Ashra e Zil-Hijjah me aamaal e saleh


Umar Asari

Administrator
Staff member
Ashra e Zil-Hijjah me aamaal e saleh

SAWAL:
Kya maah e zul-Hijjah ke pehle das dino ko dusre sab ayyaam par fazeelat haasil hai?
Aur in das dino mein konse aise aamaal e Saleh hain jo kasrat se karna mustahab hain?

JAWAB:
Alhumdulillah:
Ita'at o farmabardari ke mousamon mein se maah e zil-Hijjah ke pehle das din bhi hain jinhein Allah ﷻ ne baqi sab dino par fazeelat di hai :
Ibn e abbas razi Allahu anhuma bayan karte hain ke Rasool e Akram ﷺ ne farmaya:
"In das dinon mein kiye gaye aamaal e Saleh Allah taala ko sab se ziyada mehboob hain, sahaba ne arz ki Allah taala ke raste mein jihad bhi nahi!! Toh Rasool e Akram ﷺ ne farmaya: Jihad fi Sabeelillah bhi nahi, lekin woh shakhs jo apna maal aur jaan le kar nikle aur kuch bhi wapas na laaye"
(Sahih Bukhari: 2/457)

Aur ek dusri hadees mein hai Ibn e Abbas razi Allah anhuma bayan karte hain Rasool e Akram ﷺ ne farmaya:
"Ashra e Zil-hijjah mein kiye gaye amal se ziyada pakeeza aur zyada ajr waala amal koi nahi, Aap ﷺ se kaha gaya ke na hi Allah taala ke raste mein jihad karna? Toh Rasool e Akram ﷺ farmaya: Aur na hi Allah taala ke raste mein jihad karna"
{Sunan Darmi (1/357) is ki sanad hasan hai. Dekhen: (Irwa ul Ghaleel: 3/398)}

Upar diye gaye aur is ke alawah doosri dalaail is par dalalat karte hain ke zul-hijjah ke pehle das din baqi saal ke sab dino se behtar aur afzal hain aur is mein kisi bhi qism ka koi istisna nahi yahan tak ke ramadaan ul mubarak ka aakhri ashra bhi nahi, lekin ramadaan ul mubarak ke aakhri ashra ki das raatein in dino se behtar aur afzal hain kyun ke un mein lailatul-qadr shaamil hai, aur lailatul qadar ek hazaar maheenon se afzal hai, to is tarah sab dalail mein jama hota hai.
(Dekhen: Tafseer Ibn e kaseer: 5/412)

Lehaza musalman shakhs ko chahiye ke woh in das dinon ki ibtida Allah ﷻ ke samne sacchi aur pakki tauba ke sath kare aur phir umoomi taur par kasrat se aamaal e Saleha kare. Aur phir khaas kar niche diye gaye aamaal ka khayaal karte hue unhen anjaam de:

1. ROZE
Musalman shakhs ke liye zul-Hijjah ke 9 roze rakhna sunnat hai kyun ke Nabi e mukarram ﷺ ne in das dino mein aamaal e Saleha karne par ubhara hai aur roza rakhna aamaal e saleha mein se sab se afzal aur aala kaam hai, aur Allah taala ne roza apne liye chuna hai jaisa ke hadees e qudsi mein Allah taala ka farmaan hai:
(Ibn e aadam ke saare ke saare aamaal us ke apne liye hain lekin roza nahi kyun ke woh mere liye hai aur mai hi us ka ajr o sawab dunga.
(Sahih Bukhari, hadees no: 1805)

Nabi e Akram ﷺ bhi zul-Hijjah ke 9 roze rakha karte the, Hunaydah bin Khalid apni biwi se aur woh Nabi ﷺ ki kisi zoja e mohtarma se bayan karte hain ke Nabi ﷺ ki zoja e mohtarma ne bayan kiya: Nabi ﷺ zul-Hijjah ke 9 aur youm e Ashoora aur har mahine teen roze rakha karte the, maheene ke pehle somwaar aur do jumeraton ke.
{Sunan nasai (4/205) sunan abu dawood, Allama Albani Rahimaullah ne sahih abu dawood (2/462) mein isay sahih qarar diya hai}

2. TAKBEEREIN, ALHUMDULILLAH aur SUBHAN ALLAH KASRAT SE KEHNA:

In das ayyaam mein masjidon, raastoon, gharon aur har jagah jahan Allah taala ka zikr karna jaaiz hai wahan unchi aawaz se Takbeerein aur la ilaaha illallah, aur Alhumdulillah kehna chahiye taake Allah taala ki ibadat ka izhaar aur Allah taala ki tazeem ka elaan ho. Mard toh oonchi aawaz se kahenge lekin aurtain past (halki) aawaz mein hi kahengi

Allah taala ka farmaan hai :
{Apne faiday haasil karne ko aa jayein, aur in muqarrar dino mein un chaupaayon par Allah taala ka nam yaad karen jo paltu hain}
(Surah Al-hajj: 28)

Jumhoor ulma e kiraam ka kehna hai ke maloom dinon se murad zul-Hijjah ke das din hain kyun ke Ibn e abbas razi Allah anhuma se marwi hai ke ayyaam maloomat se murad das din hain.

