Hadees “Allahumma Barik Lana Fi Rajab" Za'eef Hai, Sahih Nahi Hai.


Shona shaikh

Active member
Hadees “Allahumma Barik Lana Fi Rajab”(اللَّهُمَّ بَارِكْ لَنَافِي رَجَب، وَشَعْبَانَ، وَبَلِّغْنَا رَمَضَانَ ) Za'eef Hai, Sahih Nahi Hai.



Romanised: Muhammed Haroon

Alhamdulillah:
Awwal:
Maahe rajab ki fazeelat mein koi hadees nabi (sallahu alahi wa sallam) se sabit nahi, mazeed tafseel ke liye aap sawal number: (75394) aur (171509) ka mutala karein.

Ibne Uthaymeen (rahimaullah) kahte hain:
“Mahe rajab ki fazeelat mein koi sahih hadees nahi hai aur mahe rajab ki jumad-is-saniyah se infiradiat sirf itni hai ke ye maah hurmat wale mahino me sab se pahla mahina hai, wagarna is mein koi khusoosi roze rakhna, Makhsoos namaz ki adaygi karna ya kisi khususiat ke saath umrah waghaira karna sahih nahi hai, balke is mahine ka darja degar mahino jaisa hi hai”
(“liqa albab al maftooh” (26/174) Maktaba shamila ki tarteeb ke mutabiq)

Doam:
Abdullah bin imam ahmed ne “zawaid ul musnad” (2346) me, tabrani ne “al awsat” (3939) me, Baihaqi ne “sho’ab ul emaan” (3534) me aur abu Nuyaim ne “hilyatul awliya”(6/269) me za'idah bin abi ruqaad ki sanad se naqal kiya ke hamein ziyad Numayri ne Anas razi Allahu anhu se bayan kiya ke Rasoolullah (sallahu alahi wa sallam) jab rajab shuru hota to farmate:
اللَّهُمَّ بَارِكْ لَنَافِي رَجَب، وَشَعْبَانَ، وَبَلِّغْنا رَمَضَانَ​
(yani: Aye Allah! hamare liye rajab aur shaban mein barkat daal aur hamein Ramadan naseeb farma)

Lekin ye sanad za'eef hai, is me "ziyad numeyri" raawi za'eef hai.

Imam ibne ma'een ne is rawi ko za'eef qarar diya hai.
Imam Abu hatim kahte hain ke ((لا يحتج به))yaani is ki hadees ko hujjat Nahi banaya jaa sakta.
Ibne hibban ne ise apni kitaab “az zu’afa” Mein naqal karte hue kaha (( لا يجوز الاحتجاج به)) ke is raawi ko hujjat banana jaiz Nahi hai.
Dekhein: “Meezan ul Ae'tedaal” (2/91)


Jabke zai'dah bin abi ruqaad mazkura bala rawi se bhi sakht za'eef hai, chunanche:
Imam Abu Hatim kahte hain: “ye rawi ziyad numeyri ke zariye anas (razi allahu anhu) se munkar riwayaat naqal karta tha, ab hamein maloom nahi ke munkar riwayaat iss ki apni taraf se hain ya iss ke ustaad ziyad ki taraf se”.
Imam bukhari kahte hain ye rawi “munkar ul hadees” hai.
(Al-Tareekh-ul-Kabeer: 3/ 433, Raqm: 1445)

Imam Nasai kahte hain: Ye rawi “munkar ul hadees” hai, Jabke apni kitab “al-kuna” mein kaha hai ke “ye siqa nahi hai”.
Imam Ibne hibban kahte hain: “ye mashur rawiyoun se munkar riwayaat bayan karta hai aur iski hadees ko hujjat Nahi banaya jaa sakta. Aur iski Ahadees sirf “aitebaar” ke liye likhi jaayen.”
Imam Ibne Adi kahte hain: “za'idah ke shagirdon mein muqaddami aur deegar afrad anokhi ahadees bayan karte hain aur iski kuch ahadees mein munkar ahadees bhi maujud hain.
(Dekhein: Tahzeeb al Tahzeeb (3/305-306)

Jabke sawal mein mazkoor hadees ko:
Imam nawawi ne "Al-zkaar (page: 189)" mein, Imam ibne rajab ne “lataif ul maarif” (page 121) mein, Imam Albani ne “zaeef ul jame” (4395) mein Za'eef Kaha hai.

Imam Haysami kahte hain: “is riwayat ko bazzaar ne naql kiya aur iski sanad mein za'idah bin abi ruqaad hai, iske bare mein imam bukhari "Munkar ul hadees" hone ka hukm lagate hain aur bohat se logon ne ise majhool qarar diya hai.
(Dekhein: “Majma' uz zawaid”)

Soam:
Hadees za'eef hone ke saath is mein aisi koi baat nahi hai ke dua sirf rajab ki pahli raat hi kahi jayegi, balke is me mutlaq dua ke alfaaz hain, chunanche in alfaz ko bataur e dua rajab me ya rajab se pahle bhi kaha jaa sakta hai .

Chaharum:
Agar koi Musalmaan ye dua karta hai ke Ya Allah mujhe ramazaan naseeb farma, To isme koi harj nahi.

Chunanche Hafiz ibne rajab rahimahullah kahte hain ke:
“Mu’alla bin fazal kahte hain: Salaf e saliheen) 6 maah tak Allah taala se dua karte the ke ya Allah jo ibadatein hum ne ki hain wo hum se qubul farma."

Yahya bin abi kaseer rahimaullah kahte hain:
"Salaf e saliheen ki dua ye hua karti thi: ya Allah mujhe ramazaan tak pahuncha de aur ramazaan mujh tak pahucha de aur phir mujh se is mein ki hui ibadaat qubool farma."
(lataif-ul-ma'rif safa 148)

Shaik abdul kareem khuzayr hafizaullah se istifsaar kiya gaya:
Hadees (اللَّهُمَّ بَارِكْ لَنَافِي رَجَب، وَشَعْبَانَ، وَبَلِّغْنَا رَمَضَانَ) Ki sahat ke bare mein kiya hukm hai?
To unhon ne jawab diya “ye hadees to sabit nahi hai lekin agar koi musalmaan Allah taala se ye dua kare ke, use ramazaan naseeb hojaye aur ramazaan me qiyaam o siyaam ki taufeeq mile, lailatul qadr talash karne ki taufeeq de ya koi bhi is ma'ne par mushtamil dua kare to in sha Allah is me koi harj nahi hai."...
Wallahu alam.

(Ye Mazmoon Islamqa.info Se Liya gaya hai)
 
Last edited:

Top