Ibnatu Ali

Member
Facebook Ya Whatsapp Par Post Milnay Par Hum Kya Karen? Chand Tajaweez (Some Advices)

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari


(1) Agar Aapko Koi Post Behad Pasand Aaye To “Sub-han Allah” Keh Saktey Hain.

(2) Kisi Ney Mehnat Se Tayyar Karkay Koi Cheez Aap Ko Bheji Hai, Is Par “Jazakallahu Khaira” Kehna Chahiye.

(3) Kisi Post Ka Aakhri Jumla (Sentence) Duaiya (Dua Wala) Ho To Us Par “Aameen” Kehna Chahiye.

(4) Koi Ghamnaak Khabar Miley To “Innaa lillah Wainna Ilaihi Raji’oon: إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّآ إِلَيْهِ رَٰجِعُونَ” (Tarjuma: Hum To Khud Allah Ki Milkiyat Hain Or Hum Usi Ki Taraf Lautney Waley Hain) Kehna Chahiye.

(5) Koi Sawal Ho Aur Jawab Maloom Na Ho To “La-Adri: لا ادری” (Tarjuma: Mein Nahi Jaanta) Kehna Chahiye. Apne Zehan Sey Ulti Seedhi Baat Nahi Karni Chahiye.

(6) Agar Koi Khilaaf e Shariyat Baat Ho To Us Par Tambeeh (Aagaah) Karna Chahiye.

(7) Agar Post Samjh Mein Na Ayee To Wazahat Talab Karna Chahiye Agar Bina Daleel Post Ho To Daleel Talab (Mangna) Karna Chahiye.

(8) Agar Quran o Hadees Ki Baat Ho To Us Se Faida Uthana Chahiye, Uspar Amal Karna Or Agay Share Karna Chahiye, Agar References Na Hon To Forward Nahi Karna Chahiye.
 

Similar threads


Top