Hadith Ki Ahmiyath


Staff Member

Member
Staff member
Quran ki Tarah hadis bhi wahi hai.

Irshad Bari Ta’ala hai ke
وَمَا يَنطِقُ عَنِ الْهَوَىٰ إِنْ هُوَ إِلَّا وَحْيٌ يُوحَىٰ​
Aap ﷺ apni marzi se baat nhi Karte balke woh toh wahi hai jo Aap ﷺ par behji jati hai
Surah An- Najm Ayat 3-4

Ek riwayat mein yeh Farman-e-nabwi hai ke khabardar! Mujhe quran aur uski tarah Ek aur chiz (yani hadis) bhi di gayi hai
Abu dawud 4604

Ita’at e ILAAHI ke sath Ita’at e Rasool ka bhi hukm hai. Irshad Bari Ta’ala hai ke
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَلَا تُبْطِلُوا أَعْمَالَكُمْ​
Aye emaan walo Allah ki ita’at karo aur Rasool ki ita’at Karo aur (un mein se kisi ki na farmani Kar ke) apne amal barbaad na Karo
Surah Muhammad Ayat 33

Hadis ki bina qurani ayat ko samjhna na mumkin hai kiunke Hadis quran ki mufassir hai jaisa ke quran mein namaz, zakat, aur Haj ki adaygi ka Hukm toh hai magar namaz ki tadad-e-rakat, zakat ka nisab, aur Haj ka tariqa e kaar waigaira maujud nhi balke yeh tafseel sirf hadis mein hai.

Hadis kuch aise ahkam bhi bayan karti hai jinse Quran ne sukut ikthiyar Kiya hai maslan, aurat aur uski Khala ya phuphi ko Ek Nikah mein jama Karne ki hurmat

Ita’at e Rasool Hubb-e-Rasool ka lazmi taqazah hai aur Hubb-e-Rasool ke begair insaan ka emaan hi mukamal nhi. Chunancha Farman Nabi hai ke.
“Uss zaat ki qasam jiske hath mein Meri jaan hai tum mein se koi bhi uss waqt tak momin nhi ho sakta jab tak mein uske nazdik uske Walid, uske aulaad, aur tamam logo se zada mehbub na ho Jayon
Sahih Bukhari 14

Ita’at e Rasool hi zariya e hidayat hai
وَإِن تُطِيعُوهُ تَهْتَدُوا​
Aur agar Tum uss (Rasool ﷺ) ki ita’at Karo ge toh hidyat payo ge
Surah Noor Ayat 54

Asr-e-hazir ke Ek scholar Professor doctor hameedullah rahamahullah ne France ki Ek library se Hammam bin munabbeh rahamahullah (Shagird Hazrat Abu hurairah radiallahuanah) ka woh saheefa (scripture) daryaft kr ke taba' (published) karwaya jise hadis ka pehla Majmua kaha Ja sakta hai.

Source : Muqadamah Balugul Maraiam

Taleef-e-Muqadamah : Hafiz Imran Ayub Lahore

Romanised by ; Iqbal Javed Al-hindy
 
Top