A'MAAL BARBAAD HOJANE KI EK WAJAH


A'MAAL BARBAAD HOJANE KI EK WAJAH

بسم الله الرحمن الرحیم

Allaah ta'aalā ne farmaaya:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَرْفَعُوا أَصْوَاتَكُمْ فَوْقَ صَوْتِ النَّبِيِّ وَلَا تَجْهَرُوا لَهُ بِالْقَوْلِ كَجَهْرِ بَعْضِكُمْ لِبَعْضٍ أَن تَحْبَطَ أَعْمَالُكُمْ وَأَنتُمْ لَا تَشْعُرُونَ

"Aye Eemaan waalon! Apni aawazein Nabi (ﷺ) ki aawaaz se buland na karo, aur na unse baat karte huye us tarah zor se bola karo jaise tum ek doosre se zor se bolte ho, KAHIN AISA NA HO KE TUMHARE A'MAAL BARBAAD HOJAYEIN, AUR TUMHE PATA BHI NA CHALE."

[Sūrah Al-Hujuraat : 2]

TAFSEER: Allaah ta'aalā Ummatiyon ko apne Nabi (ﷺ) ke aadaab sikhaata hai ke tumhe apne Nabi ki tawqeer wa ihteraam (aur) izzat ka khayaal karna chaahiye, tamaam kaamon mein Allaah aur uske Rasool ke peechey rehna chaahiye.

1. Ibn Abbaas (رضي الله عنه) kehte hain: "Matlab (is aayat ka) yeh hai ke Kitaab Wa Sunnat ke khilaaf na kaho."

2. 'Awfee (رحمه الله) kehte hain: "Nabi ke kalaam ke saamne bolne se mana' kardiya gaya."

3. Imām Mujahid (رحمه الله) kehte hain: "Jab tak kisi Amr ki baabat Allaah ke Rasool kuch na farmaaein tum khamosh raho."

4. Dahhaak (رحمه الله) kehte hain: Amr-e-Deen, Ahkaam-e-Shar'ī (Islaam ke ahkaam) mein siwaaye Allaah ke kalaam aur uske Rasool ki Hadeeth ke tum kisi aur cheez se faisla na karo.

5. Sufyān Ath-Thawrī (رحمه الله) ne kaha: "Kisi Qaul aur Fi'l mein Allaah aur uske Rasool par sabaqat na karo."

SOURCE: [Tafseer Ibn Katheer]

Imām Ibn Al-Qayyim (رحمه الله) ne kaha:

"Jab Nabi Kareem (ﷺ) ki aawaaz ke bil-muqaabil aawaazein buland karna A'maal ke ziyaa' (bekaar wa barbaadi) ka sabab hai tou tumhara kya khayaal hai ke Aap (ﷺ) ki Sunnat ke muqaabiley mein apni Aaraa (opinions) aur Afkaar (thoughts/ ideas) ko tarjeeh dena kitna bada jurm hoga?!

[مدارج السالكين : ٠٢/٣١]

Naaqil: « Abū Zaahid Mudhakkir Al-Atharī »
 
Top