Facebook istemaal kijiye magar ehtiyat se


Umar Asari

Administrator
Staff member
Facebook istemaal kijiye magar ehtiyat se

Romanised By: Umar Asari

Facebook english ke do lafzon se bana huwa hai:
Face
Book

Pehla word face yani chehra, yahan aap Allah Ta’ala ke is farmaan ko zaroor yaad rakhiye:
يَوْمَ تَبْيَضُّ وُجُوهٌ وَتَسْوَدُّ وُجُوهٌ​
Tarjumah: Jis din baaz chehre sufaid honge aur baaz siyah.
(Surah Aal e Imran, Surah No: 3 Ayat No: 106)

Jin ke chehre raushan honge dar-haqeeqat qiyamat ke din wahi log kamyaab honge aur yeh woh log honge jo duniya mein imaan laaye aur nek aamal kiye. Is ke bar’aks (opposite) kufr o shirk aur gunaah o ma’asi karne waalon ke chehre siyah aur kaale honge.
Ab aap ko ikhtiyar hai ke Facebook ka achcha ya ghalat istemaal kar ke aap kon se chehre waalon mein shaamil hona pasand karenge.

Doosra word book yani kitaab hai, yahan aap Allah Ta’ala ke is farmaan ko zaroor yaad rakhiye:
وَكُلَّ إِنْسَانٍ أَلْزَمْنَاهُ طَائِرَهُ فِي عُنُقِهِ وَنُخْرِجُ لَهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ كِتَابًا يَلْقَاهُ مَنْشُورًا¤ اقْرَأْ كِتَابَكَ كَفَى بِنَفْسِكَ الْيَوْمَ عَلَيْكَ حَسِيبًا​
Tarjumah: Hum ne har insaan ki buraayi bhalaayi ko us ke galey laga diya hai aur qiyamat ke din hum us ke saamne us ka nama e aamaal nikalenge jise woh apne upar khula huwa paa lega. (Us se kaha jaayega) Le! Khud hi apni kitaab aap padh le. Aaj to tu aap hi apna khud hisaab leney ko kaafi hai.
(Surah Al-Israa, Surah No: 17 Ayat No: 13-14)

Yani yahan facebook par jo kuch bhi aap kar rahe hain woh aap ke nama e aamaal mein likha jaa raha hai aur woh save ho raha hai, kal qiyamat ke din woh nama e aamaal aap ko diya jaayega aur kaha jaayega lijiye khud padhiye aap ne facebook par kya kuch kiya hai.

Khulasa e kalaam yeh ki agar aap chaahte hain ke qiyamat ke din aap ka face (chehra) raushan ho aur aap apni book (kitaab) yani nama e aamaal daayen haath mein paa kar khush hon to aap facebook ka achcha istemaal kijiye. Achchi cheezein post aur upload kijiye, kufriya o fisqiya, gunah o ma’siyat aur behayaai o buraayi ki cheezein post karne ya like aur share karne se parhez kijiye.

Allah Ta’ala hum sab ko neki karne aur buraayi se bachne ki taufeeq ata farmaye.
Aameen
 

Similar threads


Top