APNE SHUHAR KE ILAWA DOSRON KE SAAMNE HAATH PAAON KHULE RAKHNA


APNE SHUHAR KE ILAWA DOSRON KE SAAMNE HAATH PAAON KHULE RAKHNA
Tahreer : FAZILAT-USH-SHAIKH IBN JIBREEN hafizahullah

Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAL:
Kya mein apne khawand ke bhaiyon ke samnay sirf haath paon nangay kar sakti hon?
Aur kya khawand ki mojoodgi mein haal(hukm) mukhtalif ho sakta hai ?

JAWAB :
Aurat ke liye har ajnabi shakhs se mukammal parda karna zaroori hai woh Jaith ho ya Dewar, Behnoi ho ya Chacha-Zaad bhai ya koi aur khawand ki mojoodgi ya adam mojoodgi ka ek hi hukum hai. Un sab logon ki mojoodgi mein is ke liye jismani muhaasen aur deegar par fitan-e-a'aza badan maslan Chehra, Baazu, Pindli aur Seenah waghera ko chhupana zaroori hai. Jahan tak haath aur paon ka talluq hai to bzahir kisi zaroorat maslan kuch pakarna, koi cheez lena dena waghera ke paish-e-nazar inhen zahir karna jaaiz hai. Haan agar fitnah ka dar ho to inhen dhanpna zaroori ho ga. Is se maloom hota hai ke agar zarrar ka khauf la-haq ho to aurat ko ajnabi logon se ikhtilaat aur hum nasheeni se roka ja sakta hai. WALLAHU-A'ALAM
 

Top