Hajj Se Mutalliq Aurton Ke Naam pe Aik Naya Taqleedi Fitnah


Umar Asari

Administrator
Staff member
Hajj Se Mutalliq Aurton Ke Naam pe Aik Naya Taqleedi Fitnah

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Hajj pe aayi hue khawateen ke mutalliq Mufti Junaid bin Mohammad Palanpoori (Mumbai) ne fatwa diya hai ke “Aurton ko Makkah aur Madinah mein hotel ke kamrey mein namaz padhni chahiye. Masjid mein jaana Hadees ke according galat hai. Hamari aurtain doosri aurton ki dekha dekhi masjid mein jaana shuru kar deti hain jo na-munasib amal hai”. (saath mein fatwa ka image laga diya hai).
14053913_1835483190015563_6991769821441570389_o.jpg

Mujhey hairat hai is be-tukey (irrational) aur jihalat bharey fatwe par aur afsos itna zadah hai ke kuch kah nahi sakta.
Yeh apni man-maani aur apney nafs ki khawahish ko Shariyat ka naam detey hain aur khud bhi us par amal kartey hain aur duniya walon ko bhi zabardasti amal karwaatey hain. Aurtein Masjid mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamaney se namaz ada karti aa rahi hain, unhein rokney wala Munkir e Hadees (Hadees ka inkaar karney wala) to ho sakta hai lekin Quran o Hadees ki ittebaa karney wala kabhi nahi ho sakta. Sahih Bukhari aur Sahih Muslim ki wazeh Hadees dekhen.
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
لاَ تَمْنَعُوا إِمَاءَ اللَّهِ مَسَاجِدَ اللَّهِ​
Tarjumah: Allah ki bandiyon ko Allah ki Masjidon mein aaney se mat roko.
(Sahih Bukhari: 900 and Sahih Muslim: 442)

Is Hadees ke according kisi ko yeh haq nahi pahunchta ki Muslim aurton ko Allah ke ghar mein namaz parhney se mana karey aur khaas kar Masjid e Haraam aur Masjid e Nabwi mein.
Naseeb se kisi ko Hajj ki sa’adat milti hai, is sa’adat mein rukaawat daalna aur badey ajr o sawaab ke kaam se mahroom karna aurton ke liye hirmaan e naseebi hai. Harmain Shareefain ka taqaddus aur ehtram, wahan ki ziyarat aur un mein namaz o ibadat ka amal duniya ke masjidon se hazaron darja ooncha hai.
Masjid ul Haram mein aik waqt ki namaz duniya ki doosri masjidon ke muqaabley mein 55 saal ki namaz se badh kar hai aur Masjid e Nabwi mein aik waqt ki namaz duniya ki doosri masjidon mein 6 mahiney 20 din se badh kar hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
عَنْ جَابِرٍ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ قَالَ‏ صَلاَةٌ فِي مَسْجِدِي أَفْضَلُ مِنْ أَلْفِ صَلاَةٍ فِيمَا سِوَاهُ إِلاَّ الْمَسْجِدَ الْحَرَامَ وَصَلاَةٌ فِي الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ أَفْضَلُ مِنْ مِائَةِ أَلْفِ صَلاَةٍ فِيمَا سِوَاهُ ‏​
Tarjumah: Hazrat Jabir Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki meri is masjid mein namaz (ajr ke aitbaar se) doosri masjidon mein namaz padhney se aik hazaar guna afzal hai siwaye Masjid e Haraam ke, aur Masjid e Haraam mein aik namaz padhna kisi doosri masjid ki aik Lakh namazon se afzal hai.
(Ibn e Majah: 1406)

Kabhi aurton ko marketplaces, makhloot (co-ed) colleges, parks, cinema halls, makhloot ijtimaaon aur bheed bhaad (rush) wali makhloot (jahan mard o aurat dono hon) jaghon (places) se nahi roka hoga aur wahan jaaney se itni shiddat ke saath nahi mana kiya hoga jitni shiddat se masjidoon se mana kartey hain. Aur Harmain Shareefain baghair shak ke sab se muqaddas maqam hai jahan ki ziyarat ka hukm jahan mardon ko hai wahein aurton ko bhi hai.
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
لاَ تُشَدُّ الرِّحَالُ إِلاَّ إِلَى ثَلاَثَةِ مَسَاجِدَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ، وَمَسْجِدِ الرَّسُولِ صلى الله عليه وسلم وَمَسْجِدِ الأَقْصَى​
Tarjumah: Teen masjidon ke siwa kisi ke liye kajawe na baandhey jaayen. (yaani safar na kiya jaaye) Aik Masjid e Haraam, doosri Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki masjid (yani Masjid e Nabwi) aur teesri Masjid e Aqsa (yani bait ul muqaddas).
(Sahih Bukhari: 1189)

Koi bataye ziyarat kisey kehtey hain aur kya Harmain Shareefain ki masjidon ki ziyarat aurton ke liye nahi? Agar aurton ke liye bhi ziyarat masnoon hai to ziyarat mein kya kya aa’maal anjaam dena chahiye? Kya un aa’maal mein namaz daakhil nahi hai?
Agar kisi ko Hajj se mutalliq aurton ke liye fatwa dena hi hai to yeh fatwa de ki bagair mehram ke safar karna haraam hai. Bagair pardah Hajj karna gunah hai aksar aurtein be-parda ho kar apney aur doosron ka Hajj barbaad karti hain kiyunki un ke yahan yeh tasawwur paaya jata hai ki Hajj mein chehra nahi dhakna hai jabki Hajj ho ya Hajj ke alawah koi doosra mauqa ho har jagah aurat ko ajnabi mardon se parda karna hai.
Agar aurton ko mashwara (advise) dena tha to yeh detey ke mardon ki saf se alag ho kar chalney ki koshish karen, apni zeenat ka izhaar na karen, bhadkeelay ya tang aur bareek libaas hargiz na lagayen (pehney). Agar in saari baaton ki taraf mufti hazrat dhiyaan dilaayen to bohot mumkin hai ki Hajj ke andar sabhi ke liye pakeezgi hogi aur Hajj ka fareeza pakeezgi se ada hoga.
Hajj ka aksar hissa Masjid e Haraam se juda hai, aurat ho ya mard dono ko pehlay Haram mein daakhil hona hai aur Hajj se wapsi bhi haram se hi judi hue hai. Kitni ajeeb baat hai aurat Haram e Shareef mein Tawaaf aur Sa’ee karey magar wahan namaz ada na karey balki apney hotel mein ada karey

Allah Taala aisay logon ko aql e saleem ataa farmaye. Aameen.
 

Similar threads


Top