Abdullah bin Umar razi Allah anhuma bayan karte hain ke Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya:
"Allah taala ke yahaan in das dinon se azeem koi din nahi aur in das ayyaam mein kiye jane wale aamaal se zyada koi amal mehboob nahi, lehaza La ilaaha illallah, aur Subhan Allah , aur Takbeerein kasrat se padha karo".
Isay imam Ahmed ne riwayat kiya hai aur is ki sanad ko Ahmed Shakir Rahimahullah ne sahih qarar diya hai.
Dekhen: Musnad Ahmed (7/224)


Aur Takbeer ke alfaaz yeh hain.
الله أكبر ، الله أكبر لا إله إلا الله ، والله أكبر ولله الحمد​
Allah bohat bada hai, Allah bohat bada hai, Allah taala ke ilawa koi mabood e barhaq nahi, aur Allah bohat bada hai, aur Allah taala hi ki taafreefat hain.
(Iske alawa aur bhi Takbeeraat hain)

Yahan ek baat kehna chahenge ke maujooda daur main takbeeren kehnay ki sunnat ko chhora jaa chuka hai aur khas kar in das dino ki ibtida mein toh sunne mein nahi aati kisi nadir shakhs se sunney mein hi aayengi, is liye zaroori hai ke takbeeron ko oonchi aawaz mein kaha jaye taake sunnat zindah ho sakey aur ghafil logon ko bhi is se yaad dihani ho.

Ibn e Umar aur Abu hurairah razi Allah taala anhuma ke baare mein saabit hai ke woh dono in das dinon mein baazaaron mein nikal kar oonchi aawaz ke sath Takbeerein kaha karte the aur log bhi un ki Takbeeron ki wajah se Takbeerein kaha karte the, is ka maqsad aur murad yeh hai ke logon ko Takbeerein kehna yaad aaye aur har ek apni jagah par akele hi Takbeerein kehna shuru kardey, is se yeh murad nahi ke sab log ikathay ho kar ek aawaz mein Takbeerein kahen kyun ke aisa karna mashroo nahi hai.

Aur jis sunnat ko chhoda ja chuka ho ya phir woh taqreeban chhodi ja rahi ho to us par amal karne me bohat hi azeem ajar o sawab paaya jata hai kyun ke Nabi e mukarram ﷺ ka farmaan is dalalat karta hai:
(Jis ne bhi meri murda sunnat ko zindah kiya usay us par amal karne wale ke barabar sawab diya jayega aur un dono ke ajr o sawab mein kuch kami nahi hogi) isay imam tirmizi Rahimaullah ne riwayat kya hai.
Dekhen: sunan tirmizi (7/443)

Yeh hadees apne shawahid ke sath hasan darje tak pahunchti hai.

3. HAJJ O UMRAH KI ADAYEGI:
In das dino mein jo sab se afzal aur aala kaam hai woh baitullah ka Hajj o umrah karna hai, lihza jisay bhi Allah taala apne ghar ka hajj karne ki taufeeq ataa farmaye aur us ne matlooba tareeqe se hajj ke aamaal ada kiye toh in sha Allah usay bhi us ka hissa mileyga jo Nabi e mukarram ﷺ ne apne is farmaan mein bayan kya hai:
(Hajj e Mabrur ka jannat ke ilawa koi ajr o sawab nahi)
(Sunan Nasai: 2632)

4. QURBANI:

Ashra e zil-Hijjah ke aamaal e Saleha mein qurbani ke zariye Allah taala ka taqarrub haasil karna bhi shaamil hai ke qurbani ki jaye aur Allah taala ke rastay mein maal kharch kya jaye.

Lehaza hamein in fazeelat wale dinon se faida uthana chahiye yeh hamaray liye behtareen aur sunehra mauqa hai, is se pehlay keh hum apne kotahi par nadim hon, aur is se pehlay ke keh hum wapas duniya mein anay ka sawal karein lekin us ki sunwayi na ho.

(Allah humein amal ki taufeeq dein. Aameen.)
Wallahu Alam.

Taken from: Islamqa
 
Top