Kitaab al-Radd ala Abi Hanifah


Kitaab al-Radd Ala Abi Hanifah
کتاب الردعلی ابی حنیفة

Muallif: (Imam Ibn Abi Shaybah) Abu Bakr Bin Abi Shaybah, Abdullah Bin Muhammed Bin Ibrahim Bin Usmaan Bin Khawasti Al-Abasi al-Kofi (159-235 Hijri) Rahimahullah

Muhaqqiq : Fazilat-ush-Shaikh Dr. Sa'ad Bin Nasir Bin Abdul-Aziz Abu Habeeb al-Shithri hafizahullah (advisor to the royal court of King Salman)
Published: Dar Al-Knooz, Ishbilia, Riyadh, KSA

Roman Script / Comment : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Bismillahirrahmaanirrahim

Imam Ibn Abi Shibah rahimahullah is kitaab ko shuro karne sa qabl farmate hain:
هَذَا مَا خَالَفَ بِهِ أَبُو حَنِيفَةَ الْأَثَرَ الَّذِي جَاءَ عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ
"Ye wo Masayil hain jin me Abu Hanifah ne un Aasaar(Ahadis) ki mukhalifat ki hai jo RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam se saabit hain"


(باب:١)مَسْأَلَةُ رَجْمِ الْيَهُودِيِّ وَالْيَهُودِيَّةِ
"Yahoodi mard aur yahoodi aurat ko sangsaar karne ke mas'alah ka bayaan"

(١)۳۸۸۰١۔۔۔۔۔۔حَدَّثَنَاأَبُو عَبْدِ الرَّحْمَنِ بَقِيُّ بْنُ مَخْلَدٍ قَالَ: حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ أَبِي شَيْبَةَ قَالَ: حَدَّثَنَا شَرِيكُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، عَنْ سِمَاكٍ، عَنْ جَابِرِ بْنِ سَمُرَةَ: «أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ رَجَمَ يَهُودِيًّا وَيَهُودِيَّةً۔
"(1)39901…. Syidina Jabir Bin Samurah raziallahu-anhu se riwaayat haike NABIYE KAREEM sallallahu alahi wasallam ne ek yahodi mard aur ek yahodiya aurat ko sangsaar (karne ka hokum) farmaya."

HADIS KA DARJAH: "HASAN"

HADIS KI TAHQIQ: Shareek aur Simmaak rahimahumullah dono ahaadis me 'Sudooq' (sachche) hain.
HADIS KI TAKHREEJ: Musnad Ahmed, Hadis No.20856. Sunan Ibn Majah:2557. Sunan al-Tirmizi:1438. Musnad Abi Yala:7451. Musnad Abu Dawod Tiyaalsi:775

-------------

(۲)۳۸۸۰۲۔۔۔۔۔۔حَدَّثَنَاأَبُو مُعَاوِيَةَ، وَوَكِيعٌ، عَنِ الْأَعْمَشِ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مُرَّةَ، عَنِ الْبَرَاءِ بْنِ عَازِبٍ، «أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ» رَجَمَ يَهُودِيًّا۔​
"(2)39902…. Syidina Bara'a Bin Aazib raziallahu-anhu se riwaayat hai ke RASOOLULLAH sallallahu alahi wasallam ne ek yahoodi ko sangsaar(karne ka hokum) farmaya."

HADIS KA DARJAH: "SAHIH"
HADIS KI TAKHREEJ: Sahih Muslim:1700. Musnad Ahmed:18545

-------------

(۳)۳۸۸۰۳۔۔۔۔۔۔حَدَّثَنَاعَبْدُ الرَّحِيمِ بْنُ سُلَيْمَانَ، عَنْ مُجَالِدٍ(مُجَاهِدٍ)، عَنْ عَامِرٍ، عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ، «أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ» رَجَمَ يَهُودِيًّا وَيَهُودِيَّةً۔
"(3)39903…. Syidina Jabir Bin Adullah raziallahu-anhu se riwaayat hai ke NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne ek yahoodi mard aur ek yahoodiyah aurat ko sangsaar (karne ka hukom) farmaya."

to be continued….. IN SHA ALLAH
 
Last edited:
Top