Eid Miladunnabi Ke Mauqe Par Jhanda Lagane Wali Riwayat Ki Tahqeeq


Abdul Adil

Member
Rabi Ul Awwal Maheena shuru ho gya hai aur dikh bhi rha hai hamare barelvi bhai jhanda laga rhe hai , apne gharo ko saza rhe hai , apne village me jhanda lga rahe hai , bike wagairah me choti choti jhandiya laga rhe hai . Darasal hamare barelvi bhai ek riwayat pesh karte hai jhanda lagane ke silsile me aayiye wo riwayat dekh lete hai

Hamare ek barelvi aalim Sayed Sajid Pasha Qadri Sahab Ek riwayat banaya karte hai uska link ye hai 👇


Mashoor Barelvi Alim Sayyad Aminul Qadri Sahab bhi yahi riwayat bayan karte hai link 👇


ab ayiye us riwayat ki haqiqat dekhte hai jo qadri sahab ne bayan ki hai 👇

Hazrat Amina Farmati hai

"وَرَأَيْتُ ثَلَاثَ أَعْلَامٍ مَضْرُوبَاتٍ: عَلَمٌ فِي الْمَشْرِقِ , وَعَلَمٌ فِي الْمَغْرِبِ , وَعَلَمٌ عَلَى ظَهْرِ الْكَعْبَةِ"

Maine dekha teen jhande lagaye gye ek mashrik ( east ) me doosra magrib ( west ) me teesra kaabe ki chat par aur Rasoolullah ﷺ ki wiladat huyi.

(دلائل النبوة لأبي نعيم الأصبهاني : ج۱، ص۶۱۰ رقم ۵۵۵)

[khashaish Al Kubra Jild - 1 Safa - 121 ]



Tahqeeq :- Ye riwayat shakht Zaeef hai kyunki


1) iska raawi Yahya Bin Abdullah Al-Babalti Zaeef hai

Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne ise zaeef karar diya hai

[Takreeb ut Tahzeeb - 7585][Tazeeb ut Tahzeeb jild - 11 Safa Number - 240 Raqam number 393]


2) Yahya bin Abdullah Ke Ustaaz Abu Bakar Bin Abi Mariyam Zaeef raawi hai

ise Imam Ahmad Bin Hambal , Imam Abu Dawd , Imam Abu Hatim , Imam Abu Zarah Ar Raazi , Yahya Bin Mayeen , Imam Daraqutni , Imam Nasai Rahimahullah Alaihim Azmayeen aur iske alawa bhi Deegar Muhaddiseen ne zaeef wa mazrooh karar diya hai

dekhiye 👇

[Takreeb ut Tazheeb - 7974][ Tazeeb ut Tahzeeb jild - 12 Safa 28, Raqam Number 139]

Mazeed Jankari ke liye js video ko dekhe

Meelad un Nabi par Jandhay Lagane ki Riwayat ki Tahqeeq! Ghulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah link 👇


 
Top