Staff Member

Member
Staff member
بــسـم الله الــرّحــمــن الــرّحــيــم

Ghair Mahram Auraton Se Musafaha.

Tehreer: Shaykh Ghulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah

Romananised: Syed Ibraheem Salafi
__________________


Ghair mahram auraton se musafaha karna mamnoo aur haraam hai:

1) Ummul Momineen Sayyidah Aisha (Razi Allahu Anha) bayaan karti hain:
وَاللّٰہِ، مَا أَخَذَ رَسُولُ اللّٰہِ صَلَّی اللّٰہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ عَلَی النِّسَائِ إِلَّا بِمَا أَمَرَہُ اللّٰہُ، یَقُولُ لَہُنَّ إِذَا أَخَذَ عَلَیْہِنَّ : ’قَدْ بَایَعْتُکُنَّ کَلاَمًا​
"Allah ki khasam! Rasoolullah ﷺ ne auraton se sirf un chizon ka ehad liya, jin ka Aap ﷺ ko Allah ﷻ ne hukm diya tha, bai’at letey waqt Aap ﷺ unse farmatey: maine tumse zubani ehad ley liya hai."
(Saheeh Bukhaari: 5288, Saheeh Muslim: 1866)

2) Umaimah Bint E Ruqaiqah (Razi Allahu Anha) bayaan karti hain ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya:
إِنِّي لَا أُصَافِحُ النِّسَاءَ​
"Main (ghair mahram) auraton se musafaha nahi karta."
(Al Muatta Imam Malik: 2/982, Musnad Al Imam Ahmed: 6/357, Wa Sanadahu Saheeh)

Ek riwayat mein ye alfaz hain:
وَلَمْ یُصَافِحْ رَسُولُ اللّٰہِ صَلَّی اللّٰہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ مِنَّا امْرَاَۃً​
"Rasoolullah ﷺ hum auraton se musafaha nahi karte they."
(Musnad Al Imam Ahmed: 6/357, Al Mustadrrak Lil Hakim: 4/71, Wa Sanaduhu Hasan)

3) Sayyiduna Abdullah Bin Umar (Razi Allahu Anhuma) ka bayaan hai:
اِنَّ رَسُولَ اللّٰہِ صَلَّی اللّٰہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ کَانَ لَا یُصَافِحُ النِّسَائَ فِي الْبَیْعَۃِ​
"Rasoolullah (ﷺ) auraton se baith letey waqt musafaha nahi karte thhey."
(Musnad Al Imam Ahmed: 2/213, Wa Sanaduhu Hasan)

4) Syedna Ma'qil Bin Yasaar (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya:
لأََنْ یُّطْعَنَ فِي رَأْسِ أَحَدِکُمْ بِمِخْیَطٍ مِّنْ حَدِیدٍ؛ خَیْرٌ لَّہٗ مِنْ أَنْ یَّمَسَّ امْرَاَۃً لَّا تَحِلُّ لَہٗ​
"Tum mein se kisi ke sar mein lohe ki sooyi chuboyi jaye tou yeh behtar hai is se ke wo na mahram aurat ko chooye."
(Al Mujam Ul Kabeer Lit Tabrani: 20/212, Wa Sanaduhu Saheeh)

(Ghair mahram auraton se musafaha karna na'jaiz aur haraam hai)
_____________________

(Kuch Za'eef Aur Jhooti Riwayaten)

1) Faidah:
Imam Ibrahim al-Nakha'i Tabayee Rahimahullah se riwayat hai:
کَانَ النَّبِيُّ صَلَّی اللّٰہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ یُصَافِحُ النِّسَائَ، وَعَلٰی یَدِہٖ ثَوْبٌ​
"Nabi E Kareem ﷺ auraton se musafaha kiya kartey thhey, lekin Aap ﷺ hath par kapdaa hota tha."
(Al Tamheed Li'Maa Fee Al Muwatta Minal Ma'aani Wal Asaneed Li Ibne Abdul Barr: 12/243)

Tabsira: Yeh sakht "Za'eef" riwayat hai, kuy ke:

1) Yeh Ibrahim an-Nakha'i ki "Mursal" hai, aur mursal riwayat "Za'eef" hoti hai.

