FITNA E DAJJAL


FITNA E DAJJAL
By: Muhammed Faisal Khan
Tarteeb: Abu Umaimah Owais
Bismillahirrahmanirraheem
Shuru Allah Ka Naam Le Kar Jo Bada Meharbaan Aur Nihayat Raham Wala Hai

MASEEH DAJJAL KA ZAHOOR
Maseeh: Arabi zubaan mein maseeh k mukhtalif maana hai jinme se baaz ye hai:
kisi cheez ko poojne wala, kisi cheez par haath pherne wala, kisi bimari k liye aafiyat ki dua karne wala, aur bahut zayada sach bolne wala, bahut jayada safar karne wala,Hazrat Isa Alaihis Salaam k liye maseeh lafz inhi maanoo mein istemaal hota hai.

Maseeh k dusre maana ye hai aankh se kana, bahut zayada jhoot bolne wala, bahut jayada safar karne wala dajjal ko maseeh inhi dusre maana mein kaha gaya hai, Yaad rahe k dajjal mubalaga ka segaa hai jiska matlab hai bahut jayada jhoot
bolne wala ya bahut zayada fareeb dene wala.

QAYAMAT SE QABL DAJJAL ZAHIR HOGA.
DAJJAL K KHUROOJ KI IBTIDA IRAAN K SHEHAR KHARASAAN SE HOGI.
Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aagah farmaya: "Dajjal mashrik ki sarzameen se niklega jiska naam kharasaan hai chamda bhari dhaloo jese chehre wale loog uske saath honge". (Ibne maja Kitabul Fitan Hadees no. 3291)
Wazahat: chamda bhare dhaloo jese chehre se muraad goosht se parchapte chehte wale muraad hai.

DAJJAL KA ZAHOOR AESE WAQT HOGA JAB LOOG US SE BILKUL GAFIL HONGE
Hazrat sa'ab bin jasama Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suna hai "Dajjal zahir nhi hoga magar us waqt jab loog use bilkul bhool chuke honge hatta k a'imma (Masajid) mimbaro par uska zikr karna bhi chood denge". (Musnad Ahmad Hadees no. 229)

KISI BAAT PAR GAZAB NAAK HONA DAJJAL K KHUROOJ KA SABAB BANEGA
Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal ka loogo k saamne nikane ka pehla sabab uska gussa hoga jo use gazab naak bana dega". (Sahih Muslim Kitabul Fitan)

DAJJAL KAHA HAI? DAJJAL BAHAR HIND K KISI NA MALOOM JAZEEREY PAR ZANJEERO SE JAKDA HUA HAI
Hazrat Fatima binte kais Razi Allahu Anha se riwayat hai k ek raat Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam isha ki namaz k liye k liye dair se tashreef laye aur farmaya: Mujhe tameem daari (ek isayi aalim jo baad mein musalman ho gaye) ki un baato ne rook liya tha jo wo mujhse keh raha tha tameem ne ek aadmi k hawale se mujhe bataya k wo aadmi samundar k kisi jazeere par (kashti k samundari toofaan mein phans jane ki waja se) pahunch gaya jahan use ek aurat mili jo apne baalo ko khinch rahi thi, is aadmi ne aurat se pucha: tum kaun ho? aurat ne jawab diya mein (dajjal ki) jaamoos hu tu zara is mehal ki taraf aa, mein us mehal mein chala gaya waha mene ek aadmi dekha jo baalo ko khinch raha tha wo zanjeero mein jakda hua tha aur zameen wa aasman k darmiyaan uchal kood kar raha tha mene pucha: tum kaun ho? us aadmi ne jawab diya mein dajjal hu, phir dajjal ne pucha kya ummiyo k nabi zahir ho gaye? us aadmi ne jawab diya han, dajjal ne pucha loogo ne uski ita'at ki ya nafarmaani? us aadmi ne kaha ita'at, dajjal ne kaha ye unke liye accha hai. (Abu Dawood Kitabul Fitan Hadees no. 3636)

Hazrat Fatima binte kais Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Aagah raho, dajjal shaam ya yaman k samundar mein mojood hai (phir farmaya) nahi balke wo mashrik ki taraf hai wo mashrik ki taraf hai wo mashrik ki taraf hai phir aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne haath mubarak se mashrik ki taraf ishara kiya". (Muslim Kitabul Malahim)

Wazahat: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pehle shaam ya yaman k samundar ka zikr farmaya phir uski tardeed farma kar takeed k sath mashrik k kisi samundar ka zikr farmaya shaari’heen e hadees ne iski wazahat mein ye likha hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka pehli baat ki tardeed farma kar dusri baat ki
teen martaba taakeed farmana wahi e ilahi ki bina par tha.

