Haath utha kar dua karna sahih hai?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Haath utha kar dua karna sahih hai?

❁Sawaal:❁
Haat uotha kar dua karna Kiya sahih hai ?
Barahe meherbani Jawaab hadees number ke saath mila to bhetar rhata !
Jazakallaho Khairan

❀Jawaab:❀
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu

Yeh baat zehan mein bithaana zaroori hai ke dua ek ibadat hai, aur hum tamam ibadaat daleel ke saath hi karte hain, chunancha (Ahadees ki roshni mein) usooli baat yeh hai ke dua ke saath haath uthaye jaa sakte hain, lekin agar dua kisi aur ibadat ke zimn mein ho to us waqt dua ke alfaaz kehte huwe haath uthaana asal ibadat mein izafah tasawwur hoga, misaal ke taur par Namaz, Khutba, Tawaaf aur Sa’ee waghera ki ibadaat hain.
Chunanche Namaz mein dua e Istiftaah, Ruku’ ki dua, Ruku’ se uthne ke baad ki dua, do Sajdon mein dua aur do sajdon ke darmiyaan dua hai, lekin un jaghon mein agar koyi shakhs haath utha kar dua kare to usey bid’at tasawwur kiya jaayega, bilkul isi tarah kisi bhi Khutbe ke dauraan dua karte huwe siwaaye ek jagah ke alawah kisi jagah bhi haath nahi uthaaye jaayenge, jahan haath uthaaye jaa sakte hain woh hai Khutbe ke dauraan barish ki dua karte huwe. Yahi haal Tawaaf aur Sa’ee ke dauran ki jaane waali duaon ka hai.
Albatta jin duaon ke baare mein haath uthaane ki daleel mil jaaye to bila shak o shuba wahaan par haath uthaana jaaiz hoga.
Isi tarah aisi dua jis ke baare mein haath uthaane ki daleel nahi hai aur na hi woh dua kisi doosri ibadat ke zimn mein hai to aisi dua ko dua e mutlaq kaha jaata hai aur aisi dua ke liye haath utha lene mein koyi harj nahi hai. Is ki daleel Rasoolullah ﷺ ke is farmaan mein hai:
أَيُّهَا النَّاسُ، إِنَّ اللَّهَ طَيِّبٌ لَا يَقْبَلُ إِلَّا طَيِّبًا، وَإِنَّ اللَّهَ أَمَرَ الْمُؤْمِنِينَ بِمَا أَمَرَ بِهِ الْمُرْسَلِينَ، فَقَالَ : { يَا أَيُّهَا الرُّسُلُ كُلُوا مِنَ الطَّيِّبَاتِ وَاعْمَلُوا صَالِحًا إِنِّي بِمَا تَعْمَلُونَ عَلِيمٌ }، وَقَالَ : { يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُلُوا مِنْ طَيِّبَاتِ مَا رَزَقْنَاكُمْ }، ثُمَّ ذَكَرَ الرَّجُلَ يُطِيلُ السَّفَرَ أَشْعَثَ أَغْبَرَ يَمُدُّ يَدَيْهِ إِلَى السَّمَاءِ : يَا رَبِّ يَا رَبِّ، وَمَطْعَمُهُ حَرَامٌ، وَمَشْرَبُهُ حَرَامٌ، وَمَلْبَسُهُ حَرَامٌ، وَغُذِيَ بِالْحَرَامِ، فَأَنَّى يُسْتَجَابُ لِذَلِكَ​
Tarjumah: Aye logo! Allah ﷻ paak hai aur paak (maal) ke siwa (koyi maal) qubool nahi karta. Allah ne momino ko bhi usi baat ka hukm diya jis ka Rasoolon ko hukm diya. Allah ﷻ ne farmaya: “Aye Rasoolo! Paak cheezein khaao aur nek kaam karo jo amal tum karte ho main usey achchi tarah janne waala hun”. Aur farmaya: “Aye momino! Jo paak rizq hum ne tumhein ata farmaya hai us mein se khaao.” Phir aap ne ek aadmi ka zikr kiya jo lamba safar karta hai baal paraganda aur jism gubhar-aalood hai. (Dua ke liye) aasmaan ki taraf apne dono haath phailaata hai (aur kehta hai): Aye mere Rabb aye mere Rabb! Jabki us ka khaana haraam ka hai, us ka peena haraam ka hai, us ka libaas haraam ka hai aur us ko ghiza haraam ki mili hai to us ki dua kahaan se qubool hogi.
(Sahih Muslim: 1015)

Isi tarah Aap ﷺ ka farmaan hai:
إِنَّ رَبَّكُمْ تَبَارَكَ وَتَعَالَى حَيِيٌّ كَرِيمٌ يَسْتَحْيِي مِنْ عَبْدِهِ إِذَا رَفَعَ يَدَيْهِ إِلَيْهِ أَنْ يَرُدَّهُمَا صِفْرًا​
Tarjumah: Tumhara Rabb bahut ba-haya aur kareem (karam waala) hai, jab us ka banda us ke saamne apne dono haath uthaata hai to unhein khaali lautaate huwe usey apne bande se sharam aati hai.
(Abu Dawood: 1488, Tirmizi: 3556, Ibn e Majah: 3865, Musnad Ahmad: 23714)
√ Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.

Aur agar nafl Namaz ke baad haath utha kar dua karne ki koyi zaroorat ho to aisi soorat mein koyi harj nahi hai, Masalan: Insaan ko koyi zaroorat ho to Allah ﷻ se apni zaroorat maangne ke liye dua maange, to is mein koyi harj nahi hai, aur agar farz Namaz ke baad dua maangne aur haath uthaane ka aadi ho to is baare mein koyi wazeh daleel nahi hai.
Shaikh Sa’d Al-Humaid
 
Last edited:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Duayen aur Zikr o Azkaar 0

Similar threads


Top