"Hafte ke din aur unka Ta'aruf"


Abdul Mussavir

New member
ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

Mohamed Asjad Kamal ki kitab "Hafte ke din aur unka Ta'aruf


1) Juma'a ka din

Rajeh qawl ke mutabik juma'a hafte ka pehla din hai.

Juma ke dusre naam

Juma ko urdu me bhi isi naam se pukara jata hai aur arabi me bhi, isse farsi me "Adina" ke naam se mashur hai.Aur angreji me Friday

1) Daur e jahiliyat me isse "youm al arooba" kaha jata tha.
2) Quran me is din ko "shahid" kaha gya hai.
3) Ek hadees me isse Sayed-al-ayyam (dino ka sardar) kaha gya hai.
4) Ek aur Hadees me isse "youm al majeed" bhi kaha gya hai.
5) ek mursal rivayat me isse "youm al Eid" kaha gya hai.


Ref :-
1) Tareekh al arab qabl islaam 8/359
2) Quran : Surah Al -burooj 3
3) Hakim :- 1/288
4) Tabrani :- 1/566
5) Ibn Abi shayba :- 4/36



Ba'az qutub me iska purana naam "harba" bhi likha gya hai.

Hafiz ibn kaseer kehte hai ke juma , jama mustaq hai musalmaan hafte me ek baar is din badi badi masjid me jama hote hai nez isi roz tamam makhluq ki takmeel farmayi gayi thi
(Tafseer al-quran al-azeem 6/214)

Juma ke din ke fazail

Jume ke din ko baqi dino par fazilat hasil hai is din ki jo fazilat hasil hai baqi kisi din ko nhi. Quran majeed me is din ke naam hi ek surat mojud hai

"سورة الجمعة"

Is surah ke akhir ruku me is din ke ahkaam wa masail zikr hai

Aey woh logo jo eman laye ho! Jummay kay din namaz ki azan di jaye to tum Allah kay ziker kay taraf dor paro aur khareed-o-farokht chor do. Yeh tumharay haq mein boht hi behtar hai agar tum jantay ho. Phir jab namaz ho chukay to zamin mein phel jao aur Allah ka fazal talash kero takay tum falah paa lo. Aur jab koi soda biktay dekhen ya koi tamasha nazar aajaye to uss ki taraf dortay jatay hain aur aap ko khara hi chor detay hain aap keh dijiye kay Allah kay pass jo hai woh khel aur tijarat say behtar hai. Aur Allah Taalaa behtareen rozi rasan hai.
(Surah -Al-juma 9-11)


Allah تعالى is din ki qasam khata hai

Allah ki is din ki qasam khana isse iski ehmiyat aur fazilat ka bakhubi pata lagaya ja sakta hai.
Quran (85-3)



وَ شَاہِدٍ وَّ مَشۡہُوۡدٍ ؕ﴿۳﴾

Hazir hone aur hazir kiye hue ki qasam

Hazrat Abu Huraira se marvi hai :-
شَاہِدٍ
se Murad jume ka din hai aur

مَشۡہُوۡدٍ
Se Murad youm e arfa ka din hai .

Hafte waar eid aur islam ki takmeel ka din hai.

Jume ke din Allah تعالى ne islaam deen ki takmeel ki thi aur ahle islaam par apni nemat ko pura karte hue farmaya :-

Quran (5:3)


اَلۡیَوۡمَ اَکۡمَلۡتُ لَکُمۡ دِیۡنَکُمۡ

Aaj mere tumhare liye deen ko kamil kardiya hai.


juma ke din ek khas waqt hota jab jo bhi khair ki dua maango qubul hoti

Hadees :-
Abu hurairah رضي الله عنه se rivayat hai ki Abu Al-Qasim (Yani Rasulallah ﷺ) ne farmaya juma mein ek ghadi aisee aati hai ki jo musalman bhi us waqt khada namaz padhe aur Allah se koi khair maange to Allah usko jarur dega

