AURTON KI MUHABBAT EK FITNA HAI:


Ibnatu Ali

Member
AURATON KI MUHABBAT EK FITNA HAI:

Allah Tala Ka Irshad Hai
“Logon Ke Liye Nafsaani Khwahishon Ki Muhabbat Muzayyan Ki Gayi Hai”
(Surah Aal E Imram Ayat No. 14)

Is Ayat E MubaraKa Me Allah Tala Ne Bayan Farmaya Hai Ke Log Is Khatam Aur Fana Hone Wali Zindagi Ki Khwahisaat Se Dhoka Kha Jaate Hain,

Allah Tala Ne Un Khwahishaat Ki Muhabbat Unke Dilon Ki Zeenat (Khoobsoorti) Aur Unke Nafson Ki Chahat Bana Di Hai, Allah Tala Ne Un Khwahishaat Ko ShumaaR Karte Hue AuraT Ki Chahat Se Shuru’at Ki Hai,

Sahih Hadith Me Hai Ke Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
“Maine Apne Baad Mardon Ke Liye Auraton Se Zyada Zaroor Rasan Fitna Nahin Chhoda”
(Sahih Bukhari Hadith No. 4808, Sahih Muslim H.No 2740)

Lihaza Zaroori Hai Ke Unka Qurb (Saath) Jayez Shadi Ke Zariye Haasil Kiya Jaaye,

Allah Tala Ka Irshad Hai:
“Wahi Hai Jisne Tumhe Ek Jaan Se Paida Kiya Aur Usse Uska Joda (Pair) Banaya, Taki Wah Uski Taraf (Jaakar) Sukoon Haasil Kare”
(Surah Aaraaf Ayat No 189)

InSaan Ke Liye Paida Ki Gayi Raghbat Aur Shahwat Ke Wajood Ki Haqeeqi Sabab Ko Sukoon Aur Nek Khaandaan Ki Buniyad Rakh Kar Bachaana Zaroori Hai, Na Ye Ke Use Bilkul Aazaad Chhod Diya Jaaye Aur Jahan Chaahe Muntaqal Ho Jaaye, Kyonki Allah Tala Ne Har Nafs Ke Liye Jauz Aur Jode (Pair) Ko Sirf Isliye Paida Kiya Hai Ke Wah Usse Sukoon, Itminaan Aur Raahat Haasil Kare,
Lihaza Shahwat Ko Allah Tala Ko Ghussa Dilaane Waale Kamon Me Istemal Karna Insaan Ko Duniya Hi Ki Zindagi Me Bad’bakhti Ka Waaris Bana Deta Hai,

Jayez Aur Sharai Nikah Ke Saath Hi Zindagi Khush’hal Hoti Hai Aur Nek Aulaad Paida Hoti Hai,
Hz Anas (rTa) Se Marwi Hai Ke Nabi E Kareem (Sws) Ne Farmaya:
“Tumhari Is Duniya Se Sirf Auraton Aur Khushboo Ki Muhabbat Meri Dil Me Daal Di Gayi Hai Aur Meri Aankhon Ki Thandak Namaz Me Rakh Di GayI Hai "
(Sunan Nisai 7/61, Musnad Ahmad 3/128)

Aadmi Aur Aurat Ke Darmiyaan Kudrati Muhabbat Ka Mafhoom Wah Hota Hai Jo Sukoon Wa Itminaan Ka Zariya Ho, Aur Acche Khaandaan Ki Buniyaad Aur Nek Aulaad Ke Zariye Zameen Ki Aabaad’kari Ka Sabab Ho,

Jis Qadr Bahtareen Rahan Sahan Hoga, Uski Qadr Is Muhabbat Me Izaafa Hoga, Yahan Tak Ke Ye Muhabbat Is Qadr Mazboot Ho Jaayegi Ke Koi Aandhi Koi Toofaan Isko Uske Qadamon Se Nahin Hila Sakega Kyonki Iski Buniyaad Taqwa Aur Itteba Shariat Par Hai,

Aur Ek Wah Muhabbat Hoti Hai Jo Naujawano Aur Pukhta Umar Ke Zahni Na’baligho Ke Dimagon Me Parwarish Paati Hai, Ye Ek Be’fayeda Aur Khushi Se Khali Wahmi Muhabbat Hoti Hai,

Balke Ye Saraasar Bad’bakhti Aur Khasaara Hi Khasara Hoti Hai, Is Qism Ki Wahmi Aur Khyaali Muhabbat Ka Shikaar Hone Se Naujawan Ladke Ladkion Ko Bachna Chahiye Aur Zindagi Ki Haqeeqat Samjhte Hue Haqeeqi Zindagi Me Rahna Chahiye
 

Similar threads


Top