Kya Kisi Haram Cheez Ka Naam Leney Sey Chaalis (40) Din Ki Ibadat Qubool Nahi Hoti?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya Kisi Haram Cheez Ka Naam Leney Sey Chaalis (40) Din Ki Ibadat Qubool Nahi Hoti?

Tehreer: Sheikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Logon Ney Apney Man Sey Ye Mashhoor Kar Rakha Hai Ke Kisi Haram Cheez Ka Naam Leney Sey Chaalis (40) Din Tak Ibadat Qubool Nahi Hoti Hai Jabkey Quran o Hadees Mein Aisi Koi Baat Nahi Hai. Han Ye Zaroor Hai Ki Zaban Sey Haq Baat Hi Bolen Ya Fir Khamoosh Rahen Kiunki Zaban Sey Gandi Cheezen Nikalna Ya Haram Baaton Ka Tazkirah (Zikr) Karna Qabil e Girift Hai (Yaani Ispar Pakad Ho Sakti Hai).

عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ـ رضى الله عنهما ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فِيمَا يَرْوِي عَنْ رَبِّهِ عَزَّ وَجَلَّ قَالَ قَالَ: إِنَّ اللَّهَ كَتَبَ الْحَسَنَاتِ وَالسَّيِّئَاتِ، ثُمَّ بَيَّنَ ذَلِكَ فَمَنْ هَمَّ بِحَسَنَةٍ فَلَمْ يَعْمَلْهَا كَتَبَهَا اللَّهُ لَهُ عِنْدَهُ حَسَنَةً كَامِلَةً، فَإِنْ هُوَ هَمَّ بِهَا فَعَمِلَهَا كَتَبَهَا اللَّهُ لَهُ عِنْدَهُ عَشْرَ حَسَنَاتٍ إِلَى سَبْعِ مِائَةِ ضِعْفٍ إِلَى أَضْعَافٍ كَثِيرَةٍ، وَمَنْ هَمَّ بِسَيِّئَةٍ فَلَمْ يَعْمَلْهَا كَتَبَهَا اللَّهُ لَهُ عِنْدَهُ حَسَنَةً كَامِلَةً، فَإِنْ هُوَ هَمَّ بِهَا فَعَمِلَهَا كَتَبَهَا اللَّهُ لَهُ سَيِّئَةً وَاحِدَةً​
Tarjumah: Ibne Abbas Radhiallahu Anhuma ne Bayan Kiya Ke Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ek Hadees e Qudsi Mein Farmaya:
Allah Ta’ala Ne Nekiyan or Buraiyan Likh Di Hain or Zahir Kar Diya Hai Ke Ye Neki Hai Or Ye Burai Hai, Pas Jisney Neki Ka Sirf Iradah Kiya Or Abhi Amal Nahi Kiya To Allah Ta'ala Uskey Naama e Aamal Mein Poori Neki Likhega or Jisney Neki Ka Iradah Karkey Amal Bhi Kar Liya To Uskey Namaa e Aamaal Mein 10 Sey 700 Tak Balki or Dugni (Double) Tigni (Triple) Jitni Chaheyga Nekiyan Likh Dega or Jisney Burai Ka Irada Kiya Lekin (Allah Sey Dar Kar) Murtakib Nahi Hua (Means Allah Sey Dar Kar Burai Nahi Ki) Uskey Liye Bhi Ek Poori Neki Ka Sawaab Likheyga or Jisney Iradah Karkey Burai Kar Bhi Li To Uskey Liye Ek Hi Gunah Likheyga.
(Sahih Bukhari: 6491)

Ab Mein Kuch A’amaal Ka Tazkirah (Zikr) Kar Deyta Hun Jinkey Karney Sey 40 Din Ki Ibadat Qubool Nahi Ki Jaati Hai:
➊ Kaahin Key Paas Aana:
عن بعض أزواج النبى صلى الله عليه وسلم أنه قال: من أتى عرافا فسأله عن شيء لم تقبل له صلاة أربعين ليلة​
Tarjumah: Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Baaz Biwiyon Sey Riwayat Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Jo Kahin (Diviner) Key Paas Aaye or Ussey Kuch Poochey To 40 Raat Tak Uski Ibadat Qubool Nahi Hoti.
(Sahih Muslim: 2230)

