بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

Farz Namaz Ke Waqt Sunnat Padhna

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah


Romanised By: Umar Asari

Islam Mein Farz Ka Darjaa Sunnat Se Upar Ka Hai Jis Ka Wazeh Matlab Yeh Nikalta Hai Ke Farz Namaz Ke Waqt Sunnat Nahi Padhi Jayegi. Yahi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Wazeh Farmaan Bhi Hai.

Chand (Kuch) Dalail Dekhen:

Pehli Daleel:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم أَنَّهُ قَالَ: إِذَا أُقِيمَتِ الصَّلاَةُ فَلاَ صَلاَةَ إِلاَّ الْمَكْتُوبَةُ
Tarjuma: Abu Huraira Radhiallahu Anhu Riwayat Kartey Hain Ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Jab Iqamat Ho Jaye (Yaani Jab Jamaat Khadi Ho Jaye) Phir Koi Namaz Nahi Siwaye Farz Namaz Ke (Yaani Wahi Namaz Jiski Takbeer Kahi Jaye).
(Sahih Muslim: 710)

Yeh Hadees Apne Maienay Aur Mafhoom Ke Aitbaar Se Bilkul Wazeh, Saaf Aur Aam Hai Lehaza Is Ka Ma'na (Meaning) Badalna Ya Is Mein Manwi Tahreef (Meaning Mein Badlao) Karna Ya Isey Kisi Waqt Ke Saath Khaas Karna Kisi Ke Liye Jayez Nahi Hai.

Ibn Qadama Rahimahullah Ne “إِذَا أُقِيمَتِ الصَّلاَةُ” Ka Maiena (Meaning) Likha Hai Ke Nafl Ke Zariya Farz Namaz Se Ghaafil Na Ho Jaye Chahay Aik Rakat Milnay Ka Khauf Ho Ya Na Ho. Yahi Baat Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu, Hazrat Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma, Urwah, Ibn Seereen, Saeed Bin Jubair , Imam Shafa’ee , Ishaq Aur Abu Thaur Rahimahumullah Ne Kahi Hai.
(Al-Mughni: 1/272)

Ibn Qudama Rahimahullah Ne Aik Rakat Wali Baat Ka Ishara Imam Abu Haneefah Wagairahum Ki Taraf Kiya Hai.
Imam Saheb (Imam Abu Haneefa Rahimahullah) Ka Kehna Hai Ke Jo Shakhs Masjid Mein Daakhil Ho Aur Fajr Ki Namaz Jari Ho Agar Usay Yeh Ummeed Ho Ke Woh Imam Ke Saath Sirf Aik Rakat Pa Lega Aur Doosri Reh Bhi Jaye To Woh Fajr Ki Do Sunnatein Zaroor Padh Le Aur Us Ke Baad Woh Imam Ke Saath Mil Jaye.
(Al-Muhalla Bil-Aasaar: 2/147)


Doosri Daleel:
إذا أقيمتِ الصلاةُ فلا صلاةَ إلا المكتوبةَ ، قيل يا رسولَ اللهِ : ولا ركعتي الفجرِ ؟ قال : ولا ركعتي الفجرِ۔
Tarjuma: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke Jab Namaz Ke Liye Jamaat Khadi Ho Jaye To Phir Koi Namaz Nahi Magar Farz Namaz (Jis Ke Liye Takbir Kahi Gayi) Sahaba Radhiallahu Anhu Mein Se Kisi Ne Arz Kiya, Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Kya Sunnat e Fajr Ki Do Rakat Bhi (Na Padhen), Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Sunnat e Fajr Ki Do Rakat Bhi (Na Padho).
Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah Ne Is Hadees Ko Hasan Qarar Diya Hai.
{Fatah ul Bari (Ibne Hajar): 2/174}

Yeh Hadees Apne Maienay Aur Mafhoom Ke Aitbaar Se Aur Bhi Wazeh Hai.


