Umar Asari

Administrator
Staff member
HAMELA AUR DOODH PILANE WALI AURAT KA ROZA

TAHREER: Shaikh ghulam mustafa zaheer aman poori hafizahullah

Romanised: Hafiz Muhammad Shahed

Allah rabbul izzat ka ye Ehsan e azeem hai ke usne apne bandon ke liye Aasaan tareen deen ka intekhaab kiya aur unko rukhsaton se nawaza hai, Hamela aurat aur bachche ko doodh pilane wali aurat ko ye rukhsat ata farmayi hai ke Agar wo apni jismani kamzori ya apne bachche ki kamzori ya doodh me nuqsan ka khatra mahsoos karen to roza Na rakhen, balke har roze ke badle Mein ek miskeen ko khana khila den, uss par qaza bhi nahi hai.

Jaise ke sayyiduna Anas bin malik (razi Allahu ta'la anhu) se riwayat hai:
أَغَارَتْ عَلَيْنَا خَيْلُ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَأَتَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَوَجَدْتُهُ يَتَغَدَّى، فَقَالَ: ادْنُ فَكُلْ. فَقُلْتُ: إِنِّي صَائِمٌ. فَقَالَ: ادْنُ أُحَدِّثْكَ عَنِ الصَّوْمِ أَوِ الصِّيَامِ: إِنَّ اللَّهَ تَعَالَى وَضَعَ عَنِ الْمُسَافِرِ الصَّوْمَ وَشَطْرَ الصَّلَاةِ، وَعَنِ الْحَامِلِ، أَوِ الْمُرْضِعِ الصَّوْمَ أَوِ الصِّيَامَ. وَاللَّهِ، لَقَدْ قَالَهُمَا النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كِلَيْهِمَا، أَوْ إِحْدَاهُمَا، فَيَا لَهْفَ نَفْسِي أَنْ لَا أَكُونَ طَعِمْتُ مِنْ طَعَامِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ​
"Hum per Allah ke rasool (sallalahu alaihi aa sallam) ke ghode chardh Aaye to main aap ki khidmat me hazir hua, aap dopehar ka khana kha rahe the, aap ne farmaya , qareeb ho aur khaa, maine Arz kia, main rozedaar hoon, farmaya, qareeb hoja ke main tujhe roze ya rozon ke bare me bataun, yaqeenan Allah ta'la ne musafir ko roza aur Aadhi namaz mu'af kardi hai, Neez hamela aur doodh pilane wali aurat ko bhi roza ya roze mu'af kar diye hai. Allah ki qasam! nabi kareem (sallalahu alaihi wa sallam) ne dono kalimat (roza ya roze) kaha ya in dono Mein se ek kaha, Afsos ke main ne nabi kareem (sallalahu alaihi wa sallam) ka khana Na khaya!
(Sunan Tirmizi: 715, Sunan abi dawood: 2408, sunan nisai: 2279, Sunan ibne majah: 1667. Hasan)
Iss hadees ko imam tirmizi ne hasan aur imam ibne khuzaima 2044 ne saheeh kaha hai.

Sayyiduna Abdullah bin umar (razi Allahu ta'la anhu) se aysi hamela aurat ke bare main poocha gaya jise apne bache ke nuqsan ka khatra ho, Aap (Razi Allahu anhu) ne farmaya:
"wo Roza chordh de, is ke badle me ek miskeen ko ek 'MUD'. (taqreeban nisf kilogram) gandum de de."
(As sunan al kubra Lil behaqi 4/230, wasanaduhu sahih)

Sayyiduna Abdullah bin umar (razi Allahu ta'la anhu) se ek hamela Aurat Ne roze ke bare mein poocha to aap ne farmaya:
أفطری، أطعمی عن کل یوم مسکیناً ولا تقضی​
"Tu roza chord de aur har din ke badle me ek miskeen ko khana khilade, phir qaza na de."
(sunan Darqutni: 1/207, Hadees:2363 Wa sanaduhu sahih)

Nafe' bayan karte hain ke sayyiduna Abdullah bin umar (razi Allahu ta'la anhu) ki ek beti ek quraish ke nikah me thi, wo hamela thi, ramazan me usne piyas mehsoos ki to aap ne usko hukm diya ke roza chord de, har roze ke badle me ek miskeen ko khana khilade."
(Sunan Darqutni: 1/207, Hadees: 2364 Wa sanaduhu sahih)

sayyiduna Abdullah bin abbas (razi Allahu ta'la anhu) farmane bare ta'la
وَعَلَی الَّذِیۡنَ یُطِیۡقُوۡنَہٗ فِدۡیَۃٌ طَعَامُ مِسۡکِیۡنٍ
(البقرۃ:۱۸۴)​
ki tafseer me farmate hain:
أثبتت للحبلي والمرضع​
"ye Ayat hamela aur doodh pilane wali aurat ke liye sabit (ghair mansookh) rakh di gayi hai."
(Sunan abi dawood: 3217, wa sanaduhu sahih)

Azeem ta'baee sa'eed Bin Jubair Rahimahullah, hamela aur bachche ko dhoodh pilane wali Aurat jo apne bache ke hawale se darti ho ke baare mein farmate hain ke ye dono roza na rakhen, har roze ke badle ek miskeen ko khana khila den, chodhe hue roze ki qazayi bhi in dono par nahi hai.
(Musannaf abdur razzaq: 4/216, Hadees: 7555, wa sanaduhu sahih)

Baaz Ahle ilm ka ye kehna hai ke ye dono roze ki qazayi bhi denge, Be daleel hone ki wajah se Na qabil e iltefaat hai.

AL HASIL: Hamela aur bache ko doodh pilane wali aurat dono roze na rakhe, balke har roze ke badle Mein ek miskeen ko khana khilade, In per koi qazayi Nahi.

[Mahnama Assunnah, Shumara:11, Safa:44-45]
 

Similar threads


Top