Aqeedah Ka Ma'na Wa Mafhoom!


Abul Husayn

Moderator
Staff member
Aqeedah Ka Ma'na Wa Mafhoom!

Aqeede Ki Lughawi Tareef:

مَأْخُوذَةٌ مِنَ العَقْدِ ؛ وَهُوَ؛ رَبْطُ الشَّيْءِ، وَاعْتَقَدتُّ كَذَا؛ عَقَدتُّ عَلَيْهِ القَلْبَ وَالضَّمِيرَ،‏ وَالعَقِيدَةُ؛ مَا يَدِينُ بِهِ الإِنْسَانُ؛ يُقَالُ؛ لَهُ عَقِيدَةٌ حَسَنَةٌ؛ أَيْ؛ سَالِمَةٌ مِنَ الشَّكِّ، وَالعَقِيدَةُ؛ عَمَلٌ قَلْبِيٌّ، وَهِيَ إِيمَانُ القَلْبِ بِالشَّيْءِ، وَتَصْدِيقُهُ بِهِ​
Aqeedah darasal lafz “عَقْدِ” se makhooz hai, jis ke ma'na hain kisi cheez ko bāndhna, jaise kaha jaata hai “اعْتَقَدتُّ كَذَا” (main aisa aqeedah rakhta hon) yane maine isey (is aqeede ko) apne dil aur zameer se bāndha liya hai.

Lihaza Aqeedah:

Us a'iteqaad ko kaha jaata hai jo insaan rakhta hai, kaha jaata hai: “عَقِيدَةٌ حَسَنَةٌ” (achchaa aqeedah), yane “سَالِمَةٌ مِنَ الشَّكِّ” (shak se paak aqeedah), aqeedah dar-haqeeqat dil ke amal ka naam hai, aur wo hai dil ka kisi baat par emaan rakhna aur uski tasdeeq karna.

Aqeedah Ki Sharayi Tareef:
هِيَ؛ الإِيمَانُ بِاللهِ، وَمَلَائِكَتِهِ، وَكُتُبِهِ، وَرُسُلِهِ، وَاليَوْمِ الآخِرِ، وَالإِيمَانُ بِالقَدَرِ؛ خَيْرِهِ وَشَرِّهِ، وَتُسَمَّى هَذِهِ أَرْكَانُ الإِيمَانِ​
Allah Ta'ala par, Us ke Farishton par, Us ki Kitaabon par, Us ke Rasoolon par, Yaum e Aakhirat aur Achchi Buri Taqdeer par emaan rakhna, aur inhen Arkaan e Emaan bhi kaha jaata hai.

Refrence: Kitaab: Aqeedah e Tawheed Aur is ke Munaafi Umoor, Page: 23. Az: Shaykh Saleh bin Fawzaan al-Fawzaan Hafizahullah, Urdu Mutarjimeen: Maulana Mukhtaar Ahmed Nadwi, Numaan bin Muhammad Ismail, Tariq Ali Brohi
 
Last edited:
Top