Saheeh Bukhari me Seene Par Hanth Bandhne Ki Hadees


Abdul Adil

Member
SEENE PAR HAATH BAANDHNE KA SABOOT HADITH # 1.

Sahal bin Sa'ad Razi Allahu Anhu se riwayat hai ki 👇

كَانَ النَّاسُ يُؤْمَرُونَ أَنْ يَضَعَ الرَّجُلُ الْيَدَ الْيُمْنَى عَلَى ذِرَاعِهِ الْيُسْرَى فِي الصَّلَاةِ ، قَالَ أَبُو حَازِمٍ : لَا ، أَعْلَمُهُ إِلَّا يَنْمِي ذَلِكَ إِلَى النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ إِسْمَاعِيلُ : يُنْمَى ذَلِكَ وَلَمْ يَقُلْ يَنْمِي .

“Logon ko [ SAHABA ] ko hukm diya jata tha ki wo namaz me seedha haath bayan haath ke ZIRAH [ forearm ] par rakhe, Abu Hazim Razi Allahu Anhu Ne farmaya ki “ Muje pata tha ke yeh Huqm Nabi Sallallahu Alai Wasallam se hai “

[ SAHIH AL-BUKHARI # 740 ]

HADITH KI TASDEEK 👇

Yeh kahna itna kaafi hai ki ye Hadith Sahih Al Bukhari ki hai, aur Sahih Al Bukhari doosre hadith ke kitaabo me alag darja rakti hai aur ispar Hadeethon ke Muhaddithon ka IJMA hai.

[Sharh Nukhbah p.224 and Tadreeb ar-Raawee of Suyootee p.25 and others) ].

Aur fir Mazeedi taur par Imaam Ibn Hazm in Al-Muhalla (4/114) aur Ibn Qayyim, A'laam al-Muwaqqi'een (2/6, Indian print) me SAHIH karar diya hai.


KHULASA 👇

Yeh hadeeh marfoo’ hai jaise ke Abu Haazim Razi Allahu Anhu Ne kaha ki “ Maine suna hai ke yeh Huqm Nabi ﷺ ka hai

“Is liye Hafiz Ibn Hajar ne Fathul Baari (2/124, Salafia Print) aur Allaamah Ainee ne use Umdatul Qaari (5/278, Al-Muneeriyyah Print)me farmaya ki 👇


Yeh Riwayat Marfoo’ hai aur yeh hadeesh Seene par haath baandne ki daleel hai kyunki jab Seedha haath baayen haath ke Zara’ par rakhenge tho haath naaf ke neeche baandhna nahi ho paayega.

Zara' ke maane hai 👇

"haath ki Ungli ke ilaake se haath ke kohni tak."

[Lihaazam “ Ghareeb ul-Hadeeth by Al-Harbi (1/277) me likhagaya hai ki
“ Az-Zaraa’, Haath ki kohni ke neeche se lekar beech ki ungli ke upar tak “]


Mazeed, Zaraa’ ke maane Lughat ke kitaabo me likha gaya hai 👇

[ See: "Lisaan al-Arab: 8/93, Taaj ul-Uroos: 1/5217, Kitaab al-Ayn: 2/96, Al-Mu'jam al-Waseet: 1/311, Tahdheeb al-Lughah: 2/189, Kitaab al-Kulliyaat: 1/730, and others" ]

Darul Uloom ke Deoband Maulaana Waheed uz-Zamaan Qaasmi al Kairawaani, likte hai ki 👇

“ Zaraa’ ke maane, Kohni ke hisse se lekar Beech ki ungli tak ”

[See: Qamoos al-Jadeed: Pg 308, Pub. Kutub Khana Husainia Deoband]

To upar ke Arabic Lughat ke kitaabon se pata chalta hai ke, ‘ Zaraa’ ke maane Kohni ke hisse se lekar beech ki ungli tak. Aur Bukhari ki hadith se pata chalta hai ke Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne huqm diya ki Seedha haath bayen haath ke Zaraa’ par baandho. “Jo log nahi maante ke SEENE Par HAATH baandna chahiye unko ek dafa koshish karna chahiye fir sonchna chahiye. Agar ALLAH chahe tho sab wajeh ho jaayega.

In-Sha-ALLAH.

FIRQA JAAHIL AHNAAF KA AITRAAZ 👇

“Kuch log kahte hai ke Zaraa’ par haath baandna zaroori nahi ki wo Poore Za’raa par haath baandhe.

Agar Zaraa’ ke ek hissa bhi, jaise Kalayi par bandhe tho bhi Nabi ﷺ ke Huqm par Amal poora ho jaayega.


Jawab 👇

عَنْ مَيْمُونَةَ ، قَالَت : وَضَعَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَضُوءًا لِجَنَابَةٍ فَأَكْفَأَ بِيَمِينِهِ عَلَى شِمَالِهِ مَرَّتَيْنِ أَوْ ثَلَاثًا ، ثُمَّ غَسَلَ فَرْجَهُ ، ثُمَّ ضَرَبَ يَدَهُ بِالْأَرْضِ أَوِ الْحَائِطِ مَرَّتَيْنِ أَوْ ثَلَاثًا ، ثُمَّ مَضْمَضَ وَاسْتَنْشَقَ وَغَسَلَ وَجْهَهُ وَذِرَاعَيْهِ ، ثُمَّ أَفَاضَ عَلَى رَأْسِهِ الْمَاءَ ، ثُمَّ غَسَلَ جَسَدَهُ ، ثُمَّ تَنَحَّى فَغَسَلَ رِجْلَيْهِ ، قَالَتْ : فَأَتَيْتُهُ بِخِرْقَةٍ فَلَمْ يُرِدْهَا ، فَجَعَلَ يَنْفُضُ بِيَدِهِ .


