ASL AL-DEEN (Part 03)


ASL AL-DEEN (Part 03)

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
• Akele usi ki ibaadat karna,

• Doosron ki ibaadat ko tark kardena,

• Aur Jo Us (Subhaanahu) ka Shareek tehraate hain un Mushrkieen se baraa'at karna.

☆ In sab ka kya matlab hai ?

• Iska matlab hai: Allaah ki Tawheed (Allaah ko akela maanna), Tawheed se Muhabbat karna aur isko qubool karna, Ahl e Tawheed se Muwaalaat (dosti, muhabbat, wafaadaari) karna, aur Shirk ko naapasand (wa nafrat) karna aur us se ijtenaab (bachna aur door) rehna, aur Mushrikeen ki mukhaalifat karna.

• Ibnul-Qayyim (Rahimahullaah) ne farmaaya:

٭ وَاعْلَمْ أَنَّهُ إِنْ لَمْ يَكُنْ حُسْنُ التَّوْحِيدِ وَقُبْحُ الشِّرْكِ مَعْلُومًا بِالْعَقْلِ، مَسُتَقِرًّا فِي الْفِطَرِ، فَلَا وُثُوقَ بِشَيْءٍ مِنْ قَضَايَا الْعَقْلِ، فَإِنَّ هَذِهِ الْقَضِيَّةَ مِنْ أَجَلِّ الْقَضَايَا الْبَدِيهِيَّاتِ، وَأَوْضَحِ مَا رَكَّبَ اللَّهُ فِي الْعُقُولِ وَالْفِطَرِ

"Jaanlo ke beshak Tawheed ki khoobsoorti aur Shirk ki badd soorti agar aql se ma'loom na ho aur Fitrat mein maujood na ho, toh phir aql se (jo bhi) cheezon ka idraak hota hai (ya'ni aql se in dono ke alaawah baaqi doosre jo bhi cheezen maloom hojaati hai) unka koi etebaar nahin kiya jaayega (kyunke Allaah ne Insaan ki Aql aur Fitrat ke andar Tawheed ka Husn aur Shirk ki Qabaahat usey paida karte waqt hi daal diya tha), yaqeenan ye mas'alah khule raushan masaail mein sab se zyaadah (raushan wa) Zaahir hai, aur Allaah ne aqlon aur fitraton mein jo cheez rakhi hai un mein sabse zyaadah waazeh hai."
(1)

• "Ahl e Tawheed se Muwaalaat (dosti, muhabbat, wafaadaari) karna" ye Al-Walaa hai, Mumineen ke saath wafaadaari. "...aur Mushrikeen ki mukhaalifat (dushmani) karna" ye hai Al-Baraa, aur is se ye baat waazeh hochuki hai ke Al-Walaa aur Al-Baraa Asl Al-Deen mein daakhil hota hai.

☆ Lekin yahaan ek ahem mas'aley ki wazaahat zaroori hai.

Aur woh ye hai ke:

٭ الفرق بين وجود العداوة للكافرين وبين إظهار العداوة
٭ فالأول: وهو وجود العداوة من أصل الدين. والثاني: وهو إظهار العداوة فمن واجبات الدين لا من أصله

• Kuffaar ke liye (Dil mein) Wujoodul-'Adaawah rakhne mein aur Iz'haarul-'Adaawah karne ke darmiyaan farq hai.

• Pehla: (Wujoodul-'Adaawah) Dil mein Kuffaaron ke liye 'Adaawat rakhna Asl Al-Deen mein se hai.


• Doosra: (Iz'haarul-'Adaawah) Dushmani ka zaahir karna ye Deen ke waajibaat mein se hai na ke uske Asl mein se hai.

٭ قال الشيخ عبد اللطيف ابن عبد الرحمن آل الشيخ - رحمه الله - "ومسألة إظهار العداوة غير مسألة وجود العداوة، فالأول:| يعربه مع العجز والخوف، لقوله تعالى: ( إلا أن تتقوا منهم تقاة) ، والثاني: لا بد منه، لأنه يدخ في الكفر بالطاغوت، وبينه وبين حب الله ورسوله تلازم كلي، لا ينفك عنه المؤمن"، انتهى كلامه رحمه الله


• Shaykh 'Abdul-Lateef Ibn 'Abdul-Rahmaan Aal Al-Shaykh (Rahimahullaah) ne farmaaya:

"Iz'haarul-'Adaawah (Dushmani ka zaahir karne) ka mas'alah Wujoodul-'Adaawah (Dil mein dushmani rakhne) se mukhtalif (alag) hai. Pehla jo hai us mein kamzori aur khauf ki wajah se uzr hai jaisa ke Allaah (تعالى) ka farmaan hai: "Siwaaye iske ke tum un (ke zulm) se bachne ke liye bachaao ka koi tareeqah ikhtiyaar karo."
(2) Doosra: Ye laaziman hai (ya'ni is mein koi uzr nahin, ye waajib hai), kyunke ye Kufr Bit-Ťaghhoot mein daakhil hota hai, uske aur Allaah aur Uske Rasool ki muhabbat ke darmiyaan (ek dum, bina kisi khalal ke) seedha raabtah hai jis se ek Mumin apne aap ko kabhi is se alag nahin kar sakta." (3)

☆ Khulaasah:


• Asl Al-Deen aise umoor ko kehte hain jinke baare mein bataane ki koi zaroorat nahin, Allaah ne Insaanon ko paida karte waqt usey Insaanon ki Aqlon aur Fitraton mein pehle se hi rakh diya hai, Asl Al-Deen ye aisa mas'alah hai jis ko pehchaanne ke liye kisi daleel ki zaroorat nahin hai ye Insaan ko pehle se hi ma'loom hai jaisa ke aam taur par Achchaayi aur Buraayi ko pehchaanne ke liye daleel ki zaroorat nahin hoti maslan chote masoom bachchon ko bila wajah Qatal kardena, kisi kamzor budhe buzurg Insaan ko bey inteha maarna waghairah waghairah ye jaanne ke liye kisi daleel ki zaroorat nahin pardhti kyunke Aql aur Fitrat se ye cheezon ko jaan liya jaata hai ke ye cheezen ghalat hi hai bilkul usi tarah Sab se Achchi neyki Tawheed hai aur Sab se Buri Buraayi Shirk hai, inhen bhi jaanne ke liye kisi daleel ki zaroorat nahin ye pehle se hi Aql aur Fitrat mein maujood hai.

ولله الحمد والمنة و أعلم

《 Mutarjim: Abd Al Mudhill Hafizahullah 》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
_____________
References:
(1) Madaarij Al-Saalikeen, Jild: 3, Pg: 455.
(2) Soorah No. 3, Aal 'Imraan, Aayah: 28.

(3) Al-Durar Al-Saniyyah, Jild: 8, Pg: 259.

Links:
ASL AL-DEEN (Part 01)
ASL AL-DEEN (Part 02)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0

Similar threads


Top