4 Din Qurbani ki mashruiyat par dalalat e lugat


Abdul Adil

Member
4 Din Qurbani ki mashruiyat par dalalat e lugat

Tahreer :-
Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Ustad E Mohtaram Doctor Muhammad Mufazzil Madani Hafizahullah Likhte hai , mazkoorah dalail ke alawa Ayyam e Tashreeq ki wajah tasmiyah bhi 13 Jil-Hijjah ki qurbani ke jawaz par dalalat karti hai , Chunancha Allama Ibne Hajar Rahimahullah Fatahul Bