Umar Asari

Administrator
Staff member
Fazail e Madinah aur Masjid e Nabwi ki ziyarat ke aadaab o ahkaam

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Madinah ek muqaddas sarzamen hai, is ke mukhtalif naam hain masalan Taabah, Tayyibah, Daar, Imaan, Daar ul Hijrah waghera. Aam taur se is shahar ko Madinah Munawwarah ke naam se jaana jaata hai magar is ka istemaal salaf ke yahan nahi milta. Jab hum Madinah Munawwarah kehte hain to is se tamam Islamic countries murad liye jaayenga kiunki Islam ne saari jaghon ko roshan kar diya, is liye ek khaas Wasf e Nabawiyyah se Madinah ko muttasif karna behtar hai. Is ka purana naam Yathrib hai, ab yeh naam lena bhi mana hai.
Ahadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki roshni mein Madina e Nabawiyyah ke bahut se fazail hain kuch fazail aap ke saamne pesh karta hun:
✵Madinah khair o barkat ki jagah hai:✵
وَالْمَدِينَةُ خَيْرٌ لَهُمْ لَوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ​
Tarjumah: Kaash! Unhein ma’loom hota ke Madinah hi un ke liye behtar tha.
(Sahih Bukhari: 1875)

✵Yeh haram e paak hai:✵
إِنَّهَا حَرَمٌ آمِنٌ​
Tarjumah: Beshak madinah aman waala Haram hai.
(Sahih Muslim: 1375)

✵Farishton ke zariye ta’oon aur Dajjal se Madine ki hifazat:✵
عَلَى أَنْقَابِ الْمَدِينَةِ مَلَائِكَةٌ، لَا يَدْخُلُهَا الطَّاعُونُ وَلَا الدَّجَّالُ​
Tarjumah: Madinah Munawwarah ke raaston par farishte pehra dete hain, na yahan Ta’oon aa sakti hai aur na Dajjaal aa sakta hai.
(Sahih Bukhari: 7133)

✵Madinah mein imaan simat jaayega:✵
إِنَّ الْإِيمَانَ لَيَأْرِزُ إِلَى الْمَدِينَةِ كَمَا تَأْرِزُ الْحَيَّةُ إِلَى جُحْرِهَا​
Tarjumah: (Qiyamat ke qareeb) Imaan Madinah mein is tarah simat aayega jaise saanp simat kar apne bil mein aa jaaya karta hai.
(Sahih Bukhari: 1876)

✵Madinah se mohabbat karna hai:✵
اللَّهُمَّ حَبِّبْ إِلَيْنَا الْمَدِينَةَ كَحُبِّنَا مَكَّةَ أَوْ أَشَدَّ​
Tarjumah: Aye Allah! Madine ko hamein Makkah ki tarah balki us se bhi ziyadah mehboob bana de.
(Sahih Bukhari: 1889)

✵Madinah mein marne waale ke liye shafa’at e Nabwi:✵
مَنِ اسْتَطَاعَ مِنْكُمْ أَنْ يَمُوتَ بِالْمَدِينَةِ فَلْيَفْعَلْ فَإِنِّي أَشْهَدُ لِمَنْ مَاتَ بِهَا​
Tarjumah: Tum mein se jo Madine mein mar sake to woh aisa hi kare, kiunki jo wahan marega main us ke liye gawahi dunga.
(Ibn e Majah: 3112)
❗Allama Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai.

Qabil e rashk hain woh log jo Madinah mein hain ya us ki ziyarat par Allah ki taraf se bulaye gaye. Is mubarak sarzameen pe Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam hai jise Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne dast e mubarak (mubarak haathon) se banaaya. Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne is Masjid ki ziyarat ka hukm farmaya hai:
وَلَا تُشَدُّ الرِّحَالُ إِلَّا إِلَى ثَلَاثَةِ مَسَاجِدَ ؛ مَسْجِدِ الْحَرَامِ، وَمَسْجِدِ الْأَقْصَى، وَمَسْجِدِي هَذَا​
Tarjumah: Masjid e Haraam, Masjid e Nabwi aur Bait ul Muqaddas ke alawah (husool e sawab ki niyat se) kisi doosri jagah ka safar mat karo.
(Sahih Bukhari: 1995)

Goya sawab ki niyyat se duniya ki sirf teen Masjidon ki ziyarat karna jaaiz hai baqi Masjidon aur maqbaron ki ziyarat karna jaaiz nahi.
Albatta jo log Madinah mein muqeem hon ya kahien se ba-haisiyat e zaa’ir (visitor ki haisiyat se) aaye hon to un ke liye Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam ki ziyarat ke alawah Masjid e Quba, Baqi’ ul Gharqad aur shuhadaa e Uhud ki ziyarat Mashroo’ hai.

