SHIRK SE BARAA'AT WA BEZAARI KA E'LAAN


SHIRK SE BARAA'AT WA BEZAARI KA E'LAAN

بسم الله الرحمن الرحيم
• Ibn Kaseer (Rahimahullaah) ne farmaaya:

هَذِهِ السُّورَةُ سُورَةُ الْبَرَاءَةِ مِنَ الْعَمَلِ الَّذِي يَعْمَلُهُ الْمُشْرِكُونَ، وَهِيَ آمِرَةٌ بالإخلاص فيه فقوله تعالى: قُلْ يا أَيُّهَا الْكافِرُونَ يشمل كُلَّ كَافِرٍ عَلَى وَجْهِ الْأَرْضِ، وَلَكِنَّ الْمُوَاجَهِينَ بِهَذَا الْخِطَابِ هُمْ كُفَّارُ قُرَيْشٍ، وَقِيلَ إِنَّهُمْ مِنْ جَهْلِهِمْ دَعَوْا رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِلَى عِبَادَةِ أَوْثَانِهِمْ سَنَةً، وَيَعْبُدُونَ مَعْبُودَهُ سَنَةً، فَأَنْزَلَ اللَّهُ هَذِهِ السُّورَةَ وَأَمَرَ رَسُولَهَ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِيهَا أَنْ يَتَبَرَّأَ مِنْ دِينِهِمْ بِالْكُلِّيَّةِ فَقَالَ: لَا أَعْبُدُ مَا تَعْبُدُونَ يَعْنِي مِنَ الْأَصْنَامِ وَالْأَنْدَادِ وَلا أَنْتُمْ عابِدُونَ مَا أَعْبُدُ وَهُوَ اللَّهُ وَحْدَهُ لا شريك له، فما هَاهُنَا بِمَعْنَى مَنْ، ثُمَّ قَالَ: وَلا أَنا عابِدٌ مَا عَبَدْتُّمْ وَلا أَنْتُمْ عابِدُونَ مَا أَعْبُدُ أَيْ وَلَا أَعْبُدُ عِبَادَتَكُمْ أَيْ لَا أَسْلُكُهَا وَلَا أَقْتَدِي بِهَا وَإِنَّمَا أَعْبُدُ اللَّهَ عَلَى الْوَجْهِ الَّذِي يُحِبُّهُ وَيَرْضَاهُ، وَلِهَذَا قَالَ: وَلا أَنْتُمْ عابِدُونَ مَا أَعْبُدُ أَيْ لَا تَقْتَدُونَ بِأَوَامِرَ اللَّهِ وَشَرْعِهِ فِي عِبَادَتِهِ، بَلْ قَدِ اخْتَرَعْتُمْ شَيْئًا مِنْ تِلْقَاءِ أَنْفُسِكُمْ كَمَا قَالَ: إِنْ يَتَّبِعُونَ إِلَّا الظَّنَّ وَما تَهْوَى الْأَنْفُسُ وَلَقَدْ جاءَهُمْ مِنْ رَبِّهِمُ الْهُدى [النَّجْمِ: ٢٣].

فَتَبَرَّأَ مِنْهُمْ فِي جَمِيعِ مَا هُمْ فِيهِ، فَإِنَّ الْعَابِدَ لَا بُدَّ لَهُ مِنْ مَعْبُودٍ يعبده وعبادة يسلكها إليه، فالرسول صلّى الله عليه وسلّم وَأَتْبَاعُهُ يَعْبُدُونَ اللَّهَ بِمَا شَرَعَهُ، وَلِهَذَا كَانَ كَلِمَةُ الْإِسْلَامِ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللَّهِ أَيْ لَا مَعْبُودَ إِلَّا اللَّهُ ولا طريق إليه إلا مَا جَاءَ بِهِ الرَّسُولُ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، وَالْمُشْرِكُونَ يَعْبُدُونَ غَيْرَ اللَّهِ عِبَادَةً لَمْ يَأْذَنْ بِهَا اللَّهُ، وَلِهَذَا قَالَ لَهُمُ الرَّسُولُ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: لَكُمْ دِينُكُمْ وَلِيَ دِينِ كَمَا قَالَ تَعَالَى: وَإِنْ كَذَّبُوكَ فَقُلْ لِي عَمَلِي وَلَكُمْ عَمَلُكُمْ أَنْتُمْ بَرِيئُونَ مِمَّا أَعْمَلُ وَأَنَا بَرِيءٌ مِمَّا تَعْمَلُونَ [يُونُسَ: ٤١] وَقَالَ: لَنا أَعْمالُنا وَلَكُمْ أَعْمالُكُمْ [القصص: ٥٥] .