Ref:- Sahih Bukhari 5294

Us ghadi ko Asar aur Magrib ke darmiyan talash karo

Hadees :-

Anas bin malik رضي الله عنه se rivayat hai ki Rasulallah ﷺ ne farmaya

Juma ke din (dua qubul hone ki) wo mubarak ghadi ko Asar aur gurub e aaftab (yani magrib ) ke darmiyan talash karo
Ref:- Tirmidhi 489 (Sahi -albani)

Us ghadi ko asar ke akhri waqt gurub se peble talash karo

Jabir رضي الله عنه se rivayat hai ki Rasulallah ﷺ ne farmaya juma ka din 12 ghante ka hai jisme koi momeen banda Allah سبحانه وتعالى se kuch mange to Allah usko jarur ata farmate hai , tum log usko asar ke baad aakhri waqt mein talash karo

Ref:- Sunan Nasaii 1390


Note:- Ahle ilm ke darmiyan is masle me ikhtelaaf hai rajeh qawl yhi hai jo upar hadees me bayan kiya hai kuch ka kehna hai jume ke din imam ke mimbar pe bethne se leke khutba khatm hone tk woh ghadi hai.

Khair hume jume ke din jyada waqt ibadat me mashgul rehna chahiye.


Dino ka sardar aur Afzal din

Jume ke din ko yeh fazilat bhi Shamil hai ke yeh Dino ka sardar hai aur tamam dino se behtreen din hai
Hadees :- Muslim 584

Sayedna Abu Huraira رضي الله عنه se marvi hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya :-

Behtreen din jis par suraj tulu'o hota hai woh jume ka din hai . Isme

1) Adam عليه السلام ko paida kiya.

2) Isi din inko jannat dakhil kiya gaya

3) isi roz jannat se nikale gye

4) Isi roz qayamat ka din qayim hoga.



Jume ki imtiyazi shaan


Jume ke din ki ahemiyat wa fazilat itni wasee hai ke iss ka zahur aalam e akhirat me bhi hoga
Hadees :- Silsila ahadees saheeha 706

Abu musa Ashar رضي الله عنه bayan karte hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya :-

beshaq Allah تعالى Qayamat ke din dino ko unke halat par uthayga aur jume ke din ko jagmagata hua Roshan banakar uthayga. Juma ada karne wale isse is tarah ghere honge jese Dulhan dulha ke supurd ki jati hai.



Ama'al juma aur unki fazilat

Ummat e muslima ko jume ke din bohut sare ahkamat par amal karne ka hukm diya hai aur unki badi fazilate bhi bayan ki gayi hai.

1) Jume ke din namaz fajr ki fazilat

:- Rasulullah ﷺ ne farmaya :- Beshaq Allah ke nazdeek namazo me afzal Namaz jume ke din fajr ki namaz hai jo ba'zamat padhi jaye .

(Shoaib al emaan lil bahiqi 2783).

2) Jume ke din surah kahf padhne ki fazilat

Rasulullah ﷺ ne farmaya :- jisne jume ke din surah kahf padhi uske liye Allah 2 jumo ke darniya noor roshan farmayga

(Sunan kubra 5996)

Dusri rivayat me hai ke ;- Allah uske liye uske aur baitul Ateeq ke darmiya noor roshan farmayga .

(Sunam darimi 3450)

Jume ke din ghusl se leke juma ada karne tk ki fazilat

Rasulullah ﷺ ne farmaya :-

Jo shaqs jume ke din ghusl kare aur jaha tk ho sake khusbu istemaal kare, phir namaz jume ke liye jaye, aur masjid me jakar 2 admio ke darmiya na ghuse phir jitni ho sake nafil namaz ada kare , aur imam khutba shuru kare to khamosh rahe to uske liye is juma se lekar dusre juma tk ke gunah muaf kardiye jayge
(Sahi bukhari 883)

Jume ke din durud shareef padhne ki fazilat

Hazrat Owais Bin Aws رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulallah ﷺ ne Jume ke ba’az khususiyat zikr karne ke baad irshaad farmaya :-





