DOST KAUN HOTA HAI AUR HAMEIN KIS SE DOSTI KARNE KA HUKM DIYA GAYA HAI?


DOST KAUN HOTA HAI AUR HAMEIN KIS SE DOSTI KARNE KA HUKM DIYA GAYA HAI?

بسم الله الرحمن الرحيم
• Musalmaanon ko Allaah ke dushman Kuffaar wa Mushrikeen ke saath dosti karne se mana' kiya gaya hai jaisa ke Faraameen e ILaahi hai:

( یَـٰۤأَیُّهَا ٱلَّذِینَ ءَامَنُوا۟ لَا تَتَّخِذُوا۟ عَدُوِّی وَعَدُوَّكُمۡ أَوۡلِیَاۤءَ تُلۡقُونَ إِلَیۡهِم بِٱلۡمَوَدَّةِ ) إلى أن قال : ( وَمَن یَفۡعَلۡهُ مِنكُمۡ فَقَدۡ ضَلَّ سَوَاۤءَ ٱلسَّبِیلِ )

"Mu'mino! Mere aur apne dushmanon ko dost na banaao tum toh unko dosti ke paighaam bhejte ho." Phir silsilah e kalaam jaari rakhte hue farmaaya: "Aur jo koi tum mein se aisa karega woh seedhe raste se bhatak gaya." [1]

( یٰۤاَیُّهَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوا الۡکٰفِرِیۡنَ اَوۡلِیَآءَ مِنۡ دُوۡنِ الۡمُؤۡمِنِیۡنَؕ اَتُرِیۡدُوۡنَ اَنۡ تَجۡعَلُوۡا لِلّٰہِ عَلَیۡکُمۡ سُلۡطٰنًا مُّبِیۡنًا )

"Aye Ahl e Eemaan! Mu'minon ke siwa Kaafiron ko dost na banaao, kya tum chaahte ho ke Allaah ko apne khilaaf (kaarwaayi ke liye) khuli hujjat deydo?"
[2]

( یَـٰۤأَیُّهَا ٱلَّذِینَ ءَامَنُوا۟ لَا تَتَّخِذُوا۟ ٱلۡیَهُودَ وَٱلنَّصَـٰرَىٰۤ أَوۡلِیَاۤءَۘ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلِیَاۤءُ بَعۡضࣲۚ وَمَن یَتَوَلَّهُم مِّنكُمۡ فَإِنَّهُۥ مِنۡهُمۡ إِنَّ ٱللَّهَ لَا یَهۡدِی ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِینَ )

"Aye Eemaan waalo! Tum Yahood wa Nasaaraa ko dost na banaao, ye toh aapas mein hi ek doosre ke dost hain. Tum mein se jo bhi un mein se kisi se dosti karey woh beshak unhi mein se hai, Zaalimon ko Allaah (تعالى) Hidaayat nahin deta." [3]

• Aur Rasool Allaah (ﷺ) ne bhi isi cheez se khabardaar kiya. Aap (ﷺ) ne farmaaya:

الرَّجُلُ عَلَى دِينِ خَلِيلِهِ فَلْيَنْظُرْ أَحَدُكُمْ مَنْ يُخَالِلُ

"Aadmi apne Dost ke Deen par hota hai, Lihaaza tum mein se har Shakhs ko ye dekhna chaahiye ke woh kis se Dosti kar raha hai."
[4]

WAZAAHAT:
'Aam usool hai ke Insaan un logon ki Aadatein aur Aadaab ki pairwi wa paabandi karta jis se woh milta julta hai, jinke saath uthta baith'ta aur khaata peeta hai. Lihaaza, usey achchi tarah se Naseehat kee gayi hai ke aqalmandi ke saath apne Doston aur Saathiyon ko chuney, Neyk Musalmaanon ki sohbat mein rahey, unki sohbat mein rahega toh 'Aadatein bhi Neyk seekhega. Kaafir wa Mushrik ke saath rahega toh unki hi 'Aadatein seekhega aur aahistah aahistah unke hi Deen par chala jaayega jaisa ke Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya: "Aadmi apne Dost ke Deen par hota hai" kyunke Aadmi jis se milta julta hai, jis se Dosti karta hai, usi se toh jaana jaata hai.

HAMEIN KIS SE DOSTI KARNE KA HUKM DIYA GAYA HAI?

• Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ne farmaaya:

لَا تُصَاحِبْ إِلَّا مُؤْمِنًا وَلَا يَأْكُلْ طَعَامَكَ إِلَّا تَقِيٌّ

"Mumin ke siwa kisi ko saathi na banaao, aur tumhaara khaana siwaaye parhezgaar ke koi aur na khaaye." [5]

WAZAAHAT: Is Hadees mein Kuffaar Wa Mushrikeen ke saath dosti, meyl jol, paas uthna baithna, sangat aur saath se mana' kiya gaya hai kyunke unki sohbat Deen ke liye nuqsaandah hai aur isi liye bhi ke woh Allaah ke dushman hain aur jo Allaah ke dushman hain woh Musalmaanon ke bhi dushman hain.

KUFFAAR WA MUSHRIKEEN, MUSALMAANON KE DOST NAHIN
• Farmaan e ILaahi hai:

( إِنَّمَا وَلِیُّكُمُ ٱللَّهُ وَرَسُولُهُۥ وَٱلَّذِینَ ءَامَنُوا۟ )

"(Musalmaano)! Tumhaara dost khud Allaah hai aur Uska Rasool hai aur Eemaan waale hain." [6]

• Allaah hamein Uske doston se dosti aur Uske dushmanon se dushmani karne ki tawfeeq ataa farmaaye.

آمين يا المنّان بديع السموات والأرض يا ذا الجلال والإكرام يا حيّ يا قيّوم ، ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)

_________

References:


[1] Soorah No. 60, Al-Mumtahinah, Aayah: 1.

[2] Soorah No. 4, Al-Nisaa, Aayah: 144.

[3] Soorah No. 5, Al-Maa'idah, Aayah: 51.

[4] Sunan Abu Daawood, Hadees [Hasan]: 4833.

[5] Sunan Abu Daawood, Hadees: [Saheeh]: 4832.

[6] Soorah No. 5, Al-Maa'idah, Aayah: 55.
 
Top