Hadees No. 3 Iliyash Ghumman ki pesh kardah 20 Rakat Taraveeh wali riwayat ki tahqeeq


Abdul Adil

Member
Credit :- Hafiz Jubair Ali Zai Rahimahullah

Daleel Number 3 👇

Sayyadna Abi Bin Ka’ab razi Allah anhu farmate hai ki Sayyadna Umar bin Khattab razi Allah anhu ne Mujhe Hukum Diya ki Ramzan ki Rat me Main Namaz (taraveeh) padhaon.

Sayyadna Umar razi Allah anhu ne farmaya 👉 log din ko roza rakhte hai aur (rat) ko (QURAN) Ki tilawat sahih nahi kr sakte hai is liye Quran Majid ki Tilawat Rat ko kare to behtar hai . Sayyadna Abi Bin Ka’ab razi Allah anhu ne farmaya 👉 ye baat Mai Janta hun Par Wo tilawat ka tariqa behtar hai ki Sayyadna Abi Bin Ka’ab razi Allah anhu logo ko 20 rakat Namaz (taraveeh) padhai.


Scan
👇





(Itihaf al Khairat ul Mahratu J-2 safa 424)

Iliyash Ghumman ne is riwayat ko bila sanad nikal kiya hai , jabki baki riwayat ko ba-sanad jikr kiya hai . is riwayat ki sanad na nakal krne me kya niyat thi , Allah hi behtar janta hai .

albatta is riwayat ka ek raawi Abu Ja’afar al razi hai . isi Abu Ja’afar al razi ek riwayat yuh bayan kiya hai ki Nabi Saw subha ki namaz me wafat tak hamesha qunoot padhte rhe .


Sunan Al qubra Lil Bihaqi J-2 Hadees Number 201

ye riwayat chuki aal - e dewband ke khilaaf thi isi liye unhone Abu Ja’afar al razi par jarah nakal krke mazkoorah riwayat ko zaeef karar diya chunancha


1) Ibne Turqamani hanfi ke kalam ka tarzuma nakal kiya jata hai 👉 main kahta hun ye riwayat saheeh kis tarah huyi , jab rabiya bin anas riwayat karne wala Abu Ja’afar al razi mutaqallim fi hai , Imam Ahmad aur Imam Nsayi ne kaha hai kawi nahi hai , Abu jarahim Qaseer kahte hain falan farmaate hai sayil huffaz hai , ibne Hibbaan ka kahna hai masair se munir riwayat bayan karta hai

Al Johar Al naqi j - 2/201

2) Aal e dewband ke imam Zaili hanfi ne nisbul raya me zaeef karar diya hai .

nisbul raya j-2/132

3) Aal e dewband ke shaikh ul islam ibne hamam ne zaeef kaha hai .

Fatahul Qadeer J-1/375

4) Aal e dewband ke muhaqqiq Naiyumi ne zaeef kaha hai

Asar us sunan 211

5) Zakariya Dewbandi Tableegi jamat wale ne zaeef kaha hai

Aw zaz al mashalik J-2/123


6) Aal e Dewband ke imam Sarfaraz khan Safdar Dewbandi ne Abu Ja’afar al razi ki bayan Kardah riwayat ko saheeh tasleem karne se inkar karte huye kaha 👉 to iski sanad me Abu Ja’afar al razi hai is par khasasan kalam hai

Khuzain As Sunan j - 2 safa - 149 number musalsal safa - 399

7) Barelvi Shaikh Ul hadees gulaam Rasool Sa'adi ne zaeef kaha

Sarah Muslim shareef j-2 / 327

(Dekhiye Al Hadis 76 safa 39-40 )

Scan
👇


 

Top