Teesri Daleel:
أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم مَرَّ بِرَجُلٍ يُصَلِّي وَقَدْ أُقِيمَتْ صَلاَةُ الصُّبْحِ فَكَلَّمَهُ بِشَىْءٍ لاَ نَدْرِي مَا هُوَ فَلَمَّا انْصَرَفْنَا أَحَطْنَا نَقُولُ مَاذَا قَالَ لَكَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ قَالَ لِي ‏يُوشِكُ أَنْ يُصَلِّيَ أَحَدُكُمُ الصُّبْحَ أَرْبَعًا
Tarjuma: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Aik Aisay Aadmi Ke Paas Se Guzray Jo Namaz Padh Raha Tha Jabkay Fajr Ki Namaz Ki Iqamat Ho Chuki Thi Pas Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Kuch Kaha Magar Hamein Nahi Pata Kya Kaha. Jab Hum Log Namaz Se Farigh Hue To Saaray Us Shakhs Ke Ird Gird Jama Ho Gaye Aur Pooch Rahay They Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Tumhe Kya Kaha? To Unhon Ne Kaha Kay Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Kya Subah Ki Chaar Rakatein Ho Gayeen?
(Sahih Muslim: 711)

Yeh Hadees Batati Hai Ke Iqamat Ke Baad Koi Namaz Nahi Padhna Chahiye Siwaye Farz Ke Kiyunkay Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Un Sahabi Ko Mana Kiya Jo Iqamat Ke Baad Bhi Namaz Padh Rhe The.


Chauthi Daleel:
عَنْ قَيْسِ بْنِ عَمْرٍو، قَالَ رَأَى النَّبِيُّ ـ صلى الله عليه وسلم ـ رَجُلاً يُصَلِّي بَعْدَ صَلاَةِ الصُّبْحِ رَكْعَتَيْنِ فَقَالَ النَّبِيُّ ـ صلى الله عليه وسلم ـ ‏ "‏ أَصَلاَةَ الصُّبْحِ مَرَّتَيْنِ ‏"‏ ‏.‏ فَقَالَ لَهُ الرَّجُلُ إِنِّي لَمْ أَكُنْ صَلَّيْتُ الرَّكْعَتَيْنِ اللَّتَيْنِ قَبْلَهَا فَصَلَّيْتُهُمَا ‏.‏ قَالَ فَسَكَتَ النَّبِيُّ ـ صلى الله عليه وسلم
Tarjuma: Qais Bin Amr Kehtey Hain Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Aik Aadmi Ko Fajr Ki Namaz Ke Baad Do Rakat Padhte Hue Dekha To Aap Ne Farmaya: Kya Fajr Ki Namaz Do Martaba Hai? To Us Aadmi Ne Kaha Ke Fajr Ki Namaz Se Pehli Wali Do Rakat Sunnat Nahi Padh Saka Tha Jisey Ada Kiya Hun (Jisey Padha Hai). To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Khamosh Ho Gaye.
(Ibne Majah: 1154)


Allama Albani Rahimahullah Ney “Sahih Ibne Majah: 954” Mein Sahih Kaha Hai.

Yeh Hadees Batlati Hai Ke Jab Koi Masjid Mein Us Waqt Aaye Jab Fajr Ki Iqamat Ho Gayi Ho Ya Fajr Ki Jamaat Ho Rahi Ho To Woh Jamaat Mein Shareek Ho Jaye Aur Farz Padhnay Ke Baad Do Rakat Sunnat Ada Karley.


Paanchvi Daleel:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ مَنْ لَمْ يُصَلِّ رَكْعَتَىِ الْفَجْرِ فَلْيُصَلِّهِمَا بَعْدَ مَا تَطْلُعُ الشَّمْسُ
Tarjuma: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai Ke Jis Ne Fajr Ki Do Sunnat Na Padhi Hon Woh Sooraj Tulu Honay Key Baad (Sooraj Nikalney Key Baad) Padh Le.
(Tirmidhi: 453)


Allama Albani Rahimahullah Ne “Sahih Sunan Tirmidhi” Mein Sahih Kaha Hai.

Yeh Sahih Hadees Bhi Batati Hai Ke Sunnat Choot Janay Par Tulu e Shams (Sooraj Nikalney) Ke Baad Usey Ada Karley, Is Ka Doosra Matlab Yeh Hua Ki Farz Chor Kar Sunnat Na Parhay.