Lehaza tum is din mujh par jyada durood bheja karo kyu ke Tumhara durood mujh par pesh kiya jata hai Sahaba ne kaha : Aey Allah ke Rasool ﷺ ! Hamara durood aap par kese pesh kiya jayga jab ke Qabr me Posheeda hojayge ? Rasulallah ﷺ ne jawab diya ke behsaq Allah ﷻ ne Zameen par yeh baat haram kardi hai ke woh ambiya ke jism ko khaye. (Abu dawood 1047 Sahi Albani)



Jume ke din jung e badar bhi hui thi





Hafte(Saturday) ka din



Ba'az logo ke nazdeek hafta pehla din aur ba'az logo ke nazdeek hafta 7va din hai. Hamarr nazdeek chuki juma'a hafte ka pehla din hai is lehaaz hai hafta (Saturday) 2sra din



Hafte ka dusra naam



Isse arbi zubaan me "Youm-al-sabt" kehte hai. Angreji me Saturday aur hindi me "sanichar". Farsi me "shamba" kehte hai.



Hafte ke fazail



Yahidiyo ke liye hafte waar eid ka din



Hafte ka din yahidiyo ke yaha wohi muqaam wa martaba hai jo hamare yaha jume ka hai



Hadees :- Sahi Muslim 856



Sayedna Abu Huraira رضي الله عنه se marvi hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya :-



Humse pehle ke logo ko Allah ne jume se bhatka diya pas yahud ke liye hafte ka din ,nasara(isayi) ke liye itwar ka din hume jume ke din hidayat bakhshi



Allah سبحانه وتعالى quran me farmata hai :-



اِنَّمَا جُعِلَ السَّبۡتُ عَلَی الَّذِیۡنَ اخۡتَلَفُوۡا فِیۡہِ ؕ وَ اِنَّ رَبَّکَ لَیَحۡکُمُ بَیۡنَہُمۡ یَوۡمَ الۡقِیٰمَۃِ فِیۡمَا کَانُوۡا فِیۡہِ یَخۡتَلِفُوۡنَ



Haftay kay din ki azmat to sirf unn logon kay zimmay hi zaroori ki gaee thi jinhon ney uss mein ikhtilaf kiya tha baat yeh hai kay aap ka perwerdigar khud hi unn mein unn kay ikhtilaf ka faisla qayamat kay din keray ga.



Hafiz Abdus Salaam is ayat ki tafseer me farmate hai :-



Hafte ke din ki ta'azeem millat e islamiya me na thi aur na hi Ibrahim عليه السلام ki shariyat me. Yeh din to baad me un logo kr liye muqarrar kiya gaya jinhone ikhtelaaf kiya .



Ikhtelaaf ka matlub yeh hai ke Musa عليه السلام ne inke upar jume ke din ki ta'azeem wajib ki thi magar inhone (yahidiyo) ne is par ikhtelaaf karke hafte ke din ko muqarrar kiya is par Allah tala ne isi din ki ta'azeem wajib kardi aur shikar karne se mana kiya.



Yahidiyo ko Allah tala ne hafte ke din machlio ka shikar krne ka mana kiya lekin unhone jyadti ki



Quran :- Surat -an- Nisa 154

وَّ قُلۡنَا لَہُمۡ لَا تَعۡدُوۡا فِی السَّبۡتِ وَ اَخَذۡنَا مِنۡہُمۡ مِّیۡثَاقًا غَلِیۡظًا





yeh bhi farmaya kay haftay kay din mein tajawuz na kerna aur hum ney inn say sakht say sakht qol-o-qarar liye.



Lekin yahidiyo ne mukhtalif bahano se machlio ka shikar kiya.



Yeh ek azmaish bhi thi yahidiyo ke liye kyu ke is din machliya bhi jyada aya karti thi.



Quran :- Surah Aeyraf 163-164



Aur aap inn logon say uss basti walon ka jo kay darya-e ( -shor ) kay qarib aabad thay uss waqt ka haal poochiye! Jabkay woh haftay kay baray mein hadd say nikal rahey thay jabkay unn kay haftay kay roz to unn ki machliyan zahir ho ho ker unn kay samney aati thin aur jab haftay ka din na hota to unn kay samney na aati thin hum unn ki iss tarah per aazmaeesh kertay thay iss sabab say kay woh bey hukmi kiya kertay thay.



