FIRQAH WAARIYAT, NATIJAH AUR DAWAT-E-FIKR


FIRQAH WAARIYAT, NATIJAH AUR DAWAT-E-FIKR
Tahreer: FAZILAT-USH-SHAIKH HAFIZ NADEEM ZAHEER hafizahullah
(Maahnaamah AL-HADIS, Shumaarah No.40, page:2-4)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Ummat-e-Muslimah jin pareshaan kon haalaat se dochaar hai, is ke bahut se asbaab o wajohaat hain. Agar sarsari taur par jayezah liya jai to ye haqiqat munkashif hogi ke aaj Ummat-e-Muslimah jis mod par khadi hai, us ka ek ahem pahlo inteshaar aur efteraaq aur be-jaa ikhtilaafaat ka shikaar hona hai.

Jis se har saleem-ul-fitrat dil ki dhadkan be tarteeb, zahen mutafakkir aura ankh nam-naak hai.

Kionke aghyaar is sorte haal se nah sirf bharpor fayedah utahrahe hain balke in zakhmon par namak paashi bhi kar rahe hain aur Musalmaanon ki maujodah haalat (Situation) is us bhoke sher ki maanind hai jise pinjre me qaid karke uske saamne 'said'(shikaar) chod diya jaye aur sher thodi der keliye tadabpta hai, kabhi dayen kabhi bayen phir bil-aakhir thak kar baith jaataa hai aur hasrat bhari nigahon se pane shikaar ko dekhta rahta hai. Bilkul yahi sulook Ummat-e-Muslimah ke saath horaha hai jin'he mar'wobiyat wo be-basi ke andhe konwe me daal kar unke saamne kabhi RASOOLE MUKARRAM SYIDINA MUHAMMED sallallahu alaihi wasallam ke toheen aameez khake pesh kiye jate hain to kabhi malon 'Rushdi' ko"sir" ke khitaab se nawaaza jata hai aur bechare rohani, jismaani aur zahni taur par mafloj Muslamaan kuch arse keliye tadap kar rah jate hain.

Qaariyeen-e-Kiraam! kab tak hamare saath aisa hota rahega?

Kab tak inteshaar o ifteraaq ki daldal me phanse rahenge?

Kab tak ikhtilaafaat ke bhatti me jhulaste rahenge?

Kab tak firqah waariyat ki bhaint chadhe rahenge?

Kab ye bashaarat-e-mubarekah son'ne ko milegi ki Ummat-e-Muslimah ittehaad ke plate forum (Quran O Sunnat) pat akhatti hogai hai.

Muazzez Qaariyeen! Ikhtilaaf ka hojana badi baat nahi! likin jab ye ikhtilaafaat, tanaziaat ki sorat ikhtiyaar karlen, hasad o keenah, bughz o fasaad ka zariyah ban jayen, nisbaten shakhsiyaat ki taraf hona shoru ho jayen, markaz o mahwar: ghair-e-rasool bain jaye aur jab firqon me munqasim kade to yaqinan qaabil-e-ghaur amar hai!

LAMHAI FIKR:
Ayese me hamara kirddaar kya hona chahiye?

Ke jis se tamaam Musalmaan ek Ummat, ek jamaa'at ban jayen.Woh hai khaalis Quran o Hadis ki dawat aam karna, waazeh rahe Siraat-e-Mustaqeem ka wahed zaryah aur ittehaad e ummat ki waahed sabeel sir Quran o Hadis hai.

Yahaan bhi baaz dil jale tajahle aarifaanah ki rawish apnaate howe ye nara buland karte hain ke sirf Quran o Hadis kahne se "ijmaa o ijtehaad ka inkaar hogaya" haalaanke jab ijmaa o ijtehaad ka sabot Quran o Hadis se milta hai to Quran o Hadis ke maan'ne me ijmaa o ijtehaad ka maan'na khod ba-khud aagayaa.
﴿يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَأُولِي الْأَمْرِ مِنْكُمْ فَإِنْ تَنَازَعْتُمْ فِي شَيْءٍ فَرُدُّوهُ إِلَى اللَّهِ وَالرَّسُولِ إِنْ كُنْتُمْ تُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ ذَلِكَ خَيْرٌ وَأَحْسَنُ تَأْوِيلًا﴾

(Surah al-Nisa:59)
"Aye logo jo emaan laye ho! tum ALLAH ki itaa'at karo aur RASOOL ki itaa'at karo aur unki jo tum me se ashabe amar hain. Phir agar tum kisi cheez me baham ikhtilaaf karo to is ko ALLAH aur RASOOL ki taraf luta do, agar tum ALLAH aur yaome aakhirat par emaan rakhte ho, ye bahtar aur bahut achcha anjaam hai."