DAJJAL KAUN HAI? MADINE K YAHOODI GHAARANE MEIN PAIDA HONE WALA "SAAF" DAJJAL HAI JO PEHLE ISLAAM LAYA LEKIN BAAD MEIN MURTAD HO GAYA SAAF KI KANEET IBNE SIYAAD YA IBNE SAA'ID HAI
Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai ibne saa'id ne mujhse kuch baate ki jinki wajah se mujhe (use bura kehne mein) sharam mehsoos hui kehne laga mene apne baare mein loogo se maazrat ki (k mein dajjal nahi) lekin ae ashaab e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! maloom nhi tumhe mere baare mein kya (gumaan) ho gaya hai, Kya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne nahi farmaya: k dajjal yahoodi hoga aur mein to musalmaan hu, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: dajjal ki aulaad nhi hogi aur meri aulaad hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Allah ta'ala ne dajjal ka makka mein dakhil hona haraam kiya hai aur mene to hajj kiya hai wo aesi baate karta raha kareeb tha k mein uski baato par yaqeen kar leta lekin saath hi usne kaha: Allah mein acchi tarha jaanta hu dajjal is waqt kaha hai us k maa baap ko pehchanta hu loogo ne ibne saa'id se pucha tujhe pasand hai k tu hi dajjal ho? kehne laga agar mujhe banaya jaye to mein napasand nhi karunga. (Sahih Muslim Kitabul Fitan) Hazrat Abdullah bin mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they hamara guzar baccho se hua jinme ibne siyaad bhi tha, tamaam bacche bhaag gaye lekin ibne siyaad baitha raha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye baat buri lagi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "tere haath gubbar aalood ho kya tu gawahi deta hai k mein Allah ta'ala ka Rasool hu?" wo bola "nahi" "phir ibne siyad kehne laga kya tu (yaani Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam) gawahi deta hai k mein Allah ka Rasool hu?", Hazrat Umar Razi Allahu Anhu (jo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they) ne kaha: Ya Rasool Allah Sallallahu Alaiahi Wa Sallam mujhe ijazat de mein ise qatal kardo, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Agar ye wahi hai jiska tujhe shak hai (yaani dajjal) to phir tu ise qatal nahi kar sakta" (aur agar koi aur hai to ise qatal karne ka faida nahi). (Sahih Muslim Kitabul Fitan)

Ahle ilm ki tehqeeq k mutabik ibne siyaad hi wo dajjal hai jise Allah ta'ala k huqm par farishto ne kisi jazeere mein band kar rakha hai aur qayamat k kareeb wo zahir hoga agarche wo madina mein paida hua aur makka madina mein hajj kiya lekin jab wo fitna paida karne k liye zahir hoga to makka mein dakhil ho sakega na madina mein jesa k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pesheeen gooyi farmayi.

DAJJAL KA HULIYA DAJJAL KI EK AANKH KAANI AUR USKE SAR K BAAL GHUNGRAALE HONGE, RANG SURKH AUR JISM BHARI HOGA
Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Mene khawaab mein dekha k mein tawaaf kar raha hu achanak mene ek aadmi dekha gandum goo sidhey baalo wala (yaani sunhere sidhey baal wala) uske baalo se paani tapak raha tha jese abhi abhi gusal kiya ho mene pucha: "ye kaun hai?" unhone bataya "Isa Bin Maryam Alaihis Salaam" phir mene dusri taraf tawajjo ki to ek surkh rang ka moota aadmi nazar aya jiske sar k baal ghunghreele, aankh kaani thi jis tarah foola hua angoor ho mene pucha "ye kaun hai?" unhone jawab diya "ye dajjal hai". (Bukhari Kitabul Fitan)

DAJJAL KI DONO AANKHO K DARMIYAAN KAAFIR LIKHA HOGA
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: koi nabi aesa nhi apni ummat ko kaane aur jhoote (dajjal) se na daraya ho aagah raho wo kana hoga aur tumhara rabb kana nhi hai aur dajjal ki dono aankho k darmiya "Kafir" likha hoga. (Bukhari Kitabul Fitan) Wazahat: Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye baat bhi irshaad farmayi hai k "Kafir" ka lafz har musalman padh lega khawah padha likha ho ya anpadh. (Muslim Kitabul Fitan)

DAJJAL K SAR PAR BAHUT JAYADA BAAL HONGE
Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "dajjal baayi (left) aankh se kaana hai uske sar par bahut zayada baal honge uske saath jannat aur jahannam hogi, (khabardaar) uski jahannam jannat hogi aur jannat jahannam hogi". (Ibne Maja Kitabul Fitan Hadees no. 3290)

DAJJAL KA FITNA DAJJAL K PAAS JANNAT AUR JAHANNAM DONO HONGI JO HAQEEQAT MEIN JAHANNAM AUR JANNAT HOGI
Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "kya mein tumhe dajjal k baare mein aesi baat na batau jo us se pehle kisi nabi ne apni ummat ko na batayi ho (wo ye hai k) dajjal kana hoga aur wo apne saath jannat aur jahannam jesi cheeze le kar ayega jise wo jannat kahega dar'asal wo jahannam hogi aur jise wo jahannam kahega wo jannat hogi". (Muslim Kitabul Fitan)

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat karte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal k baare mein irshaad farmaya: "uske saath paani aur aag hogi, dar haqeeqat uski aag thanda paani hogi aur uska paani aag hogi (khabar daar) apne aapko halaak na kar lena". (Muslim Kitabul Fitan)

DAJJAL K PAAS PAANI HOGA JO DAR HAQEEQAT AAG HOGI AUR AAG HOGI JO DAR HAQEEQAT SHEEREE PAANI HOGA
Huzaifa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal jab niklega to uske paas paani aur aag honge jise loog paani samjhenge wo dar haqeeqat jalaane wali aag hogi aur jise loog aag samjhenge dar haqeeqat wo thanda sheeree paani hoga lihaza tum mein se jo koi wo mauka paye to use chahiye k wo aag mein kood pade kyunki wo metha aur pakeeza paani hoga". (Muslim Kitabul Fitan)

DAJJAL K HUKM SE AASMAAN SE BAARISH BARSEGI, ZAMEEN SE GHAANS AUR ANAAJ WAGAIRA UGAIGA JANWAR PEHLE SE ZAYADA DOODH DENA SHURU KAR DENGE
Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan Razi Allahu Anhu kehte hai ek rooz Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal ka zikr farmaya humne arz kiya ya Rasool
Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! zameen mein uska ghoomna tezi se hoga? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: us baarish ki tarha jise hawa piche se dhakeelti hai wo ek kaum k paas ayega aur unhe apne aap par emaan laane ki dawat dega wo emaan le ayenge aur uski baat maan lenge chunanche wo aasmaan ko hukm dega aur wo barish barsayega zameen ko hukm dega aur wo nayabaat agaahegi (yaani ghaas wagaria ugg jayegi) shaam k waqt (loogo k) janwar charagaho se wapas ayenge to unki koohani pehle se badhi hongi than kushada honge aur pasliya khoob bhari hongi (yaani pehle se janwar moote taaze nazar ayenge, ye us kaum k emaan laane ka waseela hoga) phir wo dusri kaum k paas jayega aur unhe apne aap par emaan laane ki dawat dega lekin wo uski dawat ka inkaar kar denge chunanche dajjal waha se chala jayega aur un par kahat sali musallat ho jayegi aur unke maalo mein se kuch bhi unke paas narahega dajjal veeraan jagah ki taraf chala jayega aur zameen ko hukm dega apne khazaane ugal de to zameen apne khazaane uski taraf nikaal kar jama kar degi jis tarah shehad ki makkhiya badi makkhiyo k gard hujoom karti hai. (Muslim Kitabul Fitan)

Wazahat: Allah ta'ala loogo ki aazma'ish k liye dajjal ko baaz mauko ki kudrat de denge jis tarah Allah ta'ala ne loogo ki aazma'ish k liye shaitan ko waswasa daalne ka ikhtiyaar diya hai lihaza dajjal k un kaamo se kisi ko galat fehmi nhi honi chahiye k uske paas wakayi khudayi ikhtiyaraat honge agar aesa hota to wo apni kaani aankh hi durust kar leta ya dono aankho k darmeinyaan likha hua lafz kaafir hi mita leta.