✯Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam:✯
Masjid e Nabwi ki badi ahmiyat aur fazeelat hai Haram e Makki ke alawah Masjid e Nabwi mein ek waqt ki namaz duniya ki doosri jaghon mein 6 maheene 20 din se behtar hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
صَلَاةٌ فِي مَسْجِدِي هَذَا خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ صَلَاةٍ فِيمَا سِوَاهُ، إِلَّا الْمَسْجِدَ الْحَرَامَ​
Tarjumah: Meri is Masjid mein Namaz Masjid-ul-Haraam ke siwa tamaam Masjidon mein Namaz se ek hazaar darja ziyadah afzal hai.
(Sahih Bukhari: 1190)

Ise haram e Madani bhi kehte hain. Is mein ek jagah aisi hai jo jannat ke baaghon mein se hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
مَا بَيْنَ بَيْتِي وَمِنْبَرِي رَوْضَةٌ مِنْ رِيَاضِ الْجَنَّةِ​
Tarjumah: Mere ghar aur mere is mimbar ke darmiyaan ka hissah jannat ki kiyariyon mein se ek kiyari hai.
(Sahih Bukhari: 1195)

✵Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam ki ziyarat ke aadaab:✵
Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam mein daakhil hote waqt daayan (right) pair aage karen aur yeh dua padhen:
أَعوذُ باللهِ العَظيـم وَبِوَجْهِـهِ الكَرِيـم وَسُلْطـانِه القَديـم مِنَ الشّيْـطانِ الرَّجـيم، بِسْمِ اللَّهِ، وَالصَّلاةُ وَالسَّلامُ عَلَى رَسُولِ الله، اللّهُـمَّ افْتَـحْ لي أَبْوابَ رَحْمَتـِك​

Do rakat Namaz Tahiyyat ul Masjid ki niyyat se padhen, agar yeh Namaz Riyaz ul Jannah mein ada karen to ziyadah behtar hai aur khoob dua karen.

Us ke baad Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam par nihayat adab o ehtram se durood o salaam arz karen, salam ke liye yeh alfaaz kehna masnoon hai: (السلام عليك أيها النبي ورحمة الله وبركاته صلى الله عليك وجزاك عن أمتك خيرالجزاء) phir Hazrat Abu Bakr Radhiallahu Anhu par “السلام علیک یاابابکر! ورحمۃ اللہ وبرکاتہ، رضی اللہ عنک وجزاک عن امۃ محمد خیرا” aur Hazrat Umar Radhiallahu Anhu par “السلام علیک یاعمربن الخطاب! ورحمۃ اللہ وبرکاتہ، رضی اللہ عنک وجزاک عن امۃ محمد خیراً"” ke zariye salaam kahen.

Aurton ke liye kasrat se qabron ki ziyarat jaaiz nahi kiunki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne kasrat se qabron ki ziyarat karne waali aurton par la’nat farmaayi hai lekin kabhi kabhar ziyarat kar sakti hain.

Zaa’ireen (visitors) ko ziyadah se ziyadah Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam mein theharna, kasrat se dua o istighfaar, zikr o azkaar, tilawat e Quran aur deegar nafli ibadaat aur aamaal e saliha karna chaahiye.

Masjid se nikalte waqt yeh dua padhen:
بسْـمِ اللَّـهِ وَالصَّلاةُ وَالسَّلامُ عَلَى رَسُولِ اللَّهِ، اللَّهُمَّ إنِّي أَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ، اللَّهُمَّ اعْصِمْنِي مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيم​

✯Masjid e Nabwi ki ziyarat karne waalon ke liye tambihaat:✯
Hujra e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidkiyon aur Masjid ke deewaron ko barkat ki niyyat se choona ya bosa (kiss) lena ya Tawaaf karna jaaiz nahi hai balki yeh sab bid’at waale aamaal hain.

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se apni mushkil ka sawal karna ya bemaari ki shifa ka sawal karna ya isi tarah ki doosri cheezon ka sawal karna jaaiz nahi hai, yeh sab cheezein sirf Allah Taala se maangi jaayengi, guzre huwe logon se maangna Allah ke saath shirk aur Ghairullah ki ibadat karna hai.

Kuch log Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki qabr ki taraf khade ho kar aur haath utha kar mustaqil dua karte hain yeh bhi khilaaf e sunnat hai, masnoon yeh hai ke woh qibla rukh ho kar Allah Taala se maangen.

Isi tarah Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki qabr ke paas awaaz buland karna, der tak thehre rehna, makhsoos dua padhna ya hazaar aur lakh martaba durood padh kar hadiya karna khilaaf e sunnat hai.

Kuch log Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam par durood o salaam bhejte waqt seene par ya neeche Namaz ki tarah haath bandh lete hain jo ke khashoo’ khuzoo’ aur ibadat ki kaifiyat hai aur yeh sirf Allah ke liye hi kar sakte hain.

