Nizam'udin auliya aur fatiha khalf'ul imam


Nizam'udin auliya aur fatiha khalf'ul imam

Maulana manazir ahsan gelani likhty hain:
Mashoor baat hai kay hazrat sultan'ul mashaikh nizam'uddin auliya hadees se he mutasir ho kar bawajod sakht hanfi honay kay QIRA'AT KHALF'UL IMAM karty thay.

Badauni ne bhi inkay mutalliq likha hai:
Yehi baat hindi taswwuf kay dosray rukun rakeen hazrat makhdom'ul mulk shah sharf'udin yahya muneri ki taraf mansoob hai kay wo bhi hadees he kay zer'e asar FATIHA imam kay peche parhty thy.
Pak'ohind mein musalmano ka nizam'e taleem'o tarbiyat jild 1 safa 135

Sultan'ul auliya hazrat sheikh muhammad badauni dehalwi kay samny esi qism kay jab aqwal wagaira pesh kiye gae tu unho ne farmaya kay:
AN'HAZRAT MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka irshad hai kay jo shakhs FATIHA nahi parhta uski namaz nahi hoti, mein waid ka mutahammil tu ho sakta hon lekan ye bardasht nahi kar sakta kay meri namaz he ALLAH Taala kay nazdeek batil qarar pae.
Nazha't al'khuwatir jild 2 safa 123,124

Hazrat nizam'udin auliya r.a kay is jawab se SURAH FATIHA ki jo ahmiyat wazeh hoti hai wo musalmano bilkhsus barelvi dosto kay liye kabil'e gour hai kay hazrat al-sheikh ko munh mein aag ki chingari gawarah hai magar FATIHA KHALF'UL IMAM ko chorna gawarah nahi.
 
Top