➋ Sharaab Peena:
مَنْ شَرِبَ الْخَمْرَ لَمْ يَقْبَلِ اللَّهُ لَهُ صَلاَةً أَرْبَعِينَ صَبَاحًا فَإِنْ تَابَ تَابَ اللَّهُ عَلَيْهِ فَإِنْ عَادَ لَمْ يَقْبَلِ اللَّهُ لَهُ صَلاَةً أَرْبَعِينَ صَبَاحًا فَإِنْ تَابَ تَابَ اللَّهُ عَلَيْهِ فَإِنْ عَادَ لَمْ يَقْبَلِ اللَّهُ لَهُ صَلاَةً أَرْبَعِينَ صَبَاحًا فَإِنْ تَابَ تَابَ اللَّهُ عَلَيْهِ فَإِنْ عَادَ الرَّابِعَةَ لَمْ يَقْبَلِ اللَّهُ لَهُ صَلاَةً أَرْبَعِينَ صَبَاحًا فَإِنْ تَابَ لَمْ يَتُبِ اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَقَاهُ مِنْ نَهْرِ الْخَبَالِِ. قِيلَ يَا أَبَا عَبْدِ الرَّحْمَنِ وَمَا نَهْرُ الْخَبَالِ قَالَ نَهْرٌ مِنْ صَدِيدِ أَهْلِ النَّارِ​
Tarjumah: Jisney Sharaab Pee To Allah Ta’ala Uski 40 Dino Ki Namazen Qubool Nahi Karta or Agar Tauba Kar Le To Allah Ta’ala Uski Tauba Qubool Farma Leta Hai Agar Doobara Lauta (Yaani Sharaab Pee) To Allah Uski 40 Dino Ki Namazen Qubool Nahi Farmata or Agar Tauba Kar Li To Allah Ta’ala Uski Tauba Qubool Farma Leta Hai or Agar (Teesri Baar) Fir Lauta To Allah Ta’ala Fir Uski 40 Dino Ki Namazein Qubool Nahi Farmata or Agar Tauba Kar Le To Allah Ta’ala Tauba Qubool Kar Leta Hai Or Agar Chauthi Baar Lauta To Allah Ta’ala Uski 40 Dino Ki Namazen Qubool Nahi Farmata or Agar Tauba Karey To Allah Uski Tauba Qubool Nahi Farmata or Usey Nahr ul Khabal Sey Pilayega. Kaha Gaya Aye Abu Abdurrahman! (Hazrat Ibne Umar Radhiallahu Anhuma Ki Kunniyat Hai) Nahr e Khabal Kya Hai? Unho Ne Farmaya: Jahannamiyon Ki Peep Ki Nahar Hai.
Ek Doosri Riwayat Mein Hai “Jisney Sharaab Pee, Allah Ta’ala Ussey 40 Raatein Raazi Nhi Hota. Agar Wo (Usi Halat Mein) Mar Gaya To Kufr Ki Maut Mra or Agar Tauba Kar Li To Allah Uski Tauba Qubool Kar Leta Hai or Agar Doobara Ye Harkat Ki (Yaani Doobara Sharaab Pee) To Allah Ta’ala Ka Ye Haq Hai Ke Usey Teenat al Khabal Se Pilaye. Hazrat Asma Bint e Yazeed Radhiallahu Anha Bayan Karti Hain Ki Meiney Poocha: Aye Allah Key Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Teenat al Khabal Kya Cheez Hai? Farmaya: Jahannamiyon Ki Peep Hai.”
(Musnad Ahmad: 27475, Iski Sanad Jayyid Hai)

➌ Haraam Ka Luqma Khana:
Ek Riwayat Hai Key Haram Ka Ek Luqma Khaney Se Bhi 40 Din Ki Ibadat Qubool Nahi Hoti. Riwayat Kuch Is Tarah Hai:
والذي نفس محمد بيده إن العبد ليقذف اللقمة الحرام في جوفه ما يتقبل منه عمل أربعين يوماً۔​
Tarjumah: Qasam Hai Us Zaat Ki Jis Key Qabzey Mein Mohammad Ki Jaan Hai, Banda Jab Apney Pait Mein Haram Ka Ek Luqma Daalta Hai To 40 Din Tak Uski Ibadat Qubool Nahi Ki Jaati.
❗Is Riwayat Ko Allama Albani Rahimahullah Ne Sakht Zaeef Kaha Hai, Baaz Ne Is Hadees Ko Munkar Kaha Hai. Is Liye Is Hadees Se Istidlaal (Yaani Daleel Pakadna) Sahih Nahi Hai.
واللہ اعلم بالصواب​
 

Top