Fajr Ki Chhooti Sunnat Ki Adaigi Farz Ke Baad Hi Karley To Behtar Hai Taakay Susti Se Yeh Sunnat Reh Na Jaye Aur Agar Susti Ka Imkaan Na Ho To Tulu e Shams (Sooraj Nikalney) Ke Baad Bhi Ada Kar Sakta Hai.

In Ahadees Ke Barkhilaf Baaz Logon Ke Yahan Iqamat Honay Ke Baad Bhi Yani Fajr Ki Jamaat Hotay Waqt Bhi Fajr Ki Sunnat Padhna Jayez Hai.


Un Ke Dalail Ka Jaiza:
Pahli Daleel:

لاَ تَدَعُوهُمَا وَإِنْ طَرَدَتْكُمُ الْخَيْلُ‏
Tarjuma: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya: Fajr Ki Do Rakat (sunnat) Na Choro Agarchay Ghoron (Horses) Se Tum Ko Rond Diya Jaye.
(Abu Dawood: 1258)


Is Hadees Se Yeh Istedlaal Kiya Jata Hai (Daleel Pakdi Jati Hai) Ke Fajr Ki Sunnat Ki Itni Ehmiyat Hai Ke Usay Kisi Bhi Haal Mein Nahi Chori Jayegi Chahey Fajr Ki Jamat Khadi Ho Gayi Ho. Lekin Yeh Riwayat Qabil e Istedlaal Nahi Hai (Means Is Riwayat Ko Daleel Nahi Bana Saktey) Kiunki Yeh Riwayat Zaeef Hai.
Isay Sheikh Albani Rahimahullah Ne Zaeef Qarar Diya Hai.
{Zaeef Abu Daud (Albani): 1258}

Doosri Daleel:

إذا أُقيمَت الصَّلاةُ فلا صلاةَ إلَّا المكتوبةَ إلَّا ركعتَي الفجر
Tarjuma: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Jab Namaz e Jamaat Khadi Ho Jaye To Siwaye Farz Namaz Ke Aur Koi Namaz Nahi Siwaye Do Rakat Sunnat Fajr.

Is Riwayat Ke Mutalliq Imam Baihaqi Rahimahullah Khud Hi Farmatay Hain Ke Is Mein Ziyadti Ki Koi Asal Nahi Hai.
(Fawaid Majmoa : 24)


Teesri Daleel:

مَنْ أَدْرَكَ رَكْعَةً مِنَ الصَّلاَةِ مَعَ الإِمَامِ فَقَدْ أَدْرَكَ الصَّلاَةَ
Tarjuma: Jis Ne Imam Ke Saath Aik Rakat Paa Li To Us Ne Namaz Paa Li.
(Sahih Muslim: 607)


Is Hadees Se Yeh Istedlaal Kiya Jata Hai (Yeh Daleel Pakdi Jaati Hai) Ke Sunnat e Fajr Padhnay Se Aik Rakat Bhi Chott Jaye To Koi Harj Nahi.
Pahli Baat To Yeh Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Hukm Hi Awla (Behtar or Afzal) Hai Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Wazih Farmaan Hai Ke Jab Iqamat Ho Jaye To Koi Namaz Nahi Siwaye Farz Namaz Ke.
Doosri Baat Yeh Ki Farz Namaz Ka Faut Hona Musalli (Namaz Padhney Waley) Ke Liye Bohat Khasarey Ka Baais (Reason) Hai Go Ke Aik Rakat Hi Kiyun Na Ho.

Chauthi Daleel:

نَهَى عَنِ الصَّلاَةِ بَعْدَ الْفَجْرِ حَتَّى تَطْلُعَ الشَّمْسُ، وَبَعْدَ الْعَصْرِ حَتَّى تَغْرُبَ الشَّمْسُ
Tarjuma: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Do Waqton Mein Namazon Se Mana Farmaya. Fajr Ki Namaz Ke Baad Yahan Tak Ke Sooraj Nikal Aaye Aur Asr Ki Namaz Ke Baad Yahan Tak Ke Sooraj Ghuroob Ho Jaye.
(Sahih Bukhari: 584)

Fajr Ki Sunnat Fajr Ki Namaz Ke Baad Padhna Hadees Se Saabit Hai, Is Liye Fajr Ki Sunnat Padh Satkey Hain.