Ye aayat-e-kareemah waazeh dalil hai ke tanazia (ikhtilaaf) ki sorat me Quran o Hadis hi ki taraf rojo karna chahiye aur firqa waariyat ke khaateme ka bahtareen o mujarreb nushkah hai.

RASOOLULLAH sallallahu alahi wasallam ne farmaya:
((فَإِنَّ خَيْرَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ وَخَيْرُ الْهُدَى هُدَى مُحَمَّدٍ))
"Bahtreen baat kitabullah hai aur bahtreen hidaayat MUHAMMED sallallahu alahi wasallam ki sunnat hai."(Sahih Muslim:867)

AAP sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya:
((قَدْ تَرَكْتُكُمْ عَلَى الْبَيْضَاءِ لَيْلُهَا كَنَهَارِهَا لاَ يَزِيغُ عَنْهَا بَعْدِي إِلاَّ هَالِكٌ))
"Main tumhen chamakti (shariat) par chod raha hon, is ki raat (bhi) iske den ki tarah roshan hai, mere ba'ad is se woh shakhs hi phirega jo hilaak hone wala hai."(Suan Ibn Majah, al-Muqaddimah, Hadis No.43, aur is ki sanad SAHIH hai)

Is qadar chamakti sharia aur roshan deen ko chod kar ghair ki chukhat par baithna yaa aam shaksiaat ke daaman se chimatna, andher men taamak toyian maarne ke mutaradif to aur kya hai?

Hamare Salaf Saaliheen ka ye turrah imtiyaaz thaa ke wo Quran o Sunnat ke muqabile me kisi gair ki baat ko hujjat samajhana to darkinaar usey darkhor etena(tawajjoh ke qaabil) bhi nah jaante the.

Syidina Ali raziallahu-anhu ne farmaaya:
((مَا كُنْتُ لأَدَعَ سُنَّةَ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لِقَوْلِ أَحَدٍ))
"Main kisi shakhs ke kahne se NABI sallallahu alaihi wasallam ki sunnat nahi chod sakta."(Sahih Bukhari:1563)

Saalam Bin Abdullah rahimahullah bayaan karte hain ke Mulke Shaam ke ek aadmi ne Syidina Abdullah Bin Omer razailahu-anhuma se Hajj-e-Tamatto ke bare mae sawaal kya to Syidina Abdullah Bin Omer raziallahu-anhuma ne farmaaya: ye halaal (jayez). To Shaami ne kaha: Aap ke waalid-e-muhtaram ne is se mana kya hai. Syidina Abdullah Bin Omer raziallahu-anhuma ne farmaaya:
Tumhara khiyaal hai ke agar mere waalid ne us se roka ho aur RASOOLULLA sallallahu alaihi wasallam ne usey kya ho( to kya) mere waalid ke hukom ki pairwi ki jaigi yaa RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ke hukom ki? us shakhs ne kaha: balke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ke hukom ki (pairwi ki jayegi, to Syidina Abdullah Bin Omer raziallahu-nahuma ne) farmaaya: RASOOLULLAH sallallahu alahi wasallam ne isey (Hajje Tamatto ko) kya (yani jayez qaraar dya hai). (Suan al-Tirmizi:824, aur is ki sanad SAHIH hai)

Ittehaade Ummat me badi rukawat "TAQLEED" bhi hai jis ne ummat ko paarah paarah kya aur mukhtalif goron me taqseem kardya hai.

Syidina Abdulla Bin Masood raziallhu-anhu farmaate hain:
((لَاتُقَلِّدُوا دِينَكُم الرِّجَال۔۔۔۔الخ))
"Apne deen me aadmion ki taqleed mat karo…[aakhir tak]"(Al-Sunan Al-Kubra lil-Baihaqi:2/10, aur is ki sanad SAHIH hai)

Syidina Muaz Bin Jabal raziallahu-anhu farmate hain:
((أَمَّا الْعَالِمُ فَإِنِ اهْتَدَى فَلَا تُقَلِّدُوهُ دِينَكُمْ))
"Aalim agar sidhe raaste par bhi hoto uske apne deen me taqleed nah karo."(Jami Bayaan al-Ilm wa Fazlih:2/111,[2/982, Hadis No.1872, Pubshed: Daar Ibn Jauzi, KSA])

KHULAASAH:
Hamari is tahreer ka khulaasah ye hai ke waqt taqazah kar raha hai ke Ummat-e-Muslimah muttahed aur munnazam ho aur ye usi waqt mumkin hai jab hum sirf Quran o Hadis ko raahnuma tasleem kar ke us par amal paira hon. Yahi firqah waariyat ke khatime ka zariyah hai. Is se nah sirf dunaya me izzat ka husol hoga balke aakhirat me bhi surkhuro honge. IN SHA ALLAH
 
Top