MUHADDISEEN KI BARTARI


MUHADDISEEN KI BARTARI
Tahreer: MUHADDIS HIND O PAAK IMAM-UL-ASR HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI rahimahullah
(Maamaamah AL-HADIS shumaarah No.60 page:2)

Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Imam Abu Haatim al-Raazi aur Imam Abu Zur'a al-Raazi waghairahuma ke sachche ustaad Abu Muhammed Abdullh Bin al-Hasan al-Hisinjaani rahimahullah ne farmaya:
((حدثني أبو زرعة، عن عبد الله بن الحسن الهسنجاني قال: كنت بمصر، فرأيت قاضياً لهم في المسجد الجامع، وأنا ممراض، فسمعت القاضي يقول: مساكين أصحاب الحديث لا يحسنون الفقه، فحبوت إليه، فقلت: اختلف أصحاب النبي صلى الله عليه وسلم في جراحات الرجال والنساء، فأي شيء قال علي بن أبي طالب، وأي شيء قال زيد بن ثابت وأي شيء قال عبد الله بن مسعود. فأفحم. فقلت له : زعمت أن أصحاب الحديث لا يحسنون الفقه، وأنا [من] أخس أصحاب الحديث سألتك عن هذه، فلم تحسنها، فكيف تنكر على قوم أنهم لا يحسنون شيئا، وأنت لا تحسنه))
"Main Misar(Egypt) tha to jaame Masjid mein un logon ka qaazi dekha, mein bahut ziyaadah bimaar tha, maine us qaazi ko ye kahte howe sonaa: "Ashab-ul-Hadis miskeen hain, woh achche tariqe se fiqah nahi jaante."

To main (bimaari ki wajah se zameen par) khud ko ghaseet te howe us (qaazi) ke paas gaya aur usey kaha: mardon aur araton ke zakhmon(ek dosre ko zakhmi karne ki diton) ke baare mein NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ke sahabah ka ikhtilaaf thaa.

Bataao ke (Syidina)Ali raziallahu-anhu ne (is mas'ale mein) kya farmaya tha?

Bataao ke (Syidina)Zaid Bin Saabit raziallahu-anhu ne (is mas'ale mein) kya farmaya tha?


Aur (Syidina)Abdullah Bin Masood raziallahu-anhu ne (is mas'ale mein) kya farmaya tha?

Woh (qaazi) hakka bakka, saaket aur laajawaab hokar chup hogaya to maine usey kaha: to ye dawa karta hai ke Ashab-ul-Hadis achche tariqe se fiqah nahi jaante(!) aur main Ashab-ul-Hadis mein se ek adnaa fard hon, main tujh se ye (ek) mas'alah poocha hai jise to achche tariqe se nahi jaanta lihaaza to kis tarah Ashab-ul-Hadis par tanqeed karta hai ke woh ke wo (fiqah ki) ek cheez (bhi) nahi jaante aur haal yeh hai ke to khud (kuch) nahi jaanta."

(Kitaab Al-Zuafaa li-Abi Zur'a al-Raazi:2/773,774. /wa Ashab-ul-Hadis lil-Khateeb:153, aur is ki sanad SAHIH hai)

Is sachche waqiye se saabit howa ke Ahle Hadis (Muhaddiseen-e-Kiraam) ko Ahl-ul-Raaye aur naam nihaad Fuqhaa par har daour mein bartari haasil rahi hai aur "FUQHA"


bane howe log jo kitaab o sunnat aur aasaar se bilkul kore aur jaahil hote hain, har dour mein muhaddiseene kiraam ke muqabile mein lajwaab aur shikast khoordah rahte hai.

Irshaad BAARI TA'ALA hai:
﴿الَّذِينَ آمَنُوا مِنْكُمْ وَالَّذِينَ أُوتُوا الْعِلْمَ دَرَجَاتٍ﴾
"Tum mein se jo eemaan waale hain aur jinko ilm ataa howa hai, ALLAH unke tarje buland karega."(Surah al-Mujadilah:11)


 

Similar threads


Top