Umar Asari

Administrator
Staff member
Nabi, Rasool keh kar durood bhejna
❀Sawaal:❀
Assalamu alaikum,
Humein ye hukm hai ke Mohammed (SallAllahu Alaihi Wa Sallam) ka naam keh kar durood bhejna chahiye. Mera sawal ye hai ke Nabi, Rasool, Aap, Prophet kehne per bhi durood padhne ka usool laagu hoga?

Isi ke baare me dusra sawal.
Agar saamne wala kahe Nabi, Rasool, Aap, Prophet toh humein sunn kar durood padhna chahiye?

✿Jawaab:✿
Walaikum Assalam Warahmatullahi Wabarakatuhu

Jab bhi Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ka naam aaye ya aap ka tazkirah kiya jaaye to darood padhna chaahiye. ’Ali bin Abi Talib Radhiallahu Anhu kehte hain ke Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
الْبَخِيلُ الَّذِي مَنْ ذُكِرْتُ عِنْدَهُ فَلَمْ يُصَلِّ عَلَيَّ​
Tarjumah: Bakheel woh hai jis ke saamne mera zikr kiya jaaye aur phir bhi woh mujh par Salaat (durood) na bheje.
(Sunan Tirmizi: 3546)

Is Hadees mein «ذُكِرْتُ» ka lafz hai. Jo yeh bata raha hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka jab tazkirah ho to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam par darood bheja jaaye. Ab woh tazkirah kisi bhi lafz ke zariye ho sakta hai. Chaahe Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka naam liya jaaye ya phir “Aap” waghera ke alfaaz istemaal kiye jaayen. Agar Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam muraad hain to darood bheja jaayega.
والله أعلم بالصواب​
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
A Duayen aur Zikr o Azkaar 0

Similar threads


Top