Hafte ke din zameen ki takhleeq ka din hai



Hadees :- Sahi Muslim 2789



Abu Huraira رضي الله عنه se marvi hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya :-



Allah ne mitti(zameen) ko hafte ke din paida kiya



Akele hafte ka roza rakhne ki mumaniyat



Hadees :- Abu Dawiid 2421





Hafte ke din roza na rakho siwaye un ayyam ke jin me tum par farz ho.



Hafte sath itwaar ko milaya jaye jesa ke degair hadees me sabit hai



Note:- Aap itwaar ke din wala mazmun dekhe



Hafte ke din tareeqi waqiyat



1) Gazwa ohud

2) wafat imam sufyan bin uyanah

3) wafat imam bukhari





Itwaar ka din



Itwaar islamic hafte ka 3sra din hai . Yeh hindi zubaan ka lafz hai Itwaar ka matlub hai aftaab ka din suraj ka din (1)



Afsos hai ke urdu me iska naam itwaar naam se ma'aruf hai Halake gaur kare to pata chalega is lafz me shirk ki bu aati hai kyu ki suraj ki puja karne walo ne apne devta ke din par iska naam rakha hai



Itwaar ka naam arabi me youm-al-ahad aur farsi me yek-shamba aur angreji me sunday kehte hai.



Itwaar ke fazail.



Isaiyo me haftewaar eid ka din hai bilkul isi tarh jese musalmaano me jume ka din eid ka din hai yahudi me sanichar(Saturday) ka din eid ka din hai.



HADEES :-



أَضَلَّ اللَّهُ عَنِ الْجُمُعَةِ مَنْ كَانَ قَبْلَنَا ؛ فَكَانَ لِلْيَهُودِ يَوْمُ السَّبْتِ، وَكَانَ لِلنَّصَارَى يَوْمُ الْأَحَدِ، فَجَاءَ اللَّهُ بِنَا فَهَدَانَا اللَّهُ لِيَوْمِ الْجُمُعَةِ، فَجَعَلَ الْجُمُعَةَ وَالسَّبْتَ وَالْأَحَدَ، وَكَذَلِكَ هُمْ تَبَعٌ لَنَا يَوْمَ الْقِيَامَةِ



Humse pehle ke logo ko Allah ne jume se bhatka diya , pas yahud ke liye hafte (Saturday) ka din aur isaiyo ke liye itwar ka din muqarrar hua fir Allah tala hume laya aur jume ki din ki hidayat bakshi aur usne tarteeb uhi bana di



Juma, hafta , itwaar aur isi tarah woh Qayamat ke roz hamare peche honge.(2)



Itwaar pahado ki takhleeq ka din hai



اَلۡقٰی فِی الۡاَرۡضِ رَوَاسِیَ اَنۡ تَمِیۡدَ بِکُمۡ

Aur uss ney zamin mein pahar gaar diye hain takay tumhen ley ker hilay na(3)



Duniya me bade bade azeem pahad hai yeh tamam pahad Allah ne itwaar ke din paida kiye hai.



Hadees :-



Abu Huraira رضي الله عنه farmate hai Rasulullah ﷺ ne mera hath pakda aur farmaya :-



خَلَقَ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ التُّرْبَةَ يَوْمَ السَّبْتِ، وَخَلَقَ فِيهَا الْجِبَالَ يَوْمَ الْأَحَدِ



Allah تعالى ne mitti ko hafte ke din paida Kiya aur pahado ko itwaar ke din (4)



Itwaar ke din rozah rakhna



Hadees :-

أَكْثَرَ مَا كَانَ يَصُومُ مِنَ الْأَيَّامِ يَوْمَ السَّبْتِ وَالْأَحَدِ،".



Beshaq Rasulullah ﷺ aksar hafta aur itwaar ka roja rakha karte the aur farmaya karte the.



