4 Din Qurbani Ke Mutalliq Aasar E Sahaba


Abdul Adil

Member
4 Din Qurbani Ke Mutalliq Aasar E Sahaba

Tahreer :-
Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

1] Khaleefa E Rashid Hazrat Ali Razi Allahu Anhu____

Sahib e Kanzul Ummal Ne kaha

عن على قال: الأيام المعلومات يوم النحر وثلاثة أيام بعده (ابن المنذر)

Imam Ibne Munzir Rahimahullah ne Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se riwayat kiya hai wo farmate hai ki Allah Ta'ala ne jin maloom dino me qurbani ka huqm diya un maloom dino se murad yaum un nahar (10 Jill-Hijjah) aur uske baad teen din (11, 12 , 13 Jil-Hijjah) hai .

[Kanzul Ummal Hadees Number - 3428 , Jad ul Ma'ad Jild-2 Safa-291]

2] Hazrat Jubair bin Mut'im Razi Allahu Anhu_____

Imam Nawawi Rahimahullah (Died 676 Hijj) ne kaha

وأمـا آخـر وقـت التضحية فقال الشافعي تجوز في يوم النحر وأيام التشريق الثلاثة بعدة وممن قال بهذا علي بن أبي طالب وجبير بن مطعم وبن عباس

Imam Nawawi Rahimahullah farmate hai jahan tak qurbani ke akhiri waqt ka masala hai to is silsile me Imam Safayi kahte hai ki Yaum un Nahar aur uske baad tashreek ke dino me qurbani jayez hai aur yahi bat Ali Bin Abi Talib , Jubair Bin Mut'im aur Abdullah Ibne Abbas ((Razi Allahu Anhuma) ne bhi kahi hai.

[Sharah Muslim Jild-13 Safa-111]


Note :- Wazeh rahe ki Jubair Bin Mut'im Razi Allahu Anhu se marwi kayi Hadees hai ki Ayyam e Tashreeq qurbani ke din hai . is bina par bayeed nahi ki Jubair Bin Mut'im Razi Allahu Anhu apni riwayat kardah Hadees ke mutabik 4 din qurbani ke qayel ho.

3] Sahabi E Rasool Hazrat Abdullah Ibne Umar Razi Allahu Anhu

Imam Ibne Kaseer Rahimahullah (Died 774 Hijj) ne kaha

قـال الـحـكـم، عن مقسم، عن ابن عباس : الأيام المعلومات: يوم النحر وثلاثة أيام بـعـده، ويروى هـذا عـن ابـن عمر، وإبراهيم النخعي، وإليه ذهب أحمد بن حنبل فی رواية عنه.

Abdullah Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se marwi hai ki Ayyam E Maloom (Qurbani ke din) Yaum un Nahar aur uske baad 3 din hai , aur yahi bat Abdullah Ibne Umar , Ibrahim Nakahyi se bhi marwi hai aur ek riwayat ke mutabik yahi qaul Imam Ahmad Bin Hambal ka bhi hai

[Tafseer Ibne Kaseer Publication Darut Tayyaba Jild-5 , Safa-416]


4] Imam Baihaqi Rahimahullah (Deid 458 Hijj) farmate hai

أَخْبَرَنَا أَبُو حَامِدٍ : أَحْمَدُ بْنُ عَلِیٍّ الْحَافِظُ أَخْبَرَنَا زَاہِرُ بْنُ أَحْمَدَ حَدَّثَنَا أَبُو بَکْرِ بْنُ زِیَادٍ النَّیْسَابُورِیُّ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ یَحْیَی حَدَّثَنَا أَبُو دَاوُدَ عَنْ طَلْحَۃَ بْنِ عَمْرٍو الْحَضْرَمِیِّ عَنْ عَطَائٍ عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِیَ اللَّہُ عَنْہُمَا قَالَ : الأَضْحَی ثَلاَثَۃُ أَیَّامٍ بَعْدَ یَوْمِ النَّحْرِ ۔ [ضعیف ]

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai ki Qurbani ke din ke baad teen din mazeed bhi qurbani ke din hai.

