Hadees (ليس منا) Woh hum me se nahi ki wazahat)


Abdul Mussavir

New member
بسم لله الرحمن الرحيم

Hadees (ليس منا) Woh hum me se nahi ki wazahat)

Article By:- Shaykh Hatim Arif Al Awni.

Esi bohut si ahadees hain jisme is jumle ka zikr hota hai, unme se me 2 rivayat misal ke taur par pesh karta hun:
1) من حمل علينا السلاح فليس منا
Jisne ham (Musalmaano) par hathiyar uthaye woh hum me se nahi
(Sahi Bukhari: 7071)

2) مَنْ غَشَّ فَلَيْسَ مِنِّي
Jisne dhoka diya woh hum me se nahi
(Sahi Muslim: 102)

Is Hadees ko padhne ke baad awaam me se koi shakhs ya woh jise ilm na ho yeh samajh sakta hai ke agar koi esa kam kare to woh muslim hi nahi rahega kyuke zahiri taur par iska matlab yahi nikalta hai lekin dar-haqeeqat iska matlab kuch aur hai aur yeh tafseer aur samajh (ki in ahadees mein islam se kharij ki baat kahi gayi hai)

asal me khawarij ki hai.

Shaykh ul Islaam Ibn Taymiya رحمه الله kehte hain:-
وكذلك تفسير الخوارج والمعتزلة بأنه يخرج من الإيمان بالكلية ويستحق الخلود في النار تأويل منكر

“Aur isi tarah khawarij aur mu'tazila ki tafseer/samajh yeh hai ke ke woh shakhs islaam se mukammal taur par kharij ho jata hai (Hadees ke jumle “woh hum me se nahi” ki wajah se) aur woh hamesha jahannum me rahega, aur unki yeh tafseer aur samajh mardood hai.”

(Majmoo Al Fatwa: 7/525)

Ab sawal yeh paida hota hai ke agar woh shakhs muslim rehta hai to is jumle ka matlab kya hua? Aur woh kaam jis ke sath yeh jumla istemaal hua hai woh kaam karne par kya hukm hai?

“Woh hum me se nahi” ka mafhoom:

Jab yeh jumla hadees me kaha gaya to iska matlab hai ke “woh mukammal taur par hamari sunnat ya hamare tareeqe ya hamare raaste par nahi.”

Ibn e hajar رحمه الله Sahih Bukhari ke baab
ليس منا من شق الجيوب
“Jo apne kapde faade (maut ya ranj o gham me) woh hum me se nhi”
par tabsirah (comment) karte huwe likhte hain:

قوله ليس منا أي من أهل سنتنا وطريقتنا وليس المراد به إخراجه عن الدين ولكن فائدة إيراده بهذا اللفظ المبالغة في الردع عن الوقوع في مثل ذلك كما يقول الرجل لولده عند معاتبته لست منك ولست مني أي ما أنت على طريقتي

Nabi ﷺ ka yeh farmana ki “Woh hum me se Nahi” iska matlab yeh hai ke “woh hamari sunnat aur tareeqe par nhi” iska matlab yeh nahi ke agar usne yeh kaam kiya to woh deen se kharij ho gaya aur is jumle (woh hum me se nahi) ko bolne ka faida (maqsad) daantne aur mana karne mein ziyadti aur mubalagha hai taaki is tarah ke kaamon ko koi anjaam na de *jaise ki (misaal ke taur par) ek aadmi apne bete ko daante ya marte hue kahe ki main tum me se nahi aur tum mujh se nhi to iska matlab yeh hota hai ke tum mere taur tareeq par nahi ho.

(Fath ul bari: 3/163)

Ibn ul Jawzi رحمه الله Sahih Muslim ki ek hadees (jisne teer chalana seekha aur usko bhool/chhod gaya to woh hum me se nhi) ki tashreeh karte hue farmate hain:-

قوله ليس منا أي ليس على سيرتنا وهذا لأن الرمي من آلة الجهاد فإذا تركه من علمه نسيه

Rasoolullah ﷺ ka yeh farmana ke “woh hum me se nahi” iska matlab yeh hai ki woh hamare tareeqe par nahi aur yeh is liye kaha kyunki teer andaazi jihaad me ek karne wala amal hai aur jo usko jante hue chhod de to use bhool jata hai.

(Kashf Al mushkil: 1/1111)

Imam Nawawi رحمه الله is jumle ke baare me farmate hain:-

Mafhoom: (Woh hum me se nahi) kaa matlab ahl e ilm ke nazdeek ye hai ki: Yeh un logon me se nahi jinhon ne hamare raaste ki taraf hidayat paayi aur hamare ilm aur amal ki iqtidaa (ita’at) ki aur hamare tareeqe ko behtar samjha, ye bilkul aisa hai jaise koi apne bete se jab uske kaam se khush na ho yeh kahe ki “tu mujhse nahi.” Yahi baat un saari Ahadees me bhi kahi jaayegi jin me is jaise (woh hum me se nahi) alfaaz aaye hain.

(Sharh saheeh muslim: 1/109)
 

Similar threads


Top