كَانَ يَقُولُ: "إِنَّهُمَا يَوْمَا عِيدٍ لِلْمُشْرِكِينَ وَأَنَا أُرِيدُ أَنْ أُخَالِفَهُمْ



Rasulullah ﷺ ne farmaya beshaq yeh 2 din (hafta aur itwaar) mushriko ke eid ka din hai aur me chahta hu inki mukhtalifat karu(5)



Note:- yaad rahe khali hafte ke din Rozah rakhna mana hai uske sath kisi aur din (/juma/itwaar ) ko milaya jayga.



1. DUROOS UL LUGHAT 1/109

2. SAHEEH MUSLIM 856

3. SURAH NAHL AYAT 15

4. SAHEEH MUSLIM 2789

5. SAHEEH IBN KHUZAIMA 2127


Peer, Somwaar ka din



Islamic hafte ka 4tha din peer hai. Isse somwaar bhi kehte hai "somwaar" Sanskrit zabaan ka lafz hai , jiska matlub hai chand ka din. Chand ke pujariyo ne Apne devta chand ke naam par iska din somwaar rakha hai.



إن لله وإن إليه راجعون



Peer ke dusre naam



Arabi zubaan me isse "Youm-al-isnain" kehte hai Qadeem (purani) arabi me isse "Aahoon"(اهون) kehte farsi me "Do-shamba" aur angreji me monday kehte hai.



Somwaar ke din darakhto ki takhleeq ka din hai



Hadees :- Sahi Muslim 2789



وَخَلَقَ الشَّجَرَ يَوْمَ الِاثْنَيْنِ،



Aur darakhto ko peer ke din paida kiya.



Wiladat e Mustafa ka din



Peer ka din is wajh se bhi fazilat wala hai ke iss roj zameen par darakht paida farmakar rizq diya usi tarah Apne akhri Nabi ﷺ ko paida farmakar insaniyat ko raunaq bakhshi..



Hadees :-Sahi Muslim 1162



" فِيهِ وُلِدْتُ، وَفِيهِ أُنْزِلَ عَلَيَّ ".



Rasulullah ﷺ ne farmaya :- Isi din meri wiladat hui aur isi din mujh par wahi (wahy) nazil ki gayi.



Aap ﷺ ki wiladat rabbi-awwal ke mahine me somwaar/peer ke din hui.



Upar ki hadees me yeh bhi agya hai ke peer ke din wahy ka nazul hua hai



Wafat Rasulullah ﷺ ka din



Sayedna Anas bin Malik رضي الله عنه kehte hai ke mene Rasulullah ﷺ ki akhiri ziyarat mene us waqt ki jab Apne peer ke din Pardah hataya tha



(Musnad Humaidi 1222 sanad hasan)



Rabb ki bargaah me ama'aal ke pesh ka din.



Is roz bani adam ke ama'aal bargah ilahi me pesh kiye jate hai wese to roz hi pesh kiye jate hai lekin peer ke din hafte-waar pesh kiye jate hai. Jese salana shaban ke mahine me pesh kiye jate hai. (SUNAN NASAI 2359)



HADEES :- Sahi Muslim 2565



تُعْرَضُ الْأَعْمَالُ فِي كُلِّ يَوْمِ خَمِيسٍ وَاثْنَيْنِ، فَيَغْفِرُ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ فِي ذَلِكَ الْيَوْمِ لِكُلِّ امْرِئٍ لَا يُشْرِكُ بِاللَّهِ شَيْئًا، إِلَّا امْرَأً كَانَتْ بَيْنَهُ وَبَيْنَ أَخِيهِ شَحْنَاءُ، فَيُقَالُ : ارْكُوا هَذَيْنِ حَتَّى يَصْطَلِحَا، ارْكُوا هَذَيْنِ حَتَّى يَصْطَلِحَا



Logo ke ama'al har hafte me 2 martaba pesh kiye jate hai peer ke din aur jume raat (Thursday) ke din fir har momin bande ki magfirat kardi jati hai siwaye us bande ke ke uske aur uske bhai(musalmaan/momin) ke darmiyan Dushmani ho chunanche irshad hota hai ke unhe chod do ya unhe mohlat de do yaha tak ke yeh ruju karle.



