TAHREEF SHUDAH AASMAANI KITABON SE INKAAR


TAHREEF SHUDAH AASMAANI KITABON SE INKAAR
Tahreer : FAZILAT-USH-SHAIKH ABUL HASAN MUBASSHIR AHMED RABBANI hafizahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAL:
Jaisa ke Quran ne batla diya hai ke pehli aasmani kutub badal di gayi hain to agar un tahreef shuda kitabon se inkaar kar diya jaye to bandah musalman nahi rehta?

JAWAB:
Torat ALLAH TA'ALA ki nazil kardah kitaab hai, isi terhan Injeel bhi. Un par imaan rakhna lazim hai ke ALLAH ne Torat MOOSA alaihissalam par aur injeel EESA alaihissalam par nazil ki. Lekin ab jo mojooda Bible hai yeh tahreef shuda hai. Yeh woh aasmani kitaab nahi hai jis par imaan laane ka hukum hai is bible ki nafi karna bilkul durust hai. is ke muharraf hone par mufassil behas dekhni ho to Molana Rehmatullah Kiraanwi rahimahullah ki kitaab
"IZHAAR-UL-HAQ" mulahiza karen. Isi tarha Ahmed Deetad ke eesayi padrion ke sath munazron ko sunen. WALLAHO-A'ALAM
 
Top