Ibnatu Ali

Member
❒GHAIRULLAH KI QASAM KHAANA❒

بسم الله الرحمن الرحيم​

Allahﷻ apni makhlooqaat mein se chaahe kisi cheez ki bhi qasam khaaye usey ikhtiyaar hai magar makhlooq ko ghairullah ki qasam khaana bilkul jaayez nahin, jabke aaj kal ziyaada tar logon ki zubaan Par ghairullah ki qasam hi aati hai halaanke qasam khaana ek qism ki ta'zeem hai aur ye ta'zeem wa ijlaal sirf Allah ki zaat ke hi laayeq hai. Hazrat ibne Umar (razi Allahu 'Anhuma) ki marfoo' hadees mein irshaad-e-Nabawiﷺ hai:

◈أَلَا اِنَّ اللهَ يَنْهَاكُم أَنْ تَحْلِفُوْا بِآبَآئِكُمْ، مَنْ كَانَ حَالِفًا فَلْيَحْلِفْ بِاللهِ أَوْ لِيَصْمُتْ.​
“Khabardaar! Allahﷻ aap logon ko apney baap daadon ki qasam khaane se rokta hai, jis ne qasam khaani ho toh woh Allahﷻ ki qasam khaaye warna khamoosh hi rehey”.
❲Sahih Bukhari ma' Al-fath 530/11, Sahih Muslim, Hadees:1646❳

Hazrat ibne Umar(razi Allahu 'Anhuma) ki ek aur marfoo' hadees mein irshaad-e-Nabawiﷺ hai:

◈مَنْ حَلَفَ بِغَيْرِ اللهِ فَقَدْ أَشْرَكَ​
“Jis shakhs ne ghairullah ki qasam khaayi uss ne shirk kiya”.
❲Musnad Imam Ahmed 125/2, nez dekhiye: Sahih ul Jaame' 6204❳

Aur Nabiﷺ ka irshaad hai:

◈ مَنْ حَلَفَ بِالْأَ مَانَةِ فَلَيْسَ مِنَّا​
“Jis shakhs ne amaanat ki qasam khaayi to woh hum mein se nahin”.
❲Abu Dawood 3253, As Silsilat us sahihatu 94❳

Lehaaza ka'ba shareef ki qasam nahin khaani chaahiye aur naa hi amaanat ki, naa sharafat wa buzrugi ki, naa madad ki, naa kisi ki barkat ki, aur naa kisi ki zindagi ki naa Nabiﷺ ke jaah wa jalaal ki, naa kisi wali ki jah wa manzilat ki, aur naa hi maa baap aur
naa hi apney bacchon ke sar ki. ye sab haraam hai, aur Jo shakhs iss tarah ki cheez mein mubtelaa ho jaaye toh uska kaffarah ye hai ke woh kahey [ ُلَا اِلٰهَ اِلَّا الله ] “Allah ke siwa koi ma'bood e bar haq nahin”.

Jaisa ke sahih hadees mein aaya hai:

◈ مَنْ حَلَفَ فَقَالَ فِيْ حَلْفِهِ بِلَاتٍ وَّ الْعُزَّيٰ فَلْيَقُلْ لَا اِلٰهَ اِلَّا اللهُ.​
“Jis shakhs ne qasam khaayi aur apni qasam mein kaha: “Al-laat aur al-'uzza ki qasam”, toh woh ye kahey [ُلَا اِلٰهَ اِلَّا الله] “Allah ke siwa koi ma'bood e bar haq nahin hai”.
❲Sahih Bukhari ma' fath ul Baari 536/11❳

━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━
┃Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa umoor❩
Taleef: Fazilat Al Shayh Mohammad Saalih Al-Munajjid [Hafidahullah]┃
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Ibnatu Ali Shirk 0

Similar threads


Top