ZAHOOR E DAJJAL K BAAD KISI KA EMAAN LANA QABIL E QUBOOL NHI HOGA
Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Teen baatey zahir hone k baad kisi aese shaks ko emaan lana faida nahi dega jo us se pehle emaan nhi laya ya halat e emaan mein koi naik kaam nhi kiya
1. Suraj ka magrib se tulu hona
2. Dajjal ka zahir hona
3. Dabbatul arz ka nikalna. (Muslim Kitabul Emaan)

DAJJAL KI SHIDDAT HAZRAT AADAM ALAIHIS SALAAM SE LE KAR QAYAMAT TAK FITNA E DAJJAL SE BADA FITNA AUR KOI NHI HOGA
Hazrat Hisham Bin Aamir Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suan k: "Aadam se le kar qayamat tak Allah ki makhlooq mein se (fitna) dajjal se bada koi (fitna) nhi hoga". (Muslim Kitabul Fitan)

FITNA E DAJJAL K KHAUF SE HAZRAT E AYESHA RAZI ALLAHU ANHA ROONE LAGI
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef laye aur mein roo rahi thi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne daryaft farmaya: "kyu roo rahi ho?" mene arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam dajjal yaad a gaya isi wajah se roo rahi hu, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: Agar dajjal meri mojoodgi mein nikla to tum sab ki taraf se mein uske liye kaafi hunga lekin agar wo mere baad nikla to yaad rakhna tumhara rabb kana nahi hai. (Musnad Ahmad Hadees no. 12512, Majmua uz zawahid 7/651)

DAJJAL KA ZAMANA PAANE WALE LOOGO KO AAMNA SAAMNA KARNE SE GURAIZ KARNE KA HUKM
Hazrat Imraan Bin Hussain Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks dajjal ki khabar sune wo uske saamne ane se guraiz kare Allah ki kasam jab koi aadmi uske paas jayega to yahi samjhega k wo momin hai jo shubhey ki cheeze wo de kar bheja gaya hai unhe dekh kar wo uski pairwi karne lagega". (Abu Dawood Hadees no. 3629)

FITNA E DAJJAL SE DAR KAR MUSALMAAN PAHAADO MEIN JA CHUPENGE
Hazrat Ummey Shareek Razi Allahu Anha se riwayat hai k unhone Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suna hai: "Loog dajjal (k darr se) bhaag kar pahaado mein chale jayenge", Hazrat Ummey Shareek Razi Allahu Anha ne arz kiya: "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! us rooz arab (musalmaan) kaha honge?" (kya wo mukabala nhi karenge) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: wo us rooz tadaad mein kam honge. (Muslim Kitabul Fitan)

FITNA E DAJJAL IS QADAR AALAMGEER HOGA K MAKKA MUKARRAMA AUR MADEENA MUNAWWARA K ALAWA DUNYA KA KOI MULK AUR SHEHAR USKE FITNE SE MEHFOOZ NHI RAHE GA
Hazrat Anas Bin Maalik Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Koi shehar aesa nhi jisme dajjal dakhil na ho siwaye makka aur madeena k, farishte makka aur madeena k raasto par saff baandhey khade honge aur un doono shehro ki hifazat karenge dajjal madeena munawwara ki sanglaakh zameen tak pahunchega to teen baar zalzala ayega aur madeena munawwara mein mojooda tamaam kaafir aur munafiq (dar kar) dajjal k paas chale jayenge". (Muslim Kitabul Fitan)

