?

أصل الدين: هو الإقرار بالله، وعبادته سبحانه وحده، وترك عبادة ما سواه، والبراءة ممن أشرك به سبحانه، أربعة أمور

Asl Al-Deen Chaar umoor par mushtamil hai:

1. Allaah par Eemaan ka iqraar karna,


2. Akele usi ki ibaadat karna,

3. Doosron ki ibaadat ko tark kardena,

4. Aur Jo us Subhaanahu ka Shareek tehraate hain un Mushrkieen se baraa'at karna.

٭ قال شيخ الإسلام ابن تيمية -رحمه الله: "وإبراهيم وموسى قاما بأصل الدين، الذي هو الإقرار بالله وعبادته وحده لا شريك له، ومخاصمة من كفر بالله"، انتهى كلامه رحمه الله

• Shaykhul-Islaam Ibn Taymiyyah (Rahimahullaah) ne farmaaya:

"Ibraaheem aur Moosaa (عليهما السلام) ne Asl Al-Deen qaayem kiya, jo ke Allaah par Eemaan ka iqraar karna hai, Allaah akele ki ibaadat karna hai jiska koi Shareek nahin aur jisne bhi Allaah ka Kufr (inkaar) kiya unki mukhaalifat karna hai." (1)

٭ والبراءة ممن أشرك به سبحانه: هو ما عبر عنه شيخ الإسلام ابن تيمية -رحمه الله- هنا بقوله: ومخاصمة من كفر بالله، فكلا العبارتين معناهما واحد، مخاصمة المشركين، والبراءة منهم

• "..Aur Jo us (Subhaanahu) ka Shareek tehraate hain un Mushrkieen se baraa'at karna." Shaykhul-Islaam Ibn Taymiyyah ne yahaan iski ta'beer aisey hi bayaan kee ke "...aur jisne bhi Allaah ka Kufr (inkaar) kiya unki mukhaalifat karna" Yeh dono ibaaraton ka matlab ek hi hai: Mushrikeen ki mukhaalifat karna aur unse Baraa'at karna.

٭ فقد قال شيخ الإسلام ابن تيمية -رحمه الله-: "وأصل الدين أن يكون الحب لله، والبغض لله، والموالاة لله، والمعاداة لله، والعبادة لله" انتهى كلامه

• Shaykhul-Islaam Ibn Taymiyyah (Rahimahullaah) ne farmaaya:

"Aur Asl Al-Deen ye hai ke Allaah ki khaatir Muhabbat kee jaaye aur usi ki khaatir Bughz (Nafrat) rakha jaaye aur usi ki khaatir Muwaalaat kiya jaaye aur usi ke khaatir Adaawat (dushmani) kee jaaye aur us (akele) Allaah ki hi ibaadat kee jaaye." (2)

فنقول بناء على ما سبق: لو أن شخصا أتى بثلاثة أمور من أصل الدين، ولم يأت بالرابع، کترك عبادة ماسوی الله تعالى، أو ترك البراءة ممن أشرك به سبحانه، هل يصح إسلامه ؟ الجواب: لا، فماذا يسمى؟ - يسمي: مشركا كافرا

• Chunaanche oopar mazkoorah aqwaal ki bina par hum ye kehte hain ke: Agar koi Asl Al-Deen ke teen umoor ke saath aayega ya'ni teen umoor par amal karega magar chauthi cheez nahin laayega ya'ni us par Amal nahin karega, misaal ke taur par "Doosron ki ibaadat ke kiye Allaah ki ibaadat ko tark kardey" ya "Jo Allaah ka shareek tehraane waale Mushrikeen hai unse Baraa'at nahin karey" toh kya uska Islaam durust hai ? BILKUL NAHIN.

• Phir usey kya kaha jaayega ? Usey Mushrik Kaafir kaha jaayega.

