Gair muslim Makkah Madina kyu nahi ja saktey hain?


Gair muslim Makkah Madina kyu nahi ja saktey hain?

Bahut se gair muslim ye aytraaz karte hain ki jab Islam insaaf pasand mazhab hai toh fir gair muslim (jo musalman nahin hain) unko Makkah aur Madina janey ki ijazat kyu nahi hai?

Jawab
Ye sahi hai ki Islaami qanoon ke tahet (according) gair muslim ko Makkah aur Madina janey ki ijazat nahi hai. Iske kuch reasons (kaaran) hain.

Misaal ke taur pe main india ka ek shehri hun iske bawajood mujhe bahut se ilaaqon mein jaane ki ijazat nahi hai, jaise Fauji chawni wagaira. Har mulk ke ander kuch aise ilaqey hote hain jaha kisi Aam aadmi (common man) ko janey ki ijazat nahi hoti hai. Wo log jo fauj mein shamil hon ya jo mulk ki hifazat se judey hon sirf unko janey ki ijazat hoti hai. Bilkul usi tarah Islam bhi tamaam logo ke liye ek Aalamgir (vaishvik) mazhab hai. Islam ki chhawni ya verjit (mana) ilaqey sirf 2 hain. Ek makkah aur dusra madina. Unmein sirf wahi log daakhil ho saktey hain jo Islam mein hain (jo muslim hain). Ek aam aadmi ke liye ye baat gair mantaki ( samjh mein na aaney wali) si hai ki woh chwani mein daakhil hone ki pabandi ke khilaaf aytraaz kare. Isi tarah gair muslim ka ye aytraaz bhi bilkul galat hai ki unhein Makkah aur madina mein janey par pabandi kiyun hai.

Jab koi aadmi dusray mulk mein jata hai toh sabse pahle usey us mulk ke visa ke liye darkhwaast deni padti hai jo ek tarah se us mulk mein daakhil hone ka ijazatnama (permit) hai. Har mulk ke apne qawaneen aaur niyam hain aur visa jaari karne ki kuch khaas shartein hain jinko pura na kiya jaye toh jaaney ki ijazat nahi milti.

Misaal ke taur pe agar aadmi singapore jana chahe toh uske emigration form mein yeh darj hota hai ki wahan nasheley pradaat (nashey waali cheezein) lay janey waley ko saza-e-maut di jayegi aur har ek is qanoon ka paband hoga. Main yeh nahi kahunga ki maut ki saza vahshiyana hain. Agar main unki sharton se sehmat hota hu aur unkey meyaar par pura utarta hu toh mujhe waha janey ki ijazat di jayegi.

Esi tarah koi bhi shakhs makkah ya madina jana chahe toh uski bunyadi shart yeh hai ki wo apne dil aur zabaan se is baat ka iqrar kare ki
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ مُحَمَّد رَسُولُ اللَّهِ
Tarjuma (Anuwaad): Allah ke alawa koi sachcha maabood nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke Rasool hain.
 

Top