Forum Par Posting Karne Ke Rules


Staff Member

Member
Staff member
Forum Par Posting Karne Ke Rules

Islaah e Ummat Forum Par Aap Ko Posting Karte Waqt Neeche Zikr Kiye Gaye Rules Ko Follow Karna Hoga:
1- Tamam Posts Islami Taleemat Ke Mutabiq Honi Chahiye.

2- Aapki Tamam Posts Quran o Hadees Ke Authentic References Ke Saath Honi Chahiye. Mazeed Aapki Post Salaf e Saliheen Ke Khilaaf Nahi Honi Chahiye.

3- Aapki Posts Sirf Aur Sirf Roman Urdu/Roman English Mein Honi Chahiye. Aap Sirf Quran Ki Ayat Ya Hadees Arabic Mein Likh Sakte Hain. Mazeed Aapki Posts Mein Short Form Use Nahi Hona Chahiye.
Quran e Kareem, Ahadees Aur Duaon Ko Roman Urdu Mein Likhna Sakht Mana Hai. Han Aap Tarjumah Roman Urdu Mein Hi Likhenge.

4- Posting Mein Abusing, Jhoot, Na-Munasib Alfaaz Aur Tanz Waghera Sakht Mana Hai.

5- Agar Aap Kisi Ki Post Se Agree Nahi Karte To Aap Achche Akhlaaq Ke Saath Quran o Hadees Ki Roshni Mein Jawaab Den.

6- Kisi Jaari (Pehle Se Start) Thread Mein Aisi Posts Ya Links Bhejna Sakht Mana Hai Jin Ka Thread Se Talluq Na Ho.

7- Bila Wajah Behas Karna, Aik Doosre Ke Khilaaf Scans Laga Kar Behas o Mubahsa Karna Aur Facebook Jaisa Mahool Paida Karna Sakht Mana Hai.

8- Kisi Bhi Post Mein Apna Personal Info (Mobile Number, Email Address Waghera) Na Bhejen.

9- Post Mein Jaandaar Ki Photos Shamil Karna Sakht Mana Hai.

10- Agar Aap Kahin Se Koi Article Copy Kar Ke Forum Par Lagate Hain To Article Likhne Waale Ka Naam Zaroor Likhen.

11- Kisi Jihaadi Tanzeem Ke Baare Mein Kisi Bhi Tarah Ki Posts Sakht Mana Hain.

12- Aapki Posts Mein Kisi Bhi Tarah Ki Advertising Nahi Honi Chahiye.

13- Forum Ke Staff Ko Aap Ki Posts Mein Changing Waghera Ka Poora Ikhtiyaar Hai. Han Agar Koi Na-Insaafi Ho To Aap Admin Se Complaint Kar Sakte Hain.

14- Kisi Bhi Post Ko Agar Aap Forum Ke Rules Ke Khilaaf Paate Hain Ya Aap Ko Lagta Hai Ki Koi Post Forum Par Nahi Honi Chahiye To Post Ke Neeche Report Button Par Click Kar Ke Forum Ke Staff Se Aap Complaint Kar Sakte Hain. Complaint Karte Waqt Complaint Ka Reason Zaroor Batayen. Bina Kisi Reason Ke Complaint Na Karen.

Aap Ki Tamam Posts Upar Zikr Kiye Gaye Rules Ke Mutabiq Honi Chahiye. Agar In Rules Ke Khilaaf Koi Post Hogi To Usko Delete Ya Edit Karne Ka Poora Ikhtiyaar Staff Ko Hoga. Baar Baar Rules Todne Par Mazeed Actions Liye Jaa Sakte Hain.
Last edited: Nov 6, 2016
Like Quote Reply Report
Shad Alam
Shad Alam
Well-known member Staff member
Nov 5, 2016
Add bookmark
#2
In'sha Allah dhyan denge
Like Quote Reply Report
F
Faisal Saiyed
New member
Nov 6, 2016
Add bookmark
#3
Umar Asari said:
Forum Par Posting Karne Ke Rules

Islaah e Ummat Forum Par Aap Ko Posting Karte Waqt Neeche Zikr Kiye Gaye Rules Ko Follow Karna Hoga:
1- Tamam Posts Islami Taleemat Ke Mutabiq Honi Chahiye.

2- Aapki Tamam Posts Quran o Hadees Ke Authentic References Ke Saath Honi Chahiye. Mazeed Aapki Post Salaf e Saliheen Ke Khilaaf Nahi Honi Chahiye.

3- Aapki Posts Sirf Aur Sirf Roman Urdu/Roman English Mein Honi Chahiye. Aap Sirf Quran Ki Ayat Ya Hadees Arabic Mein Likh Sakte Hain. Mazeed Aapki Posts Mein Short Form Use Nahi Hona Chahiye.
Quran e Kareem, Ahadees Aur Duaon Ko Roman Urdu Mein Likhna Sakht Mana Hai. Han Aap Tarjumah Roman Urdu Mein Hi Likhenge.

4- Posting Mein Abusing, Jhoot, Na-Munasib Alfaaz Aur Tanz Waghera Sakht Mana Hai.

5- Agar Aap Kisi Ki Post Se Agree Nahi Karte To Aap Achche Akhlaaq Ke Saath Quran o Hadees Ki Roshni Mein Jawaab Den.

6- Kisi Jaari (Pehle Se Start) Thread Mein Aisi Posts Ya Links Bhejna Sakht Mana Hai Jin Ka Thread Se Talluq Na Ho.

7- Bila Wajah Behas Karna, Aik Doosre Ke Khilaaf Scans Laga Kar Behas o Mubahsa Karna Aur Facebook Jaisa Mahool Paida Karna Sakht Mana Hai.

8- Kisi Bhi Post Mein Apna Personal Info (Mobile Number, Email Address Waghera) Na Bhejen.

9- Post Mein Jaandaar Ki Photos Shamil Karna Sakht Mana Hai.

10- Agar Aap Kahin Se Koi Article Copy Kar Ke Forum Par Lagate Hain To Article Likhne Waale Ka Naam Zaroor Likhen.

11- Kisi Jihaadi Tanzeem Ke Baare Mein Kisi Bhi Tarah Ki Posts Sakht Mana Hain.

12- Aapki Posts Mein Kisi Bhi Tarah Ki Advertising Nahi Honi Chahiye.

13- Forum Ke Staff Ko Aap Ki Posts Mein Changing Waghera Ka Poora Ikhtiyaar Hai. Han Agar Koi Na-Insaafi Ho To Aap Admin Se Complaint Kar Sakte Hain.

14- Kisi Bhi Post Ko Agar Aap Forum Ke Rules Ke Khilaaf Paate Hain Ya Aap Ko Lagta Hai Ki Koi Post Forum Par Nahi Honi Chahiye To Post Ke Neeche Report Button Par Click Kar Ke Forum Ke Staff Se Aap Complaint Kar Sakte Hain. Complaint Karte Waqt Complaint Ka Reason Zaroor Batayen. Bina Kisi Reason Ke Complaint Na Karen.

Aap Ki Tamam Posts Upar Zikr Kiye Gaye Rules Ke Mutabiq Honi Chahiye. Agar In Rules Ke Khilaaf Koi Post Hogi To Usko Delete Ya Edit Karne Ka Poora Ikhtiyaar Staff Ko Hoga. Baar Baar Rules Todne Par Mazeed Actions Liye Jaa Sakte Hain.
Click to expand...Masha Allah
Jazak Allahu khairan
 

Similar threads


Top