Maujooda mimbar Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke daur ka nahi hai, agar hota bhi to us se barkat lena ya Riyaz ul Jannah ke sutunon se barkat lena aur khaas taur se un ke paas Namaz ka qasd (iraada) karna jaaiz nahi hai.

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke mutalliq duniya ki tarah salam ki aawaz sunne ya salam ke waqt rooh laut jaane ka aqeedah rakhna ghalat hai.

✯Baqi’ ul Gharqad:✯
Jannat ul Baqi’ naam sahih nahi hai, Hadees mein is ka naam Baqi’ ul Gharqad aaya hai. Yeh ahl e Madinah (Madinah waalon) ka qabrastan hai. Is mein taqreeban 10000 Ansar o Muhajireen aur azwaaj e mutahharaat madfoon (dafan kiye gaye) hain magar zamaane ke guzarne ke saath saath aur khaas kar baghal se behne waale “Mahroz” naam ke naale ki wajah se kuch logon ko chhod ke kisi ki qabr pehchaani nahi jaati. Baaz kitabon mein bahut si qabron ki pehchaan ki gayi hai, yeh sab andaaze par munhasir hain. Qabrain to mitni hi hain kiunki Islam ne qabron ko ooncha karne, us par charaghaan karne, imarat banaane aur pukhta karne se mana kiya hai taaki use sajdagaah na bana liya jaaye.
Baqi’ ul Gharqad ki ziyarat ke waqt shar’ee aadaab ka lihaaz rakhna bahut zaroori hai. Umm ul Mu’mineen Hazrat Aisha Radhiallahu Anha bayan karti hain ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam jab mere yahan raat basar karte to raat ke aakhri pehar Baqi’ jaate aur yeh dua padhte:
السَّلَامُ عَلَيْكُمْ دَارَ قَوْمٍ مُؤْمِنِينَ، وَأَتَاكُمْ مَا تُوعَدُونَ غَدًا مُؤَجَّلُونَ، وَإِنَّا إِنْ شَاءَ اللَّهُ بِكُمْ لَاحِقُونَ، اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِأَهْلِ بَقِيعِ الْغَرْقَدِ​
(Sahih Muslim: 974)

Hum bhi yeh dua padhen, is ke alawah bhi mayyat ki maghfirat aur bulandi e darjaat ki dua kar sakte hain. Magar dhiyan rahe ke qabr waalon ke waseele se dua karna, qabron ke paas ta’zeeman haath bandh kar khada hona, use sajda ya Tawaf karna, wahan nauha karna, qabr waale ke liye ya qabr ki taraf tawajjah kar ke namaz padhna, tabarruk ke taur par qabr ki mitti uthana ya qabron aur qabrastan ki dewaaron ko choomna chaatna aur qabr waalon ke esaal e sawab ke waaste durood, Surah Fatiha, charon Qul, Surah Yaseen aur Surah Baqarah ki aakhri aayaat padhna, yeh saare umoor na-jaaiz hain, is liye hamein in kaamon se har haal mein bachna hai.

✯Masjid e Quba:✯
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Makkah se Madinah hijrat ke waqt is Masjid ko banaya tha. Is ki bhi badi fazeelat warid hai. Kuch ahadees dekhen:
عَنِ ابْنِ عُمَرَ ، قَالَ : كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَأْتِي مَسْجِدَ قُبَاءٍ رَاكِبًا وَمَاشِيًا، فَيُصَلِّي فِيهِ رَكْعَتَيْنِ​
Tarjumah: Hazrat Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam paidal ya sawaar ho kar Masjid e Quba tashreef laate aur do rakat (Namaz e nafl) ada karte.
(Sahih Muslim: 1399)

Ek doosri Hadees mein hai:
مَنْ تَطَهَّرَ فِي بَيْتِهِ، ثُمَّ أَتَى مَسْجِدَ قُبَاءَ، فَصَلَّى فِيهِ صَلَاةً كَانَ لَهُ كَأَجْرِ عُمْرَةٍ​
Tarjumah: Jis shakhs ne apne ghar mein Wuzu kiya aur phir Masjid e Quba mein aa kar Namaz ada ki to use ek Umrah ka sawab milega.
(Ibn e Majah: 1412)
❗Allama Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai.

In Ahadees ki roshni mein pata chalta hai ke hamein jis din fursat mile ghar se Wuzu kar ke aayen aur Masjid e Quba mein namaz ada karen taaki Umrah ke barabar sawab paa saken. Namaz ke alawah is Masjid mein deegar kisi makhsoos ibadat ka zikr nahi milta. Aur yeh bhi yaad rahe ke ahl e Madinah ya zaa’ireen e Madinah ke alawah kisi doosri jagah se sirf Masjid e Quba ki ziyarat pe aana Mashroo’ nahi hai.

