Hadees “Qurbani ke janwar ke khoon ka pehla qatra girte hi magfirat” ki tehqeeq


Shona shaikh

Active member
Hadees “Qurbani ke janwar ke khoon ka pehla qatra girte hi magfirat” ki tehqeeq

Tehreer: Umar Asari

Imam Tabarani Rahimahullah farmate hain:
عَنْ عِمْرَانَ بْنِ حُصَيْنٍ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: يَا فَاطِمَةُ، قُومِي فَاشْهَدِي أُضْحِيَّتَكِ، فَإِنَّهُ يُغْفَرُ لَكِ بِأَوَّلِ قَطْرَةٍ مِنْ دَمِهَا كُلُّ ذَنْبٍ عَمِلْتِيهِ، وَقُولِي: إِنَّ صَلَاتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ لَا شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُسْلِمِينَ. قَالَ عِمْرَانُ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، هَذَا لَكَ وَلِأَهْلِ بَيْتِكَ خَاصَّةً، فَأَهْلُ ذَاكَ أَنْتُمْ، أَوْ لِلْمُسْلِمِينَ عَامَّةً؟ قَالَ: بَلْ لِلْمُسْلِمِينَ عَامَّةً​
Tarjumah: Imran bin Husain Radhiallahu Anhu se riwayat hai woh kehte hain ke Nabi e Akram ﷺ ne farmaya: Aye Fatima! Tum khadi ho aur apni Qurbani (ke janwar) ka mushaahada karo kiunki uske khoon ka pehla qatra girne se tumhaare gunaah jo tum ne kiye hain mu’aaf ho jaayenge aur tum yeh kaho “beshak meri Namaz, meri Qurbani, mera jeena aur mera marna yeh sab khalis Allah hi ke liye hai jo saare jahan ka maalik hai” Imran Radhiallahu Anhu ne kaha: Aye Allah ke Rasool ﷺ yeh Aap aur Aapki Aal ke liye khaas hai ya aam musalmaano ke liye bhi hai? Aap ﷺ ne farmaya: Balki tamaam musalmaano ke liye hai.
Takhreej: Mo’jam Al-Kabeer Lit-Tabarani: 18/239, Mo’jam ul Awsat Lit-Tabarani: 3/69 (2509), Ad-Dua Lit-Tabarani: 1/1244 (947), Musnad Ar-Royaani: 1/134 (138), Mustadrak Hakim: 4/348 (7604), Sunan Al-Kubra Lil-Baihaqi: 19/326 (19191), Sho’ab ul Iman Lil-Baihaqi: 9/452 (6957), Fazaail ul Awqaat Lil-Baihaqi, Page No: 108 (Hadees No: 255), Al-Kamil Li-Ibn e Adi: 8/267.

Is Hadees ka madaar Abu Hamza Ath-Thumali par hai aur woh Sa’eed bin Jubair se riwayat karne mein munfarid hain.
Aur Abu Hamza Ath-Thumali ka naam Sabit bin Abi Safiyyah Dinaar Ath-Thumali hai jo ki Za’eef ul Hadees hai.
Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah kehte hain:
ضعيف الحديث ليس بشيء
Isi tarah Yahya Rahimahullah kehte hain:
ليس بشيء​

Imam Daraqutni Rahimahullah kehte hain:
متروك​

Imam Nasai Rahimahullah farmate hain:
ليس بثقة
(Mazeed Tafseel ke liye dekhen: Su’aalaat ul Barqani Li-Daraqutni: 20, Az-Zu’afaa Wal-Matrookeen Lin-Nasai: 69, Az-Zu’afaa Wal-Matrookeen Li-Ibn e Jauzi: 1/158, Tehzeeb ul Kamal Lil-Mizzi: 4/357, Tehzeeb ut Tehzeeb Li-Ibn e Hajar: 1/264, Meezan ul Aitedaal Liz-Zehbi: 1/363)

Isi tarah Abu Hamza Ath-Thumali se riwayat karne waale rawi Nazr bin Ismail Al-Bajali bhi Za’eef rawi hain.
Yahya Rahimahullah kehte hain:
ليس بشيء​

Nasai aur Abu Zur’ah Rahimahumallah kehte hain:
ليس بالقوى​

(Mazeed Tafseel ke liye dekhen: Meezan ul Aitedaal Liz-Zehbi: 4/255, Tehzeeb ul Kamal Lil-Mizzi: 29/372, Tehzeeb ut Tehzeeb Li-Ibn e Hajar: 4/221, Taqreeb ut Tehzeeb Li-Ibn e Hajar: 7130)

Lehaaza yeh Hadees Abu Hamza Ath-Thumali aur Nazr bin Ismail Al-Bajali ki wajah se Za’eef hai.

Tambeeh: Imam Hakim Rahimahullah ne is Hadees ko agarche Sahih kaha hai lekin yahan un se sahw huwa hai. Isi liye Allama Zehbi Rahimahullah ne un ka ta’aaqub kiya hai, kehte hain:
فيه أبو حمزة الثمالي، وهو ضعيف جدا​
Tarjumah: Is ki Sanad mein Abu Hamza Ath-Thumali hai jo ke sakht za’eef hai.