FITNA E DAJJAL KI MUDDAT HAMARE SHAB WA ROOZ K MUTABIQ FITNA E DAJJAL KI MUDDAT EK SAAL DO MAAH AUR DO HAFTA HOGI
Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan Razi Allahu Anhu kehte hai ek rooz Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal ka zikr farmaya aur naseehat farmayi: "Ae Allah k bando saabit kadam rehna, Humne arz kiya dajjal kitni muddat tak zameen mein rahega? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: Chalees rooz (40 Din), jinme se pehla din ek saal k barabar hoga dusra din ek mahine k barabar hoga aur teesra rooz hafta k barabar hoga aur uske baad 37 rooz tumhare shab

wa rooz k barabar honge, humne arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! pehla din jo saal k barabar hoga usme ek din ki (paanch) namaze hi kaafi hogi? aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: nahi apne rooz wa shab ka andaaza karke (saal bhar ki) namaze padhna". (Muslim Kitbaul Fitan)

DAJJAL K PAIROKAAR IRAAN K EK SHEHAR ISFAHAAN SE SATTAR HAZAAR YAHOODI DAJJAL KA SAATH DENGE
Hazrat Anas Bin Maalik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: (iraan k shehar) isfahaan k sattar hazaar yahoodi siyaah (Kaali) chadare oudhey hue dajjal ka saath denge. (Muslim Kitbul Fitan)

MOOTE AUR CHOODE CHEHRE WALI BAHUT SI KAUMEY DAJJAL PAR EMAAN LE AYENGI
Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "dajjal mashrik ki sar zameen se zahir hoga jise kharasaan kaha jata hai bahut si qaume uske saath hongi jinke chehre chamda lagi dhaalo ki tarha (moote moote aur choode choode) honge. (Tirmizi Hadees no. 1824)

Wazahat:
Mumkin hai choode chehre wali qaumo se muraad roos (Rusia), Cheen, japan aur koria wagaira ki qaume hongi (Wallahu Aalam)

KAAFIR AUR MUNAFIQ BHI DAJJAL KA SAATH DENGE
Jesa k piche safhaat mein guzar chuka hai dajjal madeena munawwara ki sanglaakh zameen tak pahunch jayega to teen baar zalzala ayega aur madeena munawwara mein mojood tamaam kaafir aur munafiq (darkar) dajjal k paas chale jayenge (yaani uska saath denge). (Muslim Kitabul Fitan).

DAJJAL K KHILAAF JIHAAD
AASMAANO SE NAAZIL HONE K BAAD HAZRAT ISA ALAIHIS SALAAM MUSALMANO K SAATH MIL KAR DAJJAL AUR USKE LASHKAR K KHILAAF JIHAAD KARENGE, JISME MUSALMAANO KO FATAH HOGI AUR DAJJAL HAZRAT ISA ALAIHIS SALAAM K HAATHO "LAD" K MUKAAM PAR QATAL HOGA
Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jab Allah ta'ala hazrat maseeh bin maryam alaihis
salaam ko bhejega to wo damishaq k mashriki hisse mein (masjid k) safaid minaar k paas apne dono haath do farishto k kandho par rakhey hue utrenge jab hazrat isa alaihis salaam apna sar jhukayenge to unke sar se paani k kaatre tapkenge (jese abhi abhi gusal kiya ho) jab apna sar uthayenge to chandi k mootiyo ki tarha
(safaid) kaatre unke baalo se jhalakte nazar ayenge unke saans ki hawa jin jin kafir tak pahunchegi wo mar jayega, hazrat isa alaihis salaam k saans ka asar waha tak pahunchega jaha tak unki nigah pahunchegi (aasmaan se naazil hone k baad) hazrat isa alaihis salaam dajjal ko talaas karenge aur "LAD" k muqaam par use
qatal karenge". (Muslim Kitbul Fitan)

Wazahat:
yaad rehe aaj kal "LAD" k muqaam par israeel ka hawayi adda hai.