Jannat ke darwajo ka khulna



Hadees :- Sahi Muslim 2565



تُفْتَحُ أَبْوَابُ الْجَنَّةِ يَوْمَ الِاثْنَيْنِ وَيَوْمَ الْخَمِيسِ



Peer aur jumerat ke roz jannat ke darwaje khol diye jate hai





Magfirat ka din



Hadees :- Ibn Majah 1740



إِنَّ يَوْمَ الِاثْنَيْنِ وَالْخَمِيسَ يَغْفِرُ اللَّهُ فِيهِمَا لِكُلِّ مُسْلِمٍ إِلَّا مُتَهَاجِرَيْنِ، يَقُولُ : دَعْهُمَا حَتَّى يَصْطَلِحَا



Peer aur jumerat ke din Allah tala har musalmaan ki magfirat farma deta hai siwaye un 2 admi ke jo apas me qata-talluq (baatchite band/dushmani) kar chuke hai woh farmate hai hai unhe chod do yaha tk ke woh sulah karle.



Peer ke din roze ki fazilat



Peer ke din roza rakhna masnun hi nahi, balqe pyare Nabi ﷺ ki sunnat hai.



Hadees :- Sunan Nisai 2360



كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَصُومُ الِاثْنَيْنِ وَالْخَمِيسَ.



Rasulullah ﷺ har peer aur jumerat ke din roza rakhte the



Dusri hadeeso se pata chalta hai ke Aapﷺ 2 wajah se roza rakte hai



1) to apki wiladat ka din

2) is din amaal pesh hote hai .



Rasulullah ﷺ ka yeh ma'mul tha ke woh peer ke din masjid quba jaya karte the (sahi Muslim)



Kuch tareekhi waqiyat



Rasulullah ﷺ ki amad (medina ne) me peer ke din hui.



Aap ﷺ ne 27 safar 14nabvi ko makkah choda 8 rabbi awwal peer ke din medina pohuche (bukhari 3906)



Qibla ka badlana (aqsa se khana-e- qaba hona)



Qibla ka badalne ki chahat aap Rasulullah ﷺ ki khawahish thi aap ki dua isi din qabool hui aur peer ke din qibal ka rukh badla gya.

Mangal ka din



Mangal hafte ke hisab se 5va din hai. Yeh sanskrit ka lafz hai jiska lafzi maina "khushi" , "jashn" wagerh hai jesa ke kutub e LUGHAT me hai. (Feroz-ul-lugnat 1361)



Lekin hinduo ke yaha ek jung ke devata ke naam par yeh naam rakha hai.



Mangal ka dusra naam



Mangal ko arabic me "youm-al-salasa" kehte hai aur farsi me "sa-shamba" kehte hai aur angreji me "Tuesday" kehte hai.



Mangal ke din ke fazail



Makruhat ki takhleeq ka din



Hadees :-



وَخَلَقَ الْمَكْرُوهَ يَوْمَ الثُّلَاثَاءِ،



Aur makruhat ko Mangal ke din paida kya



Makruhat se murad buri cheeje .. jese "Tareeqi", "Zulm" , "Gande Haiwanat ".( Lughat al hadees 4/45)



Nez isse woh chije bhi murad hai jin se kaar mua'ash hasil hote hai jese loha wagrh.



(Sharah Sahee Muslim 2/381)



Mangal ke ahkaam wa masail



Nabidh ( نبیز) pina



Hadees :-



Sayedna Ibn Abbas رضي الله عنه ke yaha nabidh ka zikr kiya gaya to unhone farmaya :-

كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُنْتَبَذُ لَهُ أَوَّلَ اللَّيْلِ، فَيَشْرَبُهُ إِذَا أَصْبَحَ يَوْمَهُ ذَلِكَ، وَاللَّيْلَةَ الَّتِي تَجِيءُ، وَالْغَدَ، وَاللَّيْلَةَ الْأُخْرَى، وَالْغَدَ إِلَى الْعَصْرِ، فَإِنْ بَقِيَ شَيْءٌ سَقَاهُ الْخَادِمَ، أَوْ أَمَرَ بِهِ، فَصُبَّ





Rasulullah ﷺ ke liye peer ki raat nabidh banaya jata fr isse aap peer ki raat aur Mangal ke din asar tk pite rehte fir isme se kuch bach jata to khadimo ko pila dete ya isse baha dete.



