TAWHEED KI KHAATIR TARK e MU'AAMLAAT, BUGHZ (Nafrat) WA ADAAWAT (Dushmani)


TAWHEED KI KHAATIR TARK e MU'AAMLAAT, BUGHZ (Nafrat) WA ADAAWAT (Dushmani)


بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

☆ Dunya mein Dost teen qism ke hote hain:
  1. Dost,
  2. Dost ka Dost,
  3. Dushman ka Dushman (Dost samjha jaata hai).
Isi tarah Dushman ki bhi teen qismein hain:
  1. Dushman,
  2. Dost ka Dushman,
  3. Dushman ka Dost.
☆ Isi Qaa'idey ki roo se har Muwahhid wa Mumin Allaah (تعالى) ka Dost hai aur Mushrik wa Kaafir Allaah (تعالى) ke Dushman hain.

• Tahaawi Hanfi farmaate hain:

والمؤمنون كلهم أولياء الرحمن وأكرمهم عند الله أطوعهم واتبعهم للقرآن

"Tamaam Musalmaan Allaah (تعالى) ke Dost hain aur un mein se zyaadah Qaabil e Izzat woh hain jo Qur'aan ke mawaafiq uski ittebaa karein."
[1]

• Lihaaza ek Musalmaan ki Dosti aur Muhabbat sirf Ahl e Tawheed se hogi, kisi Mushrik se uski Dosti qat'an nahin hosakti, kyunke Mushrik Allaah ka Dushman hota hai aur Musalmaan Allaah ke Dushman ko apna Dushman tasawwur karta hai, aur choonke Muwahhid Allaah (تعالى) ka Dost hai toh doosra Muwahhid aur Musalmaan usey apna Dost samajhta hai.

☆ Hamaari ye Ummat e Muhammadiyah (ﷺ) Millat e Ibraaheemi par hai jaisa ke Hukm kiya gaya ☆

ثُمَّ أَوۡحَیۡنَاۤ إِلَیۡكَ أَنِ ٱتَّبِعۡ مِلَّةَ إِبۡرَ ٰ⁠هِیمَ حَنِیفࣰاۖ وَمَا كَانَ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِینَ

"Aur Hum ne Aap ki taraf (Aye Muhammad ﷺ) ye Wahee kee hai ke Aap Ibraaheem (عليه السلام) ki Millat ki pairwi karein, jo ke Haneef the (Akele Allaah (تعالى) ko maanne aur uski ibaadat karne waale the), jo Mushrikeen mein se na the."
[2]

☆ Ibraaheem (عليه السلام) ki Millat ye hai ke Mushrikeen se alaihidgi (judaayi) aur Elaan e Baraa'at kiya jaaye ☆

• Allaah (تعالى) ka irshaad hai:

قَدۡ کَانَتۡ لَکُمۡ اُسۡوَۃٌ حَسَنَةٌ فِیۡۤ اِبۡرٰهِیۡمَ وَ الَّذِیۡنَ مَعَهٗ ۚ اِذۡ قَالُوۡا لِقَوۡمِهِمۡ اِنَّا بُرَءٰٓؤُا مِنۡکُمۡ وَ مِمَّا تَعۡبُدُوۡنَ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ کَفَرۡنَا بِکُمۡ وَ بَدَا بَیۡنَنَا وَ بَیۡنَکُمُ الۡعَدَاوَۃُ وَ الۡبَغۡضَآءُ اَبَدًا حَتّٰی تُؤۡمِنُوۡا بِاللّٰہِ وَحۡدَہٗۤ

"(Aye Musalmaanon) Tumhaare liye Ibraaheem (عليه السلام) aur Aap ke saathiyon mein behtareen namoonah hai ke unhone apni (Mushrik) Qaum se kaha tha ke hum tum se aur jin ki tum Allaah ke alaawah ibaadat karte ho un sab se bezaar hain, hum tumhaara aur tumhaare ma'boodon ka inkaar karte hain, hamaare aur tumhaare darmiyaan hameshah ke liye Bughz (nafrat) aur 'Adaawat (Dushmani) zaahir hochuka hai (aur hameshah rahega kabhi khatm nahin hoga) ke jab tak tum (tamaam Ma'boodaan e Baatilah ko chhord kar) Ek Allaah ke maanne waale banjaao." [3]

Is Aayat e Kareemah mein ye ta'leem maujood hai ke Deen e Islaam mein ek Muwahhid ke liye kisi Mushrik se Dosti ki koi gunjaayish nahin hai, Dunyaawi kaarobaar aur Leyn Deyn chalte rahenge lekin kisi Musalmaan ka Dil kisi Mushrik se maanoos (attached) na hoga, kyunke Mushrik bazaahir kitni hi Muhabbat aur Wafaadaari ka iz'haar karey lekin darhaqeeqat woh kisi Muwahhid se khush nahin hota aur uski Taraqqi wa Bhalaayi usey hargiz pasand nahin hoti, Allaah (تعالى) ka farmaan hai:

مَّا یَوَدُّ ٱلَّذِینَ كَفَرُوا۟ مِنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَـٰبِ وَلَا ٱلۡمُشۡرِكِینَ أَن یُنَزَّلَ عَلَیۡكُم مِّنۡ خَیۡرࣲ مِّن رَّبِّكُمۡۚ

"Ahl e Kitaab aur Mushrik kabhi bhi ye pasand nahin karte ke Allaah (تعالى) ki taraf se Musalmaanon par kisi Bhalaayi aur Meherbaani ka nuzool ho." [4]

• Lihaaza Musalmaanon ko Ghairat karni chaahiye ke woh kis tarah aisey logon ko apna Dost samajhte Ya un se Dosti karte hain, kya woh ye nahin sochte ke jo log apne (Rabb Allaah) Mun'im e Haqeeqi jis ne unhein paida kiya, Rizq ataa kiya aur har tarah ki Ni'maton se nawaaza, Us ke Dushman aur Baaghi bankar Uske saath Shirk karne lagey hain toh woh kisi aur ke kaise Khayr Khwaah hosakte hain ?

'Abdul-Mudhill Hafizahullah》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ )

_____________

References:

[1] Al-'Aqeedah Al-Tahaawiyah, Pg: 66.


[2] Soorah No. 16, Al-Nahl, Aayah: 123.

[3] Soorah No. 60, Al-Mumtahinah, Aayah: 4.

[4] Soorah No. 2, Al-Baqarah, Aayah: 105.


[Kitaab: Tawheed e Rabbaani, Pg: 98-100, Writer: Badee' Uddeen Shaah Raashdi]
 
Last edited:

Similar threads


Top