[Sunan Al Qubra Lil Baihaqi Jild-9 Hadees Number - 499 {Zaeef}]

Is Riwayat ki sanad Zaeef hai lekin isi mafhoom ki bat Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se kayi sanado se darz hai jisse is riwayat ki tayeed hoti hai

Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah (Died 852 Hijj) ne kaha

وقد روى بـن أبي شيبة مـن وجـه آخـر عن بن عباس أن المعلومات يوم النحر و ثلاثة أيام بعده ورجح الطحاوى هذا لقوله تعالى ويذكروا اسم الله في أيام معلومات على ما رزقهم من بهيمة الأنعام فإنه مشعر بأن المراد أيام النحر انتهى

Imam Ibne Abi Shaibah ne ek doosri sanad Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat kiya hai ki Abdullah Ibne Abbas farmate hai ki (Allah Ta'ala ne jin maloom dino me qurbani ka huqm diya hai) un maloom dino se murad Yaum Nahar (10 Jill-Hijjah) uske baad 3 din (11 , 12 , 13 Jil-Hijjah) ke din hai , Aur Ise Imam Tahawi ne is liye rayez karar diya kyunki Allah Ta'ala ka farman hai aur jo Chaupaye Allah Ta'ala ne unke liye diye hai maloom dino me un par Allah ka name jikr karen , is Ayat se pata chalta hai ki yahan qurbani ke din murad hai.

[Fatah ul Baari Jild-2, Safa-458]

Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne Fatahul Baari me Ibne Abi Shaibah ki kitab se mazkoorsh baala Riwayat nakal ki aur iski ta-zaeef nahi ki hai aur Hafiz ibne Hajar Rahimahullah ki nazar me iski sanad sahih hai kyunki Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne fatahaul Baari ke muqaddame mein sharahat kar di hai ki wo is kitab me bataur Sharah jo riwayat darz kar lege aur un par kalam nahi karenge to unke nazdeek Sahih ya hasan hogi.

Imam Siyuti Rahimahullah (Died
911 Hijj) ne kaha


وأخـرج عبـد بن حميد وابن المنذر وابن أبي حاتم عن ابن عباس رضي الله عنهما قال: الأيام المعلومات: يوم النحر وثلاثة أيام بعده

Abd Bin Humaid , Ibne Munzir , Ibne Abi Hatim , Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat kiya hai ki Abdullah Ibne Abbas Farmate hai ki (Allah Ta'ala ne jin maloom dino me) qurbani ka huqm diya hai un maloom dino se murad Yaum Nahar aur uske baad 3 din hai

[الدر المنثور : 37/6]

Lekin in teeno sanado tak hamari risayi nahi ho saki kyunki Abd Bin Humaid , Ibne Munzir , Ibne Abi Hatim ki dastyaab kitab me ye riwayat mauzood hai.

Iski Kashrat turq ki buniyad par yahi jan e galib aata hai ki 4 din qurbani ki koyi na koyi asal Abdullah Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se jaroor hai , isliye ahle ilm ne bil-zajam Abdullah Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ko 4 din qurbani ka qayel paya.

baaz log تنویر المقیاس ko Abdullah Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ki tafseer mante hai aur usse hujjat pakadte hai jo durust nahi hai usme bhi ye hai ki

في أيام معلومات معروفات أيام التشريق على ما رزقهم من بهيمة الأنعام على ذبيحة الأنعام

Abdullah Ibne Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai (Allah Ta'ala ne jin maloom dinon me Qurbani ka huqm diya hai) Maloom dino se murad Ayyam e Tashreeq hai. in dino me Allah ki Ata kardah Chaupaye yani qurbani ke janwar jabah karte waqt Allah ka naam lo

تـويـر الـمـقبـاس من تفسير ابن عباس:ص:۲۷۹]۔]
 

Similar threads


Top