Is Hadees ke do shawahid bhi hain. Un mein se ek Hadees Abu Sa’eed Khudri Radhiallahu Anhu se marwi hai aur doosri Ali bin Abi Talib Radhiallahu Anhu se lekin dono Ahadees sakht Za’eef hain balki un mein se ek (yani Hadees e Ali) Mauzoo’ hai. Is ki tafseel dekhen:
Hadees e Abi Sa’eed Khudri Radhiallahu Anhu:
Is ko Imam Hakim Rahimahullah ne Mustadrak Hakim: 4/348 (7605) mein, Ibn e Abi Hatim Rahimahullah ne ilal ul Hadees: 4/495 mein aur Imam Uqaili Rahimahullah ne Az-Zu’afaa Al-Kabeer: 2/37 mein «داود بن عبد الحميد عن عمرو بن قيس الملائي عن عطية عن أبي سعيد الخدري رضي اللّه عنه» ke tareeq se naqal kiya hai. Hadees ke alfaaz kuch is tarah hain:
عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ - رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ - قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ - لِفَاطِمَةَ (عَلَيْهَا الصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ): قُومِي إِلَى أُضْحِيَّتِكَ فَاشْهَدِيهَا فَإِنَّ لَكِ بِأَوَّلِ قَطْرَةٍ تَقْطُرُ مِنْ دَمِهَا يُغْفَرُ لَكِ مَا سَلَفَ مِنْ ذُنُوبُكَ، قَالَتْ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، هَذَا لَنَا أَهْلَ الْبَيْتِ خَاصَّةً أَوْ لَنَا وَلِلْمُسْلِمِينَ عَامَّةً؟، قَالَ: بَلْ لَنَا وَلِلْمُسْلِمِينَ عَامَّةً​
Tarjumah: Abu Sa’eed Khudri Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Nabi e Akram ﷺ ne farmaya: Aye Fatima! Tum apni Qurbani (ke janwar) ke paas khadi ho jaao aur uska mushaahida karo (yani Qurban hote huwe dekho) kiunki uske khoon ka pehla qatra girte hi tumhaare pichle gunaah mu’aaf ho jaayenge. Fatima Radhiallahu Anha ne kaha: Aye Allah ke Rasool ﷺ yeh hum Ahl e Bait liye khaas hai ya hamaare aur aam musalmaano ke liye bhi hai? Aap ﷺ ne farmaya: Balki yeh hamaare aur aam musalmaano ke liye hai.

Yeh Hadees bhi Sahih nahi hai. Is ki Sanad mein do illatein hain:
➊ Atiyyah. Yeh Ibn e Sa’d Al-Koofi hai. Yeh Za’eef rawi hai.
(Mazeed Tafseel ke liye dekhen: Tehzeeb ul Kamal Li-Mizzi: 20/145, Siyar A'laam An-Nubala Liz-Zehbi: 5/325, Meezan ul Aitedaal Liz-Zehbi: 3/79, Tehzeeb ut Tehzeeb Li-Ibn e Hajar: 3/114)

➋ Dawood bin Abdul Hameed.
Abu Hatim Rahimahullah kehte hain:
حديثه يدل على ضعفه
Uqaili Rahimahullah farmate hain:
روى عن عمرو بن قيس الملائي أحاديث لا يتابع عليها، منها: عن الملائي عن عطيةعن أبي سعيد يا فاطمة قومي إلى أضحيتك فاشهديها​
(Mazeed Tafseel ke liye dekhen: Meezan ul Aitedaal Liz-Zehbi: 2/11, Al-Mughni Fiz-Zu’afa Liz-Zehbi: 1/319, Lisaan ul Meezaan Li-Ibn e Hajar: 3/403)

Lehaaza yeh Hadees is Sanad se sakht Za’eef hai.
Imam Ibn e Abi Hatim Rahimahullah ne is Hadees ke mutalliq apne waalid e mohtaram Abu Hatim Rahimahullah se poocha to unhone jawaab diya ke yeh Hadees Munkar hai.
(Ilal ul Hadees Li-Ibn e Abi Hatim: 4/495)

Hadees e Ali Radhiallahu Anhu:
Is ko Abd bin Humaid ne apni Musnad (Al-Muntakhab): 1/119 (78) mein, Imam Baihaqi Rahimahullah ne Sunan Al-Kubra: 19/326 (19190) mein aur Imam Abu Qasim Asbahani Rahimahullah ne At-Targheeb Wat-Tarheeb: 1/241 (355) mein «سعيد بن زيد أخي حماد بن زيد عن عمرو بن خالد عنمحمد بن علي عن آبائه عن علي رضي اللّه عنه» ke tareeq se marfoo’an bayan kiya hai.
Yeh Hadees is Sanad se Mauzoo’ hai. Kiunki is mein ek rawi Amr bin Khalid (Abu Khalid Al-Qurashi) hai. Is par sakht jirah ki gayi hai. Kayi Muhaddiseen ne ise Kazzab kaha hai.
(Mazeed Tafseel ke liye dekhen: Tehzeeb ut Tehzeeb Li-Ibn e Hajar: 3/267, Tehzeeb ul Kamal Li-Mizzi: 21/603)

Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Munkar kaha hai.
(Za’eef ut Targheeb: 674)

Khulasa e kalam yeh hai ke yeh riwayat tamam turuq se Za’eef hai.
والله أعلم بالصواب
 
Last edited:

Top