Aurton ke huqooq ki tahreekaat ke naam


Umar Asari

Administrator
Staff member
Aurton ke huqooq ki tahreekaat ke naam

Romanised By: Umar Asari

Hum poore khuloos aur jazba e hamdardi ke saath tamaam aurton ke huqooq ki tahreekaat (movements) ko yeh dawat dete hain ke woh Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke laaye huwe tarz e mu'aashrat ka, aqeedah ke taur par na sahi, ek islaahi tehreek ke taur par hi sahi, sanjeedgi se mutala'a karein aur phir bataayein ke.......!
Betiyon ko zindah dafan karne ki be-raham aur zaalimaana rasm ka khaatma kis ne ka?
Ek ek aurat ke saath ek hi waqt mein dus dus mardon ke nikah ki jaahilaana rasm kis ne mitaayi?
Aurton ko mardon ke zulm aur jabr (zor, zabardasti) se bachaane ke liye la-mehdood (infinite) talaaqon ka zaalimaana qanoon kis ne mansookh ka?
Beti ki parwarish aur tarbiyat par jahannum ki aag se bachne ki khushkhabri Kaun le kar aaya?
Aurat ko taleem dene ki bunyaad kis ne daali?
Aurat ki mard ke saath fitri masaawaat (baraabri) ka alam (jhanda, flag) kis ne buland ka?
Aurat ko fikr e ma'aash (rozi roti ki fikr) se ba-izzat aur bawaqaar aazaadi kis ne dilaayi?
Bewah aur mutallaqa aurton se nikah kar ke aurat ko izzat aur azmat kis ne bakhshi?
Aurat ko iffat (paakdaamni) waali zindagi basar karne par jannat ki zamaanat kis ne di?
Aurat ki izzat o aabru se khelne waale mujrimon ko sangsaar (paththar se maar kar halaak) karne ka qanoon kis ne naafiz kiya?
Aurat ko maa ki hasiyat se, mard ke muqaable mein teen guna ziyadah achche sulook ka mustahiq kis ne qaraar diya?
Aurat ke budhaape ko ba-izzat aur pur-waqaar tahaffuz kis ne ata farmaaya?
Hum poori baseerat aur feham o shu'oor se yeh dawa karte hain ke.......!
Insaani tareekh mein paighambar e Islam, muhsin e insaaniyat Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam hi woh pehle aur aakhiri shakhs hain, jinhon ne kayenaat ki sab se mazloom aur sab se haqeer makhlooq.......aurat....... ko be raham, zaalim aur jaabir jinsi darindon ke changul se nikaal kar duniyaa e insaaniyat se muta'aaraf karaaya , aurat ke huqooq muta'ayyan kiye aur un ka tahaffuz farmaaya, use mua'ashre mein badi izzat aur waqaar ke saath ek qaabil e ehtraam maqam se nawaaza.
Haq baat yeh hai ke.......!
Aurat qayamat tak muhsin e insaaniyat Sallallahu Alaihi Wasallam ke ehsaanaat ke bojh se chutkaara haasil karna chaahe bhi to nahi ho sakti.

Shaikh Mohammad Iqbal Kelaani Saheb Ki Kitaab “Nikaah Ke Masaail” Se Maakhooz.
 

Similar threads


Top