وَقَالَ الْبُخَارِيُّ يُقَالُ: لَكُمْ دِينُكُمْ الْكَفْرُ وَلِيَ دِينِ الْإِسْلَامُ وَلَمْ يَقُلْ دِينِي لِأَنَّ الْآيَاتِ بِالنُّونِ فَحُذِفَ الْيَاءُ كَمَا قَالَ: فَهُوَ يَهْدِينِ ويَشْفِينِ [الشُّعَرَاءِ: ٨٠] وَقَالَ غَيْرُهُ: لَا أَعْبُدُ مَا تَعْبُدُونَ الْآنَ وَلَا أُجِيبُكُمْ فِيمَا بَقِيَ مِنْ عُمُرِي وَلَا أَنْتُمْ عَابِدُونَ مَا أَعْبُدُ، وَهُمُ الَّذِينَ قَالَ: وَلَيَزِيدَنَّ كَثِيراً مِنْهُمْ مَا أُنْزِلَ إِلَيْكَ مِنْ رَبِّكَ طُغْياناً وَكُفْراً [الْمَائِدَةِ: ٦٤] انْتَهَى مَا ذكره.


• (Sooratul-Kaafiroon) ye Soorah e Mubaarakah us amal se baraa'at ke iz'haar par mushtamil hai jisey Mushrik anjaam dete hain, neyz is mein Ikhlaas ka hukm diya gaya hai, Irshaad e Baaree (تعالى) hai: "(Aye Nabi!) Aap keh deejiye: Aye Kaafiro!" Agarche ye khitaab rooye zameen ke har Kaafir se hai lekin iske awwaaleen mukhaatab Kuffaar e Quraysh the. Kaha gaya hai ke Kuffaar e Quraysh ne jahaalat ki wajah se Rasool Allaah (ﷺ) ko ye da'wat dee ke ek saal tak Aap unke Buthon (idols) ki ibaadat karein aur phir ek saal tak woh Aap ke Ma'bood e Haqeeqi (Allaah) ki ibaadat karenge toh us mauqe par Allaah (تعالى) ne is Soorah e Mubaarakah ko naazil farmaaya aur apne Rasool (ﷺ) ko ye hukm diya ke Aap unke Deen se bilkul baraa'at ka e'laan farmaadein ke: "Main unki ibaadat nahin karta jinki tum ibaadat karte ho." Ya'ni Main Asnaam (buthon) wa Andaad (jinhein tum Allaah ka shareek tehraate ho un) ki ibaadat nahin karta, "Aur na tum Uski ibaadat karne waale ho Jiski Main ibaadat karta hoon." Ya'ni Allaah Wahdahu Laa Shareek ki. MAA (مَا) yahaan MAN (من) ke ma'naa mein hai.

• Phir farmaaya: "Aur na main ibaadat karne waala hoon jinki tum ibaadat karte ho aur na tum Uski ibaadat karne waale ho Jiski main ibaadat karta hoon." Ya'ni main tumhaari ibaadat ki tarah ibaadat nahin kar sakta na us raah ko ikhtiyaar aur uski Iqtidaa (pairwi) kar sakta hoon kyunke main toh Allaah Wahdahu Laa Shareek ki is tarah ibaadat karta hoon jaise Woh chaahta aur apne liye pasand farmaata hai, isi liye farmaaya: "Aur na tum Uski ibaadat karne waale ho Jiski main ibaadat karta hoon." Ya'ni tum Allaah (تعالى) ki ibaadat ke baare mein Uske Ahkaam aur Uski Sharee'at ki paabandi nahin karte balke tumne ibaadat ke tareeqe khud apni taraf se banaakar rakhey hain jaisa ke Allaah (تعالى) ne farmaaya: "Woh log toh gumaan hi ki pairwi karte hain aur us cheez ki jo unke dil chaahte hain (uski pairwi karte hain), haalaanke unke Parwardigaar ki taraf se unke paas yaqeenan Hidaayat aachuki hai."
[Soorah Al-Najm: 23]