2) Imam Sufiyaan ki "Tadlees" bhi maujood hai. Is kitaab mein Aata Bin Abi Rabaah ki "Mursal" riwayat bhi hai, lekin is mein bhi Sufiyaan ki "Tadlees" hai. is tarha Khais Bin Abu Hatim ki ek "Mursal" bhi hai.
(At Tamheed Li Ibne Abdul Barr: 12/244)

Lekin yeh riwayat bhi Ismaeel Bin Abi Khalid aur Sufiyaan ki "Tadlees" ki wajah se "Za'eef" hai.

2) Faidah:
Sayyiduna Ma'qil Bin Yasaar (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai:
وَکَانَ یُصَافِحُ النِّسَاء َ مِنْ تَحْتِ الثَّوْبِ​
"Aap ﷺ khawateen se kapde ke nichey se musafaha kartey thaye."
(Al Mujam Ul Kabeer Lit Tabrani: 20/201, Al Mujam Ul Awsat Lit Tabrani: 3/179)

Yeh sakht tareen "Za'eef" riwayat hai, kyun ke:

1) 'Attaab Bin Harb Abu Bashr Muzani jamhoor muhaddiseen ke nazdeek "Za'eef" hai.

2) Al-Muzaa Al-Khazzar rawi "Majhool" hai.

3) Yunus Bin Ubaid rawi "Mudallis" hai.

4) Imam Hasan Basri ki "Tadlees" bhi maujood hai.

3) Faidah:
Fiqh e hanafi ki mo'tabar tareen kitabon mein ek riwayat yun bayaan ki gayi hai:
مَنْ مَّسَّ کَفَّ امْرَأَۃٍ لَّیْسَ مِنْہَا بِسَبِیلٍ؛ وُضِعَ فِي کَفِّہٖ جَمْرَۃٌ یَّوْمَ الْقِیَامَۃِ، حَتّٰی یُفْصَلَ بَیْنَ الْخَلَائِقِ​
"Jis shaksh ne kisi ghair mahram aurat ki hatehli ko chuwa, uski hatehli mein roz e qayamat angara rakkha jayega taa waqt e ke tamaam logon ka faisla nahi kardiya jaata."
(Al Mabsoot Lil Sarakhsi Al Hanafi: 10/154, Al Hidaaya: 2/460)

Ek aur riwayat yun bayaan huwi hai:
إِنَّ النَّبِيَّ صَلَّی اللّٰہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ کَانَ یُصَافِحُ الْعَجَائِزَ فِي الْبَیْعَۃِ، وَلَا یُصَافِحُ الشَّوَابَّ​
"Nabi E Kareem ﷺ bai'at kartey waqt umar raseedah auraton se musafaha kartey thaye, albatta jawaan auraton se musafaha nahi karte thhey."
(Al Mabsoot Lil Sarakhsi Al Hanafi: 10/154, Bad'ai al Sana'i Fee Tarteeb Ash Shara'i Lil Kasani Al Hanafi: 5/130)

Sayyiduna Abu Bakr (Razi Allahu Anhu) ke baray mein yu bayaan kiya gaya hai:
کَانَ یُصَافِحُ الْعَجَائِزَ​
"Aap Razi Allahu Anhu umar raseedah auraton se musafaha katey thhey."
(Al Mabsoot Lil Sarakhsi Al Hanafi: 10/154, Al Hidaaya: 2/461)

Tabsira:
Lekin yeh teeno jhooti riwayaten hai. muhaddiseen kiraam ki kitabon mein inka zikr tak nahi milta. naam nihaad fuqaha ne ghhad kar Rasoolullah ﷺ aur Abu Bakr (Razi Allahu Anhu) ki taraf mansoob kardi hai.

Al-Hasil: Ghair mahram auraton se musafaha karna na'jaiz aur haraam hai.

|Assunnah Shumarah: 72, Page 44-45|
 
Top