(Sahi Muslim 2004)



Mangal ki tareekhi waqiyat



Is din sayedna fatima رضي الله عنها ki wafat hu



Sayedna Abu baqr Siddiqui رضي الله عنه ki wafat hui



Budh ka din



Budh hafte ke hisab se 6 din hai aur yeh sanskrit ka lafz hai. Jiska maina hai "Tameez", "Aqal", "Aarif". Hinduo me budh tizarat ka devta hai aur isi ke naam par yeh din ka naam rakha.



Budh ka dusra Naam



Arabic me budh ko "Youm-al-arba" kehte hai, Farsi me "chahar shambha" aur agreji me "Wednesday" kehte hai.



Budh ke fazail.



Noor ki takhleeq ka din



Hadees :- Sahi Muslim 2759



وَخَلَقَ النُّورَ يَوْمَ الْأَرْبِعَاء



Aur noor ko budh ke din paida kiya



Qabooliyat dua ka din



Budh ka din qabooliyat dua ka din hai umeed rakhni chahiye is roz 2 namaz ke darmiya ki jane wali dua Allah ke yaha qabool hogi.



Budh (Wednesday) ke din Zuhr aur asr ke bich dua manga karo in Sha Allah qabool hogi



Hadees :-



سَمِعْتُ جَابِرَ بْنَ عَبْدِ اللَّهِ ، يَقُولُ دَعَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي هَذَا الْمَسْجِدِ ، مَسْجِدِ الْفَتْحِ ، يَوْمَ الاثْنَيْنِ وَيَوْمَ الثُّلاثَاءِ وَيَوْمَ الأَرْبِعَاءِ ، فَاسْتُجِيبَ لَهُ بَيْنَ الصَّلاتَيْنِ مِنْ يَوْمِ الأَرْبِعَاءِ ، قَالَ جَابِرٌ : وَلَمْ يَنْزِلْ بِي أَمْرٌ مُهِمٌّ غائِظٌ إِلا تَوَخَّيْتُ تِلْكَ السَّاعَةَ ، فَدَعَوْتُ اللَّهَ فِيهِ بَيْنَ الصَّلاتَيْنِ يَوْمَ الأَرْبِعَاءِ فِي تِلْكَ السَّاعَةِ ، إِلا عَرَفْتُ الإِجَابَةَ



Jabir bin Abdullah رضي الله عنه se rivayat hai woh kehte hai Rasulallahﷺ ne peer(monday) Mangal(tuesday) aur budh(Wednesday) ke din Masjid Al-Fath me Allah se dua kari unki dua budh ke din Zuhr aur Asr ke bich qubool hui



Jabir رضي الله عنه mere liye koi masla itna zaruri nhi hota jo pura na ho illah yeh ke me Allah se is waqt (budh ke din zuhr aur asr ke darmiya) dua karta aur yeh janta ke woh dua qabool karega.



(Adab al mufrad 703

hasan albani)



Note:- Baa'az log yeh khayal karte hai ke budh ka din manhoos hai khas taur par safar ke mahine ka budh ka din to yeh aqeeda rakhna aur isse manhoos samjhna sarasar galat hai





Jumeraat ka din



Jumeraat hafte ke din ke hisab se 7va din hai. Lafz jumeraat do lafzo se bana hai (juma+ raat) jiska matlub hai jume ki raat ya shabb.



Jumeraat ke dusre naam



Jumeraat ko arabic zubaan me Youm-al-khamees aur farsi zubaan me "panch-shamba" kehte hai aur angreji zubaan me Thursday.



Jumeraat ke fazail



Zameen me janwaro ko felane ka din



ALLAH تعالى ki wajeh nishaniyat me se ek daleel yeh bhi hai ke usne zameen me har qism ke janwaor ko fela diye.



