Eid E Milaad Par Kiye Jane Wale Zabeeha Ka Gost Khana Kaisa Hai


Abdul Adil

Member
Eid E Milaad Par Kiye Jane Wale Zabeeha Ka Gost Khana Kaisa Hai ?

Saudi Arab Ke Mashoor Aalim E Deen Shaikh Saleh Al Fawzan Hafizahullah Se Sawaal Kiya gaya ki Eid E Milaad par kiye jane wale zabeeha ka gost khana kaisa Unhone kaha ki Haram hai.

SAWAL : Allah aap par ehsaan kare, kya Eid-e-milad un Nabi ﷺ par kiye jane wale zabeeha ka Ghost khana jayez hai ?

JAWAB : Nahi ye ek bid'aat hai, ye bid'aat hai, bid'aati eid hai aur joh bid'aati eid pe zabah kiya jaye woh haram hai.

kyunki {ye sab} sirf bid'aat ra'ej karne aur iski ta'zeem ke liye hai toh is din inke saath musharkat, inke khane mein aur zabeeha se khana haram hai kyunki ye inki hausla afzai e'aanat (yaani unke is amal mein unka saath dena) aur is bid'aati amal mein inka iqraar hai.

Video 👇🏼

 

Similar threads


Top