• Is tarah Rasool Allaah (ﷺ) ne Kuffaar e Quraysh ki tamaam baaton se iz'haar e baraa'at farmaadiya, har 'Aabid (ibaadat karne waale) ke liye ye zaroori hai ke uska koi ma'bood ho jiski woh ibaadat karey aur phir uski ibaadat ka koi aisa tareeqah ho jisey woh ikhtiyaar karey toh Rasool Allaah (ﷺ) aur Aapki ittebaa' karne waale Musalmaan Allaah (تعالى) ki ibaadat karte hain aur is tarah karte hain jis tarah Usne hukm diya hai.

• Yahi wajah hai ke Kalimah e Islaam LAA ILAAHA ILLAA ALLAAH MUHAMMAD RASOOL ALLAAH hai, Ya'ni Allaah (تعالى) ke siwa koi ma'bood e barhaqq nahin aur Us tak pohanchne ka siwaaye iske koi raastah nahin jisey Muhammad (ﷺ) ne bayaan farmaaya hai, jabke Mushrikeen ghair Allaah ki ibaadat karte hain aur Allaah (تعالى) ne hargiz iski ijaazat nahin dee, isi liye Rasool Allaah (ﷺ) ne unse mukhaatab hokar farmaaya: "Tumhaare liye tumhaara Deen aur mere liye mera Deen." Jaisa ke Allaah (تعالى) ne farmaaya: "Aur agar woh Aap ko jhutlaayein toh keh deejiye: Mere liye mera amal hai aur tumhaare liye tumhaara amal, tum us se baree ho jo main amal karta hoon aur main us se baree hoon jo tum amal karte ho." [Soorah Yoonus: 41] Aur farmaaya: "Hamaare liye hamaare a'maal hain aur tumhaare liye tumhaare a'maal hain."
[Soorah Al-Qasas: 55]

• Imaam Bukhaari (Rahimahullaah) farmaate hain ke kaha jaata hai: "Tumhaare liye tumhaara Deen." Ya'ni Kufr, "Aur mere liye mera Deen." Ya'ni Islaam aur yahaan DEENEE (ديني) is liye nahin kaha kyunke saabiqah (pichle) Aayaat Noon ke saath thi toh unki ri'aayat ki wajah se yahaan Yaa' ko hazaf kardiya gaya jaisa ke (فهو يهدين) aur (يشفين)
[Soorah Al-Shu'araa': 78 aur 80] ki Aayaat se Yaa' ko hazaf kiya gaya. [Saheeh Al-Bukhaari ki Hadees: 4966 ke ba'd aur 4967 se pehle: ta'leeqan]

• Auron ne kaha ke "Main unki ibaadat nahin karta jinki tum ibaadat karte ho." Ya'ni ab na toh main tumhaare ma'boodon ki ibaadat karunga Ya'ni jin ma'boodon ki tum is waqt ibaadat karte ho aur na main tumhaara ye Deen apni baaqi zindagi mein qubool karunga aur na tum mere Ma'bood ki ibaadat karoge. Is se muraad Kuffaar hain jis ke muta'lliq Allaah (تعالى) ne farmaaya: "Aur jo wahee Aapke Rabb ki taraf se Aap par naazil kee jaati hai, un mein bohat se logon ko sarkashi aur Kufr mein woh zyaadah kardeti hai." [Soorah Al-Maa'idah: 64]

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
 

Similar threads


Top