Ghustaakh E Rasool ﷺ


Abul Husayn

Moderator
Staff member
Ghustaakh E Rasool ﷺ

Tahreer: Shaykh Ghulaam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi
______________________


Allah ta'ala ka frmaan hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَقُولُوا رَاعِنَا وَقُولُوا انظُرْنَا وَاسْمَعُوا ۗ وَلِلْكَافِرِينَ عَذَابٌ أَلِيمٌ​
"Aye Emaan waalon! tum rayina ka lafz na bola karo, balke unzurna ya wasma'ou kaha karo, kafiron ke liye dardnaak azaab hai."
(Surah al-Baqarah: 104)

Sahaba e Kiraam (Razi Allahu Anhum) Nabi e Kareem ﷺ se baat karna chaahate, tou rayina kaha karte thhey yane hamare taraf tawajjuh farmaaye, jabke kuffaar is lafz ka ghalat ma'na muraad letey aur Nabi ﷺ ki ghustaakhi karte, tou Allah ta'ala ne musalmano ko bhi is lafz se Nabi e Kareem ﷺ ko mukhaatib karne se mana' kar diya, taake Nabi e Kareem ﷺ ki ghustaakhi ka raastah band ho jaaye, is aayat se saabit huwa ke kuffar (yahood o nasaraa) qadeem se Nabi e Kareem ﷺ ki ghustaakhiyan karte chale aarahe hain.

Farmaan e Bari ta'ala hai:
قُلْ أَبِاللَّهِ وَآيَاتِهِ وَرَسُولِهِ كُنتُمْ تَسْتَهْزِئُونَ
لَا تَعْتَذِرُوا قَدْ كَفَرْتُم بَعْدَ إِيمَانِكُمْ​
"(Nabi!) keh dijiye ke kya tum Allah, uski aayaat aur uske Rasool ke sath istihzaa (mazaaq) karte thhey? uzr paish na karo, tum ne emaan laane ke b'ad kufr kiya hai."
(Surah at-Tawba: 65-66)

Neez Farmaan e Ilaahi hai:
وَلَقَدِ اسْتُهْزِئَ بِرُسُلٍ مِّن قَبْلِكَ فَحَاقَ بِالَّذِينَ سَخِرُوا مِنْهُم مَّا كَانُوا بِهِ يَسْتَهْزِئُونَ​
"(Aye Nabi!) aap se pehle bhi rasoolon ka istihzaa (mazaaq) kiya gaya, tou istihzaa karne waalon ko isi (azaab) ne aagheraa, jis ka wo istihzaa karte thhey."

Irshaad e Ilaahi hai:
إِنَّا كَفَيْنَاكَ الْمُسْتَهْزِئِينَ​
"Bilasد shubah istihzaa karne waalon se hum aap ko kaafi ho jaayen ge."
(Surah al-Hijr: 95)

Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) bayaan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
الا تعجبون كيف يصرف الله عني شتم قريش، ولعنهم يشتمون مذمما، ويلعنون مذمما وانا محمد​
"Kya aap ko ta'ajjub nahi hota ke kis tarha Allah ta'ala ne mujh se quraish ki sab o shatam aur lanat ko door kiya? wo muzammam ko buraa bhala keh rahe hain aur laan taan kar rahe hain, jabke main Muhammad hon."
(Sahih Bukhari: 3533)

Sayyiduna Jabir bin Abdullah (Razi Allahu Anhu) bayaan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
من لكعب بن الاشرف فإنه قد آذى الله ورسوله، قال: محمد بن مسلمة اتحب ان اقتله يا رسول الله، قال: نعم​
"k'ab bin ashraf (yahoodi) ko kaun qatl karega, usne Allah aur uske Rasool izaa di hai, Muhammad bin Muslamah (Razi Allahu Anhu) ne arz kiya: Allah ke Raaool! kya aap pasand farmaate hain ke main usey qatl karon, farmaaya: ji haan."
(Sahih Bukhari: 3031, Sahih Muslim: 1801)

Sayyiduna Abu Barzah Aslami (Razi Allahu Anhu) bayaan karte hain ke Sayyiduna Abu Bakr (Razi Allahu Anhu) ne ek shaksh ke barey mein sakht baat kar di, tou us shaksh ne bhi jawaab mein aisa hi keh diya, tou main (Abu Barzah) ne arz kiya: (Aye Abu Bakr!) kya main iski gardan na utaar don? tou Abu Bakr (Razi Allahu Anhu) ne mujhe rok diya aur farmaaya:
إنها ليست لأحد بعد رسول الله صلى الله عليه وسلم​
"Rasoolullah ﷺ ke ilaawah aisa kisi ke haq mein jayiz nahi."
(Sunan an-Nasaayi: 4076, Wa Sanadahu Sahih)

Sayyiduna Abdullah bin Abbas (Razi Allahu Anhu) bayaan karte hain ke ek naabina Sahabi ki umm walad ne Nabi e Kareem ﷺ ki shaan mein ghustaakhi ki, tou unhon ne usey qatl kar diya, tou Nabi e Kareem ﷺ ko maloom huwa, tou farmaaya:
أَلَا اشْهَدُوا أَنَّ دَمَهَا هَدَرٌ​
"Gawah rahen ke iska khoon raayegan hai."
(Sunan Abi Dawood: 4361, Sunan an-Nasaayi: 4070, Wa Sanadahu Hasan)

B'az munafiqeen ya kuffaar ne Nabi e Kareem ﷺ ke barey mein harza sarai ki, Nabi e Kareem ﷺ ne inhen mu'aaf kar diya, b'az log isey daleel banaatey huwe ghustaakh e Rasool ki saza qatl hone ka inkaar karte hain, jabke yeh baat durust nahi, ghustaakh e Raaool ki saza qatl hai, yeh Nabi e Kareem ﷺ ka haq hai, Aap ﷺ apna yeh haq wusool karen ya mu'aaf kar den, Aap ko tou yeh ikhtiyaar haasil hai, ab Aap ke b'ad ghustaakh ki saza mu'aaf karne ka kisi ko haq haasil nahi.

Allamah ibne Qayyim (Rahimahullah) (751-H) farnaate hain:
ذلك أن الحق له، فله أن يستوفيه، وله أن يتركه، وليس لأمته ترك استيفاء حقه صلى الله عليه وسلم​
"Nabi e Kareem ﷺ ko haq haasil tha ke (apne ghustaakh) ko saza den ya usey mu'aaf kar den, magar Aap ﷺ ki ummat ko koi haq nahi ke Aap ﷺ ke ghustaakh ki saza mu'aaf kar den."
(Zaad al-Ma'aad: 5/56)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Difaa’ 0

Similar threads


Top