AYIMAH KIRAAM SE IKHTILAAF, DALAAYIL KE SAATH


AYIMAH KIRAAM SE IKHTILAAF,
DALAAYIL KE SAATH
TAHREER : MUHADDIS-UL-ASR HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI HAFIZAHULLAH
(Tahqiqi o Ilmi Maqaalat:6/585)

Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Ghulaam Rasool Sayeedi Barelvi ne likha hai:
"Baaz jamod pasand(extremist) ye kah dete hain ke Sahabah sab mujtahid the unka ek dosre se ikhtilaaf jayez hai hum Muqallid hain, hamara Ayimah aur Akaabir Ulama se ikhtilaaf jayez nahi, main kahtaa honk e dalaayil ki bina par hamare fuq'haa ne Imam Abu Hanifah se bhi ikhtilaaf kya hai, masalan Allamah Ibn Najeem ne likha hai ke Imam Abu Hanifah ke nazdeek Shawwaal ke che(6) roze rakhna 'MAKROH' hai khawaah mutafarriq(alag alag) rakhe jayen yaa muttasalan(continue / ek ke baad ek) aur Imam Abu Yousuf ke nazdeek ye roze muttasalan rakhna 'makroh' hain likin aam muta'akkhireen ke nazdeek in me karaahat nahi hai." (Al-Bahr-ur-Rayeq:2/258, Published: Matba'a Ilmiyah Misar, 1311 Hijri)

Aur Allamah Sharnablali ne likha hai ke:
Shawwaal ke che(6) roze rakhna mustaheb hai kion ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya: "Jis ne Ramazan ke ba'ad muttasil che(6) roze rakhe is ko daayimi(hamesha) roze rakhne ka ajar milega-Sahih Mulim:1/369-."(Maraqi al-Falaah, page:387, Pulished: Matba'a Mustafa Albaabi wa'auladih, Misar, 1356 Hijri)

Isee tarah AQIQAH ko Imam Abu Hanifah ne mubaah kaha hai likin hamare fuq'haa ne hadis ki binaa par kaha ye Sunnat hai aur sawaab ka kaam hai. Bahar-haal Quran aur hadis sab par muqaddam(sab se upar/sab se pahle) hain aur Quran aur Hadis ke dalaayil ki wajah se akaabir ulama se ikhltilaaf karna jayez hai aur meri zindagi ka yahi Mission hai ek Quran aur Hadis ki baalaa dasti bayaan kardon." (Tibyaan-ul-Quran:1/584, print:2005)

Sayeedi Sahab ki zindagi ka maqsad to ALLAH jaanta hai aur Ahle Hadis bhi yahi kahte hain ke Quran aur Hadis sab par muqaddam hain. Quran aur Hadis ke dalaayil ke saath akaabir ulama se adab o ehteraam ke saath ikhtilaaf karna jayez hai aur isee me khair hai. (8/November/2012)
 

Similar threads


Top