SIRF US HAQ PAR AMAL KA DAWA JO PAAS HAI


SIRF US HAQ PAR AMAL KA DAWA JO PAAS HAI
Tahree : SHAIK-UL-ISLAM MUHAMMED BIN ABDUL WAHHAB rahimahullah
Tarjumah : MOLANA MUKHTAR AHMED NADWI hafizahullah

Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Ahal jahliat ka daawa tha ke hum sirf is haq par amal karen ge jo hamaray paas baap dada ke waqt se mojood hai. Jaisa ke ALLAH TA'ALA ne farmaya :

وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ آمِنُوا بِمَا أَنزَلَ اللَّـهُ قَالُوا نُؤْمِنُ بِمَا أُنزِلَ عَلَيْنَا وَيَكْفُرُونَ بِمَا وَرَاءَهُ وَهُوَ الْحَقُّ مُصَدِّقًا لِّمَا مَعَهُمْ قُلْ فَلِمَ تَقْتُلُونَ أَنبِيَاءَ اللَّـهِ مِن قَبْلُ إِن كُنتُم مُّؤْمِنِينَ
"Aur jab un se kaha jata hai ke jo (kitaab)ALLAH ne (ab) nazil farmai hai, is ko maanu, to kehte hain ke jo kitaab hum par (pehlay) nazil ho chuki hai, hum to isi ko mante hain, (yani) ya is ke siwa kisi aur(kitaab) ko nahi mantay, halaank woh(sara sar) sachhi hai aur jo un ki(aasmani) kitaab hai, is ki bhi tasdeeq karti hai, (un se) keh do ke agar tum sahib imaan hote to ALLAH ke payghambaroon ko pehle hi kyun qatal kya karte."(Surah al-Baqarah:91)

Lafz " عَلَيْنَاhum par" se moraad ya to bani Israel ke anbiya hain, is se un ka maqsad yeh hai ke chunke Quran bani Israel ke kisi nabi par nahi utra is liye hum is par eemaan nahi layeinge, zahir hai ke yeh un ke hasad o zulm ki daleel hai. Ya phir ”hum par“ se moraad khud un ki zaat hai yani khud inhen jin ehkaam ka paband kya jaye isi par woh amal karenge, lekin Quran ke is jawab ke samnay inhen chup hona pada ke jo ehkaam khud tumahre bani Israeli anbiya par utre un ko bhi tum nahi mane balke ulte khud un anbiya ko qatal kar dala, is par nidamat ke siwa un ke paas koi jawab nahi tha.
 

Similar threads


Top