Eesayi tewhar (Christmas wagera) ke liye tayyar kardeh khana khaane ka Hukm


Staff Member

Member
Staff member
Eesayi tewhar (Christmas wagera) ke liye tayyar kardeh khana khaane ka Hukm

Sawal:
Eesayi tewharon ke liye tayyar kardah khana khaane ka Hukm kya hai ? Aur Esa Alaihissalam ki milaad ke jashn mein Shirkat ki dawat qubool karne ka Hukm kya hai ?

Jawab:
Alhumdulillah:
Esaiyon ke ibadat wale tewharon maslan Christmas aur Nowrooz (Persian New Year) aur Mahrajaan (Persian festival) wagerah manana aur is mein Shirkat karna jaaiz nahi, aur isi tarha Rabiul awwal mein jo tewhar musalmano ne eid milaad un nabi aur Rajab mein Israa o meraaj ke naam se ijaad kar liya hai is ka jashn manana bhi jaiz nahi, aur na hi esaion aur mushrikon ke tewhar ke liye tayyar kardah khana khana jaaiz hai, aur un tewharon mein Shirkat ki dawat qubool karna bhi jaaiz nahi.

Kyunki is mein Shirkat ki dawat qubool karna inhen daad dene aur is jashn ko mananay ke mutradif hai, aur un ki is bidat ko sahih qarar dena hai, aur is mein Shirkat karna jaahil qisam ke logon ko dhoke mein daalne ka sabab aur un mein yeh aitqaad peda karne ka baais banay ga ke is jashn ko mananay mein koi harj nahi.
Wallahu Alam

Makhooz: Al-Lu’lu’ al-Makeen min Fataawaa Ibn e Jibreen, pg. 27
 
Top