EMAAN ME KAMI BESHI KA MAS'ALAH


EMAAN ME KAMI BESHI KA MAS'ALAH
Tahreer: Muhaddis-ul-Asr Hafiz Zubair Ali Zai
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Kiya Emaan kam aur ziyadah hota hai?
Dalaayil se wazeh Karen(ek saayil ka sawaal)

JAWAAB:
Is me koi shak nahi ke emaan ziyadah bhi hota hai aur kam bhi hota hai.
ALLAH TA'TALA ka irshaad hai:
﴿فَاَمَّا الَّـذِيْنَ اٰمَنُـوْا فَزَادَتْـهُـمْ اِيْمَانًا﴾
(Surah al-Taubah:124)
"Be-shak jo log emaan laye unka emaan ziyadah hota hai."

Is mafhom ki digar aayaa keliye dekhiye Sahih Bukhari, kitabul Emaan, Baab:1, qabl Hadis No.8:
Syidina Abu Hurairah raziallahu-anhu se riwaayat hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
((الإِیمَانُ بِضْعٌ وَسِتُّونَ شُعْبَۃً، وَالحَیَاءُ شُعْبَۃٌ مِنَ الإِیمَانِ))
"Emaan ke saath se zaayed darje hain aur hayaa emaan ka (ek) darjah hai."(Sahih Bukhari:9. Sahih Muslim:35/57, Darussalm No.152)

Syidina Abu Umamah raziallahu-anhu bayaan karte hain ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
((مَنْ أَحَبَّ لِلّٰہِ، وَأَبْغَضَ لِلّٰہِ، وَأَعْطَی لِلّٰہِ، وَمَنَعَ لِلّٰہِ فَقَدِ اسْتَکْمَلَ الْإِیمَانَ))
"Jo shakhs ALLAH keliye mohabbat kare aur ALLAH ke liye bughz rakhe, ALLAH keliye (maal) de aur ALLAH keliye (hi maal) roke to is ka emaan mukammal hai."(Sunan Abi Dawod:4681, aur is ki sanad HASAN hai)

Umair Bin Habeeb Bin Khamashah raziallahu-anhu farmate hain:
))الْإِیمَانُ یَزِیدُ وَیَنْقُصُ((
"Emaan ziyadah hota hai aur kam hota hai."(kitab-ul-Emaan li-Ibn Abi shibah:14, aur is ki sanad SAHIH hai)

Is ke raawi Yazeed Bin Umair ko Imam Abdul Rahmaan Bin Mahdi rahimahullah ne"" me se qaraar diay hao. (Masail Muhammed Bin Usmaan Bin Abi Shibha:25 bahtahqiqi, muattalaf wa mukhtalif lil-Daar Qutanni:2/923)

Ahle Sunnat ka yahi mslak o mauqaf hai ke emaan ziyadah aur kam hota hai. (dekhiye: Al-Shariah lil-Imam Muhammed Bin Hasan al-Aajuri, page:116-118)

Yahi aqidah Imam Malik, Imam Shafayi aur Imam Ahmed Bin Hanbal waghairhum ka hai. rahimahumullahu ajmayeen

Jab ke Deobandio aur Barelviyo ki kitaab "Aqaayed Nsafiyah", page:92 me likha howa hai:
))وَلاَ إِیمَانُ لَایَزِیدُ وَلَایَنْقُصُ((
"Emaan nah ziyadah hota hai aur nah kam hota hai."


Deobandio ke nazdeek emaan faqt tasdeeq qalb ka naam hai. dekhiye:("Haqqani Aqaayed-ul-Islam", page:123, Tasneef: Abdul Haq Haqqani wa pasandfarmodah: Muhammed Qasim Nanotawi)

Imam Bukhari rahimahullah farmate hain:
))حَدَّثَنَا الھذیل بْنُ سُلَیْمَانَ أَبُو عِیسَی قَالَ: سَأَلْتُ الْأَوْزَاعِيَّ قُلْتُ: یَا أَبَا عَمْرٍو مَا تَقُولُ فِی رَفْعِ الْأَیْدِيْ مَعَ کُلِّ تَکْبِیرَۃٍ، وَہُوَ قَائِمٌ فِی الصَّلَاۃِ؟ قَالَ: ذَلِکَ الْأَمْرُ الْأَوَّلُ، وَسُئِلَ الْأَوْزَاعِيُّ وَأَنَا أَسْمَعُ عَنِ الْإِیمَانِ فَقَالَ: الْإِیمَانُ یَزِیدُ وَیَنْقُصُ۔ فَمَنْ زَعَمَ أَنَّ الْإِیمَانَ لَا یَزِیدُ وَلَا یَنْقُصُ فَہُوَ صَاحِبُ بِدْعَۃٍ فَاحْذَرُوہُ((
"Hame Huzail Bin Sulaimaan Abu Isaa ne hadis bayaan ki, kaha: mane Imam Auzaayee rahimahullah se pocha, maine kaha: Aye Abu Amro! aap har takbeer ke saath rafa yadain ke bare me kiya kahte hain, jabke aadmi namaaz me khada ho? unho ne kaha: ye pahle wali baat hai (baaz aslaaf ka is par amal hai) aur Imam Auzaayee se emaan ke bare me pocha gaya aur mai son rahatha to unho ne farmaya: emaan ziyadah bhi hota hai aur kam bhi hota hai, jo shakhs ye samajhta hai ke emaan ziyadah aur kam nahi hota woh shakhs bid'ati hai us se bacho."(Juz Raf-ul-Yadain, Ba-Tahqiqi:108, is ki sanad HASAN hai, Qalmi bikhat yadi, page:129)

Hazeel bin Sulaiman se muraad Fadeek Bin Sulaiman hain jin se Imam Bukhari waghairah ne riwaayat bayaan ki hai aur Imam Bukhari rahimahullah aam taur par apne nazdeek sirf siqqah hi se riwaayat karte hain, Hafiz Ibn Hibban rahiahullah ne bhi in ki tauseeq ki hai, lihaza Fadeek "mazkor" Hasan-ul-Hadis hain.

Imam Auzaayee(Mutawaffa : 157 Hijri) ke is fatwe se malom howa ke
jin logon ka ye aqidah hai ke emaan kam aur ziyadah nahi hota wo log bid'ati hai. A'azanallahu min Sharrihim

Asal Mazmoon ke liye dekhiye: Fatawa Ilmiyah al-Marof Tauzeehul Ahkaam:1/72-74, lil-Shaikh Hafiz Zubair Ali Zai rahimahullah


 

Similar threads


Top