Panchwin Daleel:

عن ابن مسعود ، أنه دخل المسجد وقد أقيمت الصلاة فصلى إلى أسطوانة في المسجد ركعتي الفجر ثم دخل في الصلاة
Tarjuma: Riwayat Ki Jati Hai Ke Hazrat Abdullah Bin Mas’ood Radhiallahu Anhuma Masjid Mein Daakhil Huwe Is Haal Mein Ke Namaz Ke Liye Iqamat Ho Chuki Thi To Aap Ne Masjid Mein Aik Sutoon Ke Qareeb Fajr Ki Do Sunnatein Ada Farmaen Phir Namaz Mein Shaamil Hue.
{Ibne Abi Shaibah: 2/251, Musannaf Abdurrazzaq: 2/444 No: 4021, Awsat (Ibne Munzir): 5/231}

Is Ke Alawa Bhi Sahaba e Kiraam Ke Baaz Aasaar Miltay Hain. Un Tamam Aasaar Ke Mutalliq Yeh Kaha Jayega Ke Un Sahabiyon Ko Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Iqamat Ke Baad Namaz Na Parhney Ki Khabar Nahi Thi Agar Hoti To Sahaba e Kiram Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Amal Ke Khilaaf Amal Na Kartey.

Sahaba Se To Yeh Saabit Hai Ke Hazrat Umar Radhiallahu Anhu Aur Un Ke Betay Iqamat Ke Baad Sunnat Parhnay Walay Ko Mara Kartey.

Sunan Baihaqi Ki Riwayat Hai:

وكان عمر بن الخطاب إذا رأى رجلا يصلي وهو يسمع الإقامة ضربه
Yani Hazrat Umar Radhiallahu Anhu Jab Kisi Aadmi Ko Dekhtey Ke Namaz Padhta Hai Halaankey Takbeer Sun Chuka Hai To Aap Us Ko Maartey.

Yeh Saza Khalifa Ki Taraf Se Tazeeran (Penally) Thi.

Isi Tarah Baihaqi Ki Riwayat Hai:

عن ابن عمر أنه أبصر رجلا يصلي الركعتين والمؤذن يقيم ، فحصبه
Tarjuma: Abdullah Bin Umar Radhiallahu Anhuma Ne 1 Shakhs Ko Ke Mauzzin Ke Iqamat Ke Waqt Sunnat e Fajr Ki 2 Rakat Padhtey Hue Dekha To Us Ko Kankar Mara.
{Sunan al Kubra (Baihaqi): 4551}


Khulasa e Kalaam Yeh Hai Ke Fajr Ki Namaz Ki Iqamat Hotay hue, Ya Iqamat Honay Ke Baad Ya Farz Namaz Ki Jamaat Hotay Waqt Nafl o Sunnat Padhna Khilaaf e Sunnat Hai.

Lehaza Un Tamam Logon Ka Muaqif (Opinion, Averment) Ghalat Hai Jinhon Ne Kaha:
(1) Agar Imam Ke Sath Fajr Ki Aik Rakat Pa Sakta Ho To Woh Sunnat Padh Le.

(2) Masjid Ke Kisi Konay Mein Ya Masjid Se Bahar Farz Hotay Waqt Sunnat Ada Karley.

(3) Farz Namaz Ke Waqt Sirf Fajr Ki Sunnat Padhna Jayez Hai Baqiya Sunnat Nahi.

(4) Farz Ke Waqt Sunnat Padhna Sahaba Ka Amal Hai Is Liye Yeh Amal Sunnat Hai.

Main Tamam Musalman Bhaiyon Se Guzarish Karta Hun Ke Hamaray Yahan Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sareeh (Wazih) Khilaaf Warzi Ho Rahee Hai Lehaza Is Article Ko Kasrat Se Share Karen Taakay Awam (Aam Logon) Tak Yeh Baat Pahunche Aur Wo Aqval e Rijal (Logon Ki Baton) Ko Chor Kar Sunnat Ko Galey Lagaye.
 

Similar threads


Top