٭ وهذا القدر الذي هو أصل الدين لا يُعذر من لم يأتِ به أحدٌ بلغ حد التكليف، ولو كان جاهلاً، سواءً بلغته الحجة الرسالية أو لم تبلغه، أو بلفظ آخر سواء جاءه رسول أو لم يأتهِ

• Kyunke ye cheezen Asl Al-Deen mein se hai jin mein ek mukallaf shakhs ko jahaalat ka koi uzr nahin hai agarche woh Jaahil ho, is mein koi farq nahin hai ke uske paas Risaalat ke paighaam ki hujjat pohnchi ho ya nahin pohnchi ho, doosre alfaazon mein: Agarche uske paas koi Rasool aaya ho ya nahin.

٭ قال إمام المفسرين ابن جرير الطبري - رحمه الله - بعد ذكره لشيء من أصل الدين، قال: لا يعذر بالجهل به أحد بلغ حد التكليف، كان ممن آتاه من الله تعالى رسول، أو لم يأتو رسول، عاين من الخلق غيره، أو لم يعاين أحدا سوى نفسه

ImIaam Al-Mufassir Ibn Jareer Al-Tabari (Rahimahullaah) ne Asl Al-Deen ke mas'aley ko zikr karne ke ba'd farmaaya:

"Takleef ki umr (ya'ni aisa mukallaf shakhs jis par Islaam ke tamaam Faraaez par amal karna waajib hojaata hai woh umr) ko pohanchne ke ba'd us (shakhs) se jahaalat ka koi bhi uzr qubool nahin kiya jaayega, agarche woh un logon mein se ho jinke paas Allaah ki taraf se koi Rasool aaya ho ya nahin, chaahe us ne apne khud ke alaawah doosron ko dekha ho ya nahin." (3)

٭ لم يعاين أحدا سوى نفسه : يعني لم ير إلا نفسه، كمن كان في جزيرة نائية ولم ير أحدا من الناس سوى نفسه

"Apne khud ke alaawah doosron ko nahin dekha ho" ka matlab ye hai ke Woh apne khud ke alaawah kisi ko bhi nahin dekha, jaisa ke ek shakhs door daraaz koi jazeere mein rehne waala ho aur usey doosra apne aap ke alaawah koi aur aadmi dikhaayi na diya ho.

٭ نقول فإذا جاءه رسول دخل في أصل الدين ، الإيمان به وبما جاء به على وجه الإجمال ، إذا الإيمان بمحمد صلى الله عليه وسلم منذ بعثته إلى الآن، وبما جاء به على وجه الإجمال، يدخل في أصل الدين، لأن أصل الدين هو الشهادتان

• Hum kehte hain: Agar koi Rasool aaye tab unpar aur jo kuch woh lekar aaye uspar Eemaan laana Asl Al-Deen mein daakhil hota hai. Jaisa ke Muhammad (ﷺ) par jab woh aaye tab se lekar ab tak aur jo kuch unko dekar bheja gaya hai un sab par Eemaan laana Asl Al-Deen mein daakhil hota hai. Kyunke Asl Al-Deen Shahaadatyn (Allaah aur uske Rasool ki gawaahi dene) ko kehte hain.

٭ قال شيخ الإسلام أن تيمية - رحمه الله -: "أصل الدين: شهادة أن لا إله إلا الله، وشهادة أن محمدا عبده ورسوله"، انتهى كلامه رحمه الله

• Shaykhul-Islaam Ibn Taymiyyah (Rahimahullaah) ne kaha:

"Asl Al-Deen ye hai ke gawaahi dee jaaye ke Allaah ke alaawah koi Ma'bood e barhaqq (Sachcha Ma'bood) nahin hai aur ye gawaahi dee jaaye ke Muhammad (ﷺ) uske Bandey aur Rasool hain." (4)

ولله الحمد والمنة و أعلم

《 Mutarjim: Abd Al Mudhill Hafizahullah 》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
_____________
References:
(1) Majmoo' Al-Fataawaa, Jild: 6, Pg: 203.
(2) Minhaaj Al-Sunnah Al-Nabawiyyah, Jild: 5, Pg: 255.
(3) Al-Tabseer Fee Ma'aalam Al-Deen, Pg: 126.

(4) Majmoo' Al-Fataawaa, Jild: 1, Pg: 10.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0

Similar threads


Top