Hadees no. - 2 Iliyash Ghumman ki pesh kardah 20 rakat taraveeh wali riwayat ki tahqeeq


Abdul Adil

Member
Daleel Number 2 👇

Abdullah Bin Abbas razi Allah anhu Se Riwayat hai Ki Rasool Allah salallahu alaihi waslam Ne Ramdan me 20 rakat ( Taraveeh ) aur witr padhte the.

(Ibn Abi Sheebah Behaqi)

Scan 👇





Jawab 👇

Ye Riwayat sakht zaef hai . Iski sanad me Rawi Abu Sheebah Ibrahim Bin Osman Hai Jis Pe Sakht jarah Kiya gaya hai

IMAM BUKHARI RAHMULLAH kahte hai 👇

Sakto Anhu 👉 yani Ayimma Hadis Uski riwayat ko Chod Diyaa hai . Imam Ahmad, Yahaya bin Mueen aur Imam Abu Dawod Ne Zaef Qarar Diya hai. Imam Tirmizi ne Munkar ul Hadis Kaha hai . Imam Nisai aur Dolabi ne Matrook ul Hadis Kaha Hai . Imam Abu Hatim ne zaeef Al Hadis kaha hai. Imam Saleh kahte hai ki zaeef hai aur uski Hadis likhne ke layeq nahi hai.

(Tahzib ut Tahzib Safa 144 jild 1)

Hanfi Ulema ne bhi Zayeef qarar diya hai 👇

1- Alama Nemvi Asar Al sunan 398


2- Anwar shah kashmiri al Arf Al Shazi Safa 309

3- Alama Zaili Nasb al Rayat safa 153 jild 2

4- Mula Ali Qari Marqat safa 381 jild 3

5- Alama Yousaf Banori Muaraf al Sin 546 jild 5

6- Alama Abdul Hayi lakhnawi al Ta’alqin Al Mamjid safa 142

7- Dewbandi Ulema Tarik Jameel Ne bhi Mana Taraveeh 8 Rakat Sahih Hai aur 20 Rakat Wali Hadees Jayeef hai


You tube Link 👇



Upar Hawalo se maloom hua ki Abu sheebah Ibrahim bin osman ki zaef hone pe Muhadissin aur Ulema ka Ijma hai .


ABDUL HAQ DEHLAWI RH farmate hain 👇



وروي ابن عباس انه صلّی رسول الله صلی الله عليه وسلم عشرين ركعة في رمضان ثم أوتر بثلث لكن المحدثين قالوا ان هذا الحديث ضعيف والصحيح ما روته عائشة رضي الله عنها صلّی احدي عشرة ركعة كما هوا عادتة في قيام الليل وروي انه كان بعض السلف في عهد عمر بن عبدالعزيز يصلون احدي عشرة ركعة قصدا للتشبه برسول الله صلی الله عليه وسلم



Ki aur IBN ABBAS RZ RIWAYAT karte hain ki NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne 20 RAKA’ATEN padhi phir uske baad 3 WITR padhi lekin MUHADDIS kehte hain ki ye HADEES ZA’EEF hai aur SAHEEH wahi hai jo HAZRAT AAISHA RZ RIWAYAT karti hain ki NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne 11 RAKA’ATEN padhi jaisa ki QYAM UL LAYL me AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki aadat thi aur RIWAYAT hai ki BAAZ BUZURG UMAR RZ ke Ohad me 11 RAKA’AT padha karte the is GARZ se ki RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se MUSHABIHA

[[ MA SABAT BISSUNNAH FI AYAAMIS SANAHSAFA 218 ]]

SCAN 👇



NOTE 👉 ABDUL HAQ DEHLAWI RH KE QAUL SE YE WAAZEH HO GAYA KI HAZRAT AAISHA RZ KI HADEES SE MURAAD TARAWEEH HI HAI
 

Top