✯Shuhadaa e Uhud:✯
Madinah mein Uhud naam ka ek pahaad hai us ke daman mein hijrat ke teesre saal musalmanon aur Quresh ke darmiyan ladaayi hue jo Ghazwa e Uhud ke naam se mashhoor hai. Is Ghazwe lmein 70 Sahaba e Kiraam (64 Ansari, 6 Muhaajir) shaheed huwe. Unhein isi pahaadi daman mein dafan kiya gaya. Shuhadaa e Uhud mein Sayyid-ush-Shuhadaa Hamza bin Abdul Muttalib, Mus’ab bin Umair, Abdullah bin Jahsh, Jabir bin Abdullah bin Amr bin Haraam, Amr bin Jamooh, Sa’d bin Rabee’, Kharija bin Zaid, No’man bin Maalik aur Abdah bin Has-haas Radhiallahu Anhum qabil e zikr hain.
Imam Tabri Rahimahullah likhte hain ke Maidan e Uhud mein qible ki taraf Shuhadaa e Uhud ki qabrein hain, un mein se koi qabr maloom nahi siwaye Hamza Radhiallahu Anhu ke.
Shuhadaa e Uhud ki ziyarat usi tarah karen jaise Baqi’ ul Gharqad ke tehat likha hai. Jin baaton se mana kiya gaya hai yahan bhi un baton se bachen aur yeh baat zehen mein bithaayen ke Jabal e Uhud (Uhud ke pahaad) par chhadhna koi ibadat nahi hai na hi wahan ke darakhton, paththaron aur gharoon mein kapde aur dhaage bandhen chaahe kisi niyyat se ho.

✵Za’ireen (visitors) ke liye teen ahem naseehatein:✵
Upar zikr kiye gaye muqaddas maqamaat yani Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki qabr e mubarak, Hazrat Umar aur Abu Bakr Radhiallahu Anhuma ki qabr, Riyaz ul Jannah, Masjid e Quba, Baqi’ qabrastan aur Shuhadaa e Uhud ke qabrastan ke alawah Madinah ke deegar maqamat ki sawab ki niyyat se ziyarat karna shar’an jaaiz nahi hai chaahe Masaajid hon jaise Masaajid e Sab’ah, Masjid e Jabal e Uhud, Masjid e Qiblatain, Masjid e Juma’ ya Masaajid e Eidgaah waghera chaahe koi tareekhi maqam ho jaise Maidan e Badr ya Bi’r Rauhaa jise bid’atiyon ne Bi'r e Shifa naam de rakha hai. Is liye apna waqt aur rupiya paisa fuzool kharch karne se behtar hai kisi miskeen ko sadqa kar den.

Aap ko Allah Taala ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke shahar ki ziyarat ka mauqa ata kiya. Is par Allah ka shukr ada karen saath hi Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se saari kaayenaat se ziyadah yahan tak ke apni jaan se bhi ziyadah mohabbat karne ka azm e musammam (pukhta iraada) karen. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se mohabbat imaan ka hissa hai. Mohabbat ki alamaat mein se hai ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat ka ilm haasil kiya jaye, us par amal kiya jaaye aur doosron tak us ko pahunchaya jaaye. Is mazmoon ke zariye ziyarat ke jo aadaab maloom huwe us par amal karna aur use phailaana bhi hubb e Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam mein daakhil hai.

Allah ke yahan kisi bhi amal ki qubooliyat ke liye teen shartein hain, hamesha unhein zehen mein rakhen.
✯Pehli shart niyat ka khalis hona:✯ Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
إِنَّمَا الْأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ​
Tarjumah: Beshak aamaal ka daar o madaar niyyaton par hai.
(Sahih bukhari: 1)

✯Doosri shart aqeeda e tauheed ka hona:✯ Yani amal karne waale ka agar aqeedah durust nahi to nek amal bhi qubool nahi hota. Allah Taala ka farmaan hai:
وَلَوْ أَشْرَكُوا لَحَبِطَ عَنْهُم مَّا كَانُوا يَعْمَلُونَ​
Tarjumah: Aur agar bil-farz (Ambiya Alaihimussalam) bhi shirk karte to un ke bhi kiye huwe tamam aamaal barbaad ho jaate.
(Surah Al-An’aam, Surah No: 6 Ayat No: 88)

✯Teesri shart amal ka sunnat ke mutabiq hona hai:✯ Kiunki jo amal Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke sunnat ke mutabiq na ho woh bhi barbaad kar diya jaata hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
مَنْ عَمِلَ عَمَلًا لَيْسَ عَلَيْهِ أَمْرُنَا فَهُوَ رَدٌّ​
Tarjumah: Jis ne koi aisa amal kiya jis par hamara hukm nahi toh wo amal mardood hai.
(Sahih Muslim: 1718)
 
Top