وَ بَثَّ فِیۡہَا مِنۡ کُلِّ دَآبَّۃٍ



"iss mein her qisam kay janwaron ko phela dena"



(Quran 2:164)



وَ مَا یَبُثُّ مِنۡ دَآبَّۃٍ اٰیٰتٌ لِّقَوۡمٍ یُّوۡقِنُوۡنَ



"aur inn janwaron ki pedaeesh mein jinehn woh phelata hai yaqeen rakhney wali qom kay liye boht si nishaniyan hain."



(Quran :- 45:4)



Hadees :- Sahi Muslim 2789



وَبَثَّ فِيهَا الدَّوَابَّ يَوْمَ الْخَمِيسِ



"Aur jumeraat ke din chopaye(janwaro) ko fehlaye"



Rabb ki bargaah me ama'aal ke pesh hone ka din



Is din ki yeh bhi fazilat hai is roz Allah ke yaha bani adam ke ama'aal pesh hote hai :-



Hadees :- Muslim 2565



تُعْرَضُ الْأَعْمَالُ فِي كُلِّ يَوْمِ خَمِيسٍ وَاثْنَيْنِ



"Har jumeraat aur peer ke din Ama'aal pesh kiye jate hai"



Jannat ke darwaze khol diye jate hai



Hadees :- Sahi Muslim 2565



تُفْتَحُ أَبْوَابُ الْجَنَّةِ يَوْمَ الِاثْنَيْنِ وَيَوْمَ الْخَمِيسِ



Peer aur jumerat ke roz jannat ke darwaje khol diye jate hai



Magfirat ka din



Hadees :- Ibn Majah 1740



إِنَّ يَوْمَ الِاثْنَيْنِ وَالْخَمِيسَ يَغْفِرُ اللَّهُ فِيهِمَا لِكُلِّ مُسْلِمٍ إِلَّا مُتَهَاجِرَيْنِ، يَقُولُ : دَعْهُمَا حَتَّى يَصْطَلِحَا



Peer aur jumerat ke din Allah tala har musalmaan ki magfirat farma deta hai siwaye un 2 admi ke jo apas me qata-talluq (baatchite band/dushmani) kar chuke hai woh farmate hai hai unhe chod do yaha tk ke woh sulah karle.



Jumeraat ke din roze ki fazilat



Jumeraat ke din roza rakhna masnun hi nahi, balqe pyare Nabi ﷺ ki sunnat hai. Aur iski wajah bhi yeh hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya is din Ama'aal pesh hote hai aur ne chahta hu ke mere ama'aal roze ki halat me pesh ho (Sunan Nasai 2360)



كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَصُومُ الِاثْنَيْنِ وَالْخَمِيسَ.



Rasulullah ﷺ har peer aur jumerat ke din roza rakhte the



Roze ke muta'alliq pehle guzar chuka hai ke Rasulullah ﷺ peer aur jumerat ke din roza rakhte the. Inki tarteed hadees se sabit hai woh is tarah hai.



Hadees :- Abu Dawood 2451



عَنْ حَفْصَةَ قَالَتْ : كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَصُومُ ثَلَاثَةَ أَيَّامٍ مِنَ الشَّهْرِ : الِاثْنَيْنِ وَالْخَمِيسَ، وَالِاثْنَيْنِ



Syeda Hafsa رضي الله عنها bayan karti hai ke Rasulullah ﷺ har mahine ne 3 roze rakhte pehle (peer aur jumerat ko) fr agle hafte me peer ko.



Jumeraat ke ahkaam wa masail



Safar karna



Sayedna ka'ab bin malik farmate hai ke bohut hi kam esa hua hai ke Rasulullah ﷺ jumeraat ke elawah safar par nikle ho.(Moa'jjam al Awsat 5244)



Aur dusri hadees me farmaya ke Rasulullah ﷺ is baat ko pasnd farmate ke woh jumeraat ko safar par nikle.(Bukhari 2949).



Jumeraat tareekh ke aaine me



1) khaibar par hamla

2) jung e jamal
 
Top