Ummul Momineen Maimoona Razi Allahu Anha bayan karti hain ki Rasoolullah ﷺ ne ghusl ka iraada farmaya to sab se pehle dono’n hath 2 ya 3 dafa dhoye, phir sharamgaah ko dhoya, phir baya’n haath, jis se sharamgaah dhoya tha, zameen par ya diwaar par 2 ya 3 dafa ragada phir isko dhoya phir kulli ki aur naak main paani daala, phir chehra dhoya, phir KOHNIYO’N tak haath dhoye phir sar par paani daala aur balo’n ki jado’n tak paani pahunchaya. Teen baar sar par paani daala, phir tamaam badan par pani dala, phir jaha’n aapne gusl kiya tha is jagah se hat kar paao’n dhoye.

[ SAHIH AL-BUKHARI # 274 ]

Ye hadith me Nabi Sallallahu Alai Wasallam ke Ghusl ka tareeka bataya gaya hai. Aur “

ثُمَّ مَضْمَضَ وَاسْتَنْشَقَ وَغَسَلَ وَجْهَهُ وَذِرَاعَيْهِ

“ lafz, Haath dhone ke liye istemaal kiya gaya hai, Yaani ki Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne apna chehra Murabak aur Haath’en dhoye hai.

Ab yaha Zaraa’ ke maane haath ka hissa ho gaya ?, Yaani ke Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne apna Zaraa’ nahi dhoya wo sirf kya Zaraa’ ka ek hissa dhoye?

فما کان جوابکم فہو جوابنا
۔

Aur ek Hadith iske ziman me dekte hai 👇

حَدَّثَنَا الْحَسَنُ بْنُ عَلِيٍّ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا أَبُو الْوَلِيدِ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا زَائِدَةُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَاصِمِ بْنِ كُلَيْبٍ بِإِسْنَادِهِ وَمَعْنَاهُ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ فِيهِ:‏‏‏‏ ثُمَّ وَضَعَ يَدَهُ الْيُمْنَى عَلَى ظَهْرِ كَفِّهِ الْيُسْرَى وَالرُّسْغِ وَالسَّاعِدِ:‏‏‏‏ وَقَالَ فِيهِ:‏‏‏‏ ثُمَّ جِئْتُ بَعْدَ ذَلِكَ فِي زَمَانٍ فِيهِ بَرْدٌ شَدِيدٌ فَرَأَيْتُ النَّاسَ عَلَيْهِمْ جُلُّ الثِّيَابِ تَحَرَّكُ أَيْدِيهِمْ تَحْتَ الثِّيَاب

Aap Salllalahu Alai Wasallam ne daye’n hanth ko baiey’n hanth ki hatheli (ki pusht) iske jod aur kalai par rakha.

[ABU DAWUD # 727 ]

KHULASA 👇

Yeh hadith kah rahi hai ke Nabi Sallallahu Alai Wasllam, apna seedha haath baayen haath kalai aur ziraa ke upar rakhthe the.

Yeh hadith ke mutaabik agar aap bhi apka haath isi tarah rakhenge tho fir haanth seene par bandh jaayenge isme koi shak nahi.

Tho yeh hadith bhi Seene par haath par baandne ki ek daleel hai.


Shaikh Al Albani Rah. Ek Muqallid ke ikhtelaaf par likte hai ki 👇

فلوأنه حاول يوماما أن يحقق هذاالنص الصحيح في نفسه عمليا -وذلک بوضع اليمني علي الکف اليسري والرسغ والساعد، دون أي ''
تکلف- وجد نفسه قد وضعهماعلي الصدر! ولعرف أنه يخالفه هو ومن علي شاکلته من الحنفية حين يضيعون أيديهم تحت

Agar, Kisi din, yeh shaks bina kisi Takalluf se yeh SAHIH hadith par amal karega tho wo khud bakhud apna haath Seene par baandha huwa paayega Aur use maalum ho jayega ki wo aur Ahnaaf uske jaise jo naaf ke neeche haath bandthe hai aur sharmgaah ko dhakate hai, tho wo log beshaq SAHEEH hadith ke khilaaf hi jaa rahe hai.

[Muqaddimah Sifaat as-Salaat an-Nabi: Pg 16]

Isi hadith ki aur ek Sanad 👇

Hazrath Wael bin Hujr Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ki namaz ka tareeqa bayan karte huye farmate hain ki

Aap Salllalahu Alai Wasallam ne daye’n hath ko baiey’n hath ki hatheli (ki pusht) iske jod aur kalai par rakha.


[ Sunan Nasai: al Iftetaah # 889 ] Ise Imam Ibne Hibban 1485 aur Imam Ibne Khuziama 480 ne Saheeh kaha hai .



Wallahu Aalam
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Abdul Adil Namaz 0

Similar threads


Top