DAJJAL SE MUQABALA KARNE K LIYE MUSALMAANO KA PADAO MASHRIQ K KAREEB "GOOTA" K MUQAAM PAR HOGA
Hazrat Abu Darda Razi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: (dajjal se) jang k doraan musalmaano ka padao mashriq shehar ki ek simt "GOOTA" mein hoga damishq shaam k shehro mein se behtareen shehar hai. (Abu Dawood Hadees no. 3611)

HAZRAT ISA ALIHIS SALAAM DAJJAL KO KHUD APNE NEEZEY SE QATAL KARENGE
Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Hazrat isa alaihis salaam (aasman se) naazil honge aur musalmano ko namaz padhayenge phir jab Allah ka dushman dajjal hazrat isa alihis salaam ko dekhega to yu ghulne lagega jis tarha namak paani mein ghulta hai agar isa alaihis salaam use chood deete tab bhi (hazrat isa alaihis salaam k khauf se) ghul ghul kar mar jata lekin Allah ta'ala use hazrat isa alihis slaaam k haatho qatal karayega aur hazrat isa alaihis salaam apne neezey par dajjal ka khoon loogo ko dikhayenge". (Muslim Kitabul Fitan)

DARYA E URDAN PAR BHI DAJJAL SE AHLE EMAAN KA MAARKA HOGA
Hazrat Nuhaik Bin Sureem Sukooni Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tum loog mushriko se jang karoge hatta k tumhare (lashkar se) baaki maandah loog dajjal se jang karenge darya e urdan par tum loog mashriqi kinaaro par honge aur dajjal ka lashkar magribi kinaaro par hoga". (Majmua uz zawahid hadees no. 7/668, Tabraani Kitabul Fitan Hadees no. 12542)

DAJJAL K KHILAAF JIHAAD MEIN EK BHI YAHOODI ZINDA NHI BACHEGA HATTA K PATTHAR YA DARAKHT KI AADH MEIN KOI YAHOODI CHUPA HOGA TO WO PATTAR AUR DARAKHT PUKAREGA "AE MUSALMAN MERE PICHE YAHOODI CHUPA HAI ISE QATAL KAR"
Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayata hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Qayamat qayam nhi hogi yaha tak k musalman yahoodiyo k khilaaf jang karenge jis mein musalman yahoodiyo ko qatal karenge hatta k agar koi yahoodi kisi patthar ya darakht k piche chupa hoga to patthar ya darakht bolega "Ae musalman, Allah k bande! idhar mere piche yahoodi chipa hai ise qatal kar"." (Muslim Kitabun Fitan)

UMMAT E MUHAMMADIYA KA AAKHIRI MAARKHA DAJJAL K KHILAAF HOGA USKE BAAD JIHAAD KHATAM HO JAYEGA
Hazrat Imran Bin Hussain Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Meri ummat se ek jama'at haq ki khatir hamesha jihaad karti rahegi aur gaalib rahegi us par jo unse (yaani musalmaano se) dushmani rakkhega hatta k meri ummat ka aakhiri garooh maseeh dajjal k khilaaf jihaad karega". (Abu Dawood Kitabul Jihaad Hadees no. 2170)

DAJJAL MAKKA MUKARRAMA AUR MADEENA MUNAWWARA MEIN DAKHIL NHI HO SAKE GA MADEENA MUNAWWARA MEIN DAKHIL HONE WAALE SAAT RAASTO PAR ALLAH TA'ALA DO DO NIGRAAN FARISHTE MUQARRAR FARMADEGE JO DAJJAL KO MADEENA MUNAWWARA MEIN DAKHIL NHI HONE DEGA
Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Madeena k loog maseeh dajjal se mar'oub nahi honge us waqt madeena k saat darwaaze honge aur har darwaaze par do do farishte pehra de rahe honge. (Bukhari Kitabul Fitan)

MAKKA MUQARRAMA MEIN BHI DAJJAL DAKHIL NHI HO SAKEGA USKI HIFAZAT PAR BHI ALLAH TA'ALA FARISHTE MUQARRAR FARMADEGA
jesa k pichle safhaat mein guzar chuka hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: koi shehar aesa nhi jisme dajjal dakhil na ho siwaye makka aur madina k, farishte makka aur madina k raasto par saff bandhe khade honge aur un dono sheharo ki hifazat karenge. (Muslim Kitabul Fitan)

KHARASAAN SE NIKALNE K BAAD DAJJAL MADEENA MUNAWWARA KA QASAD KAREGA UHAD PAHAAD K QAREEB PAHUNCHNE SE PEHLE HI FARISHTE USKA MUH SHAAM KI TARAF PHER DENGE AUR WO WAHI HALAAK HOGA
Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: kaana dajjal mashriq ki taraf se ayega uska maqsad madeena munawwara aane ka hoga wo uhad pahaad k piche tak ayega phir farishte uska rukh shaam ki taraf pher denge aur wo wahi halaak hoga. (Muslim Kitabul Hajj)

