Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya shauhar apni biwi ka doodh peene se us ka beta ban jaata hai?

✵Sawaal:✵
Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu

Janab Agar shohar biwi ka doodh pee jaye toh kya apni biwi ka beta ban jata hai ?
kya nikah tooth jata hai ?

kya islam is tarah karne ki ijazat deta hai yah nahi agar shohar doodh pee jaye toh iska kya kaffara hai ?

Quran aur Hadees ki roshni mey hamari rehnumayi farmaye.

✯Jawaab:✯
Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu!
Allah ﷻ ne miyan biwi ko ek doosre se lutf andoz hone ki khuli chhoot di hai bas chand ek kaamon se mana farmaaya hai (jaise biwi ki pichhli sharmgaah mein jimaa’ waghera) un se bachte huwe shauhar apni biwi se aur biwi apne shauhar se jinsi sukoon haasil kare aur uske liye jo bhi tareeqa-e-kaar ikhtiyaar kare koi paabandi nahi hai.
Isi tarah shauhar ke liye biwi ke pistaan munh mein lene mein koi harj nahi hai. Shari’at mein iski mumani’at waarid nahi hue hai.
Albattah uska doodh pi jaana na-munasib amal hai. Doodh bachche ki ghiza hai lehaza yeh use hi milna chaahiye.
Taaham agar koi shakhs apni biwi ka doodh pi le to us se maa bete waala rishta nahi ban jaata. Kiunki koi aurat kisi ki maa us waqt banti hai jab woh use doodh peene ki umr mein kam-se-kam paanch (5) martaba pet bhar kar doodh pilaaye.
Yani razaa’i maa banne ki teen shartein hain:
Do saal se kam umr ho.
Paanch martaba piye.
Pet bhar kar piye.

In mein se ek bhi na ho to raza’at yani doodh ka rishta saabit nahi hota. Iske dalaail darj zail hain:
Umm-ul-Momineen Sayyedah Aisha Siddiqah Radhiallahu Anha farmaati hain:
كَانَ فِيمَا أُنْزِلَ مِنَ الْقُرْآنِ: عَشْرُ رَضَعَاتٍ مَعْلُومَاتٍ يُحَرِّمْنَ، ثُمَّ نُسِخْنَ، بِخَمْسٍ مَعْلُومَاتٍ​
Tarjumah: Quran-e-Kareem mein dus (10) ma’loom raz’aat naazil huen jo hurmat ko saabit karti thein iske baad paanch (5) ma’loom raz’aat ke saath dus (10) waala hukm mansookh ho gaya.
(Sahih Muslim: 1452)

Umm ul-Momineen Sayyedah Aisha Siddiqah Radhiallahu Anha farmaati hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
لَا تُحَرِّمُ الْمَصَّةُ وَلَا الْمَصَّتَانِ​
Tarjumah: Ek ya do ghoont hurmat ko saabit nahi karte.
(Sunan Abi Dawood: 2063, Allama Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai)

Umm ul-Momineen Sayyedah Aisha Siddiqah Radhiallahu Anha farmaati hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
فَإِنَّمَا الرَّضَاعَةُ مِنَ الْمَجَاعَةِ​
Tarjumah: Raza’at pet bhar ke peene se saabit hoti hai.
(Sunan Abi Dawood: 2058, Allama Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai)
هذا, والله تعالى أعلم, وعلمه أكمل وأتم, ورد العلم إليه أسلم, والشكر والدعاء لمن نبه وأرشد وقوم, وصلى الله على نبينا محمد وآله وسلم​

Jawaab By: Shaikh Rafiq Tahir Hafizahullah
 

Similar threads


Top