Hadees “Nabi ﷺ ne 4 lines kheenchi”


Abdul Adil

Member
اسلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ شیخ

Ek sawal hai ki ki ek hadees hai Ki Ap S A Ne 4 line kheechi aur farmaya ki ye charo saitani raste hai aur 1 seedhi line khichi aur farmaya ye seedha rasta hai shaikh ye hadees kaise hai ? Kis book me ye hadees hai ? Iske bare me detail me bata de ? JAZAK ALLAHU KHAIRA shaikh
 

Umar Asari

Administrator
Staff member
اسلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
وعلیکم السلام ورحمۃ اللہ وبرکاتہ
السلام hota hai, اسلام nahi
Ek sawal hai ki ki ek hadees hai Ki Ap S A Ne 4 line kheechi aur farmaya ki ye charo saitani raste hai aur 1 seedhi line khichi aur farmaya ye seedha rasta hai shaikh ye hadees kaise hai ? Kis book me ye hadees hai ? Iske bare me detail me bata de ? JAZAK ALLAHU KHAIRA shaikh
عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مَسْعُودٍ قَالَ: خَطَّ لَنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَوْمًا خَطًّا، ثُمَّ قَالَ: هَذَا سَبِيلُ اللهِ . ثُمَّ خَطَّ خُطُوطًا عَنْ يَمِينِهِ وَعَنْ شِمَالِهِ، ثُمَّ قَالَ: هَذِهِ سُبُلٌ، عَلَى كُلِّ سَبِيلٍ مِنْهَا شَيْطَانٌ يَدْعُو إِلَيْهِ. ثُمَّ تَلَا: وَأَنَّ هَذَا صِرَاطِي مُسْتَقِيمًا فَاتَّبِعُوهُ وَلَا تَتَّبِعُوا السُّبُلَ فَتَفَرَّقَ بِكُمْ عَن سَبِيلِهِ​
Tarjumah: Abdullah bin Mas’ood Radhiallahu Anhu se riwayat hai, kehte hain ki ek din Rasoolullah ﷺ ne hamaare saamne ek line kheenchi, phir farmaaya: “Yeh Allah ka raasta hai.” Phir us ke daayen baayen aur line kheechi, phir farmaaya: “Yeh (doosre) raaste hain, in mein se har raaste par shaitan hai, jo apni taraf bulaata hai.” Phir Aap ne yeh ayat padhi: “Be-shak yeh mera seedha raasta hai, is ki pairwi karo aur doosre raaston ki pairwi na karo warna woh tumhein us ke raaste se hata denge.” (Al-An’aam: 153)
(Sunan Darmi: 208, Musnad Ahmed: 4142, 4437. Musnad Ahmed ke muhaqqiqeen ne is ki Sanad ko Hasan kaha hai, is ke alawah Allama Ahmad Shakir aur Allama Albani Rahimahumallah ne bhi is ko sahih kaha hai)
Wallahu A’lam Bis-Sawaab!
 

Top