AHLE EMAAN KO ALLAH TA'ALA FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ RAKKHEYGA AHLE EMAAN KO ALLAH TA'ALA FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ RAKKHEYGA
Hazrat Mugeera bin Shu'ba Razi Allahu Anhu kehte hai dajjal k baare mein jitna mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha itna kisi aur ne nhi pucha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tujhe uski itni fikar kyu hai wo tujhe kuch bhi nuksaan nhi pahuncha sake ga?" mene arz kiya Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! loog kehte hai uske paas khana aur nehre hongi? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: uske paas jo kuch bhi hoga wo Allah k nazdeek bahut hi haqeer hai. (Muslim Kitabul Jihaad Hadees no. 2170)

ALLAH KI REHMAT SE ANPADH AHLE EMAAN BHI DAJJAL KI PAISAHANI PAR "KAFIR" LAFZ PADH KAR USE PEHCHAAN LENGE
Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal ki ek aankh kaani hai uske uper ek phuli hogi uski dono ankho
k darmiyaan (paishani par) "Kafir" likha hoga jise har momin, padha likha ya anpadh sab padh lenge". (Muslim Kitabul Fitan)

JO LOOG DAJJAL KO PEHCHAAN KAR APNE EMAAN PAR QAYAM RAHENGE UNPAR DAJJAL KA FARAIB NAHI CHALEGA
Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal par chunke madina mein dakhil hona haraam kar diya gaya hai lihaza wo madeena se bahar ek sanghlaakh zameen par utrega us waqt madeena walo mein se sabse behtar aadmi dajjal k paas jayega aur kahega
mein gawahi deta hu k tu hi dajjal hai jiske baare mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hame bata gaye hai dajjal (loogo se mukhatib ho kar) kahega agar mein us aadmi ko qatal kardu phir zinda kardu to kya tumhe mere ila (mabood) hone par koi shak reh jayega loog kahenge nhi! chunanche dajjal use qatal karega phir zinda karega wo aadmi kahega Allah! ab to mujhe aur bhi zayada yaqeen ho gaya hai k tu hi dajjal hai, dajjal use dobara qatal karna chahega lekin kar nahi sakega". (Muslim Kitabul Fitan)


EK MOMIN AADMI KO DAJJAL AAREY SE CHEER KAR DO TUKDE KARDEGA AUR ZINDA HONE KA HUKM DEGA JAB WO DOBARA ZINDA HO JAYEGA TO DAJJAL MOMIN KO DOBARA QATAK KARNA CHAHEGA TAB ALLAH TA'ALA US MOMIN KA JISM PEETAL KA BANA DEGA AUR DAJJAL USE QATAL NHI KAR SAKEGA
Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Dajjal niklega to momino mein se ek aadmi uski taraf a raha hoga k raaste mein use dajjal k hathyaar band sipaahi milenge use puchenge "Kaha ja rahe ho?" momin jawab dega "Jo dajjal zahir hua hai uski taraf ja raha hu" Dajjal k kaarinde us se puchenge "Kya tu hamare rabb (yani dajjal) par emaan nahi laya?" momin jawab dega hamara rabb makhfi nhi hai, dajjal k kaarinde kahenge ise qatal kar do, tab wo aapas mein ek dusre se kahenge kya tumhare rabb (yaani dajjal) ne mana nahi kiya k uske hukm k bagair kisi ko qatal na karna chunanche wo us momin aadmi ko dajjal k paas le jayenge jab momin aadmi dajjal ko dekhega to pukaar uthega loogo ye wahi dajjal hai jis ki khabar Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne di thi chunanche dajjal apne kaarindo ko uska sar kuchalne ka hukm dega wo uska sar kuchal denge uske pait aur peeth par bhi zarbe maarenge phir dajjal us se puchega "kya tu mujh par emaan lata hai?" jawab mein momin aadmi kahega "tu jhoota hai" dajjal huqm dega aur momin aadmi ko sar se le kar pao tak aarey se cheer diya jayega aur us aadmi k do tukde ho jayenge dajjal un dono tukdo k darmiyan ayega aur hukm dega "uth khada ho" chunanche momin aadmi seedha khada ho jayega dajjal use puchega "kya tu mujh par emaan lata hai?" momin aadmi kahega "tumhare muamale mein mere yaqeen mein aur bhi izafa ho gaya hai" (k tu hi dajjal hai) phir momin aadmi elaan karega "Ae loogo mere baad dajjal kisi dusre k saath aesa muamala nahi kar sakega" Dajjal use dobara zibah karne k liye pakdega lekin momin aadmin (Allah k hukm se) gale se le kar hansali tak taambe ka ban jayega aur dajjal use zibah nahi kar sakega dajjal use haatho aur pao se pakad kar door phenk dega loog samjhenge k dajjal ne use jahannam mein phenka hai halanke wo jannat mein dala gaya hoga Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad
farmaya: "wo shaks Rabbul aalameen k nazdeek sab se bada shaheed hai". (Muslim Kitabul Fitan)

FITNA E DAJJAL SE BACHNE WALE KHUSH NASEEBO KO ALLAH TA'ALA DUNYA MEIN HI HAZRAT ISA ALAIHIS SALAAM KI ZUBANI BULAND DARJAAT KI BASHAARAT DE DENGE
Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan Kalaabi Razi Allahu Anhu kehte hai ek din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal ka zikr kiya aur farmaya: "Phir Allah ta'ala k nabi isa alaihis salaam un loogo k paas tashreef layenge jinhe Allah ta'ala ne fitna e dajjal se bacha liya hoga unhe tasalli denge aur unhe un darjaat se aagah karenge jo Allah ta'ala ne uske liye jannat mein tayyar kar rakhey honge". (Ibne Maja Kitab Abwabul Fitan Hadees no. 3293)

FITNA E DAJJAL SE PANAH TALAB KARNE KI DUAYE FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ REHNE K LIYE DARJ ZAIL DUA MAANGNI CHAHIYE
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz mein (Darood shareef k baad) ye dua maanga karte they: "ALLAHUMMA INNI AOUZUBIKA MIN AZAABIL QABRI WA AOUZUBIKA MIN FITNATIL MASEEHID DAJJALI WA AOUZUBIKA MIN FITNATIL MAHYA WA MAMAATI ALLAHUMMA INNI AOUZUBIKA MINAL AASIMI WAL MAGRAMI"
Tarjuma: Ae Allah mein teri panah maangta hu azaab e qabr se maseeh dajjal k fitne se, zindagi aur maut ke fitne se, gunah aur qarz se (Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 832, Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 589)

Allah k Rasool Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Namaz mein ek aur dua padhte they: "ALLAHUMMA INNI AOUZUBIKA MIN AZAABI JAHANNAMA WA MIN
AZAABIL QABRI WA MIN FITNATIL MAHYA WA MAMAATI WA MIN SHARRI FITNATIL MAHEEHID DAJAAL
"
Tarjuma: Ae Allah! mein jahannam aur qabr k azaab
se, maut wa hayaat k fitne aur maseeh dajjal k shar se teri panah maangta hu. (Muslim Hadees no. 588)

SURAH KAHAF KI PEHLI DAS AAYAAT YAAD KARNE WALA SHAKS BHI FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ RAHEGA
Hazrat Abu Darda Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jis ne surah kahaf ki pehli das aayaat yaad kar li wo fitna e dajjal se bacha liya gaya. (Abu Dawood Kitabul Malahim Baab Khurooj E Dajjal Jild 2 Hadees no. 3626)

Allah Ta'ala hum sab ki Fitna E Dajjal se hifazat farmaye, Ummat e muslima mein ittehaad o ittefaaq paida farmaye, Allah ta’ala mere ilm mein izafa ata farmaye aur tamaam musalmano ki pareshaniyo ko door farmaye, hum tamaam musalmano ki jayez haajato ko qubool farmaaye, Ae Allah hame jab tak zinda rakhna to islaam par zinda rakhna aur jab hamara khatma ho to emaan par khaatma ho (Aameen Ya Rabbal Alameen) Aapka Deeni Bhai Muhammad Faisal Khan
 
Top