Eid-ul-Azha par jokes kyun?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Eid-ul-Azha par jokes kyun?
Mere aziz bhaiyo aur behno..
Jaisa ke ham dekhte hain ke eid ul azha ki amad par, har taraf ham log eid ul azha par mabni jokes ke images, videos, massages waghera aapas me share karne lagte hain,
Jin me bakra, bakri, gosht wagera ko le kar mazaq kiya gaya hota hai.

Ham aap se ek sawal puchna chahenge! Ye sab kya hai? Ham apne hi haathon apne deen ka mazaq bana rahe hain? Kya hamara ye azeemush'shaan tehwar mazaq ke liye hai? Ke ham is par hasi mazaq karein? Wo bhi JHOOTHE, jis ka haqeeqat se door door tak waasta nahi! Kya hamein ye haqq hai?

Ye toh Ibrahim Alaihissalm ki sunnat hai..
Unki AZEEM QURBANI hai..

Woh toh apne lakht e jigar ko Allah ki raah mein qurban karne gaye the..
Aur apne is imtehan me dono kamyaab ho gaye, or Allah Taala ne dumba bheja jise zabah kiya gaya..

Kya ham apne aulad ke sath aisa karne ka soch bhi sakte hain??

Ye toh Allah Taala ka ham par ehsaan hai ki usne humein in do tehwaron se nawaza.. (Alhmdulillah)

Kya aap ne kisi gair muslim ko dekha hai, unke dino ka mazaq udate huwe?

Fir hum kyun?
Is azeem tehwar se jude huwe kisi bhi chiz ka jhootha mazaq banaye?

Allah Taala farmata hai:
Agar tum in (munafiqo) se pucho tum kya baatein kar rahe the? Wo fauran jawab denge: Bas ham toh zara hansi mazaq or dillagi kar rahe the, un se kaho: "KYA TUMHARI HANSI OR DILLAGI ALLAH, US KI AYAT OR USKE RASOOL KE SATH HI THI? ab ma'ziratein pesh na karo, imaan lane ke baad tumne kufr kiya hai agr hum ne tum me se ek giroh ko maaf kar bhi diya, toh dusre giroh ko saza zarur denge kyunki wo mujrim hain."
(Surah at-taubah: 65-66)

Allah humein amal ki taufeeq de.
Aameen
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Islaah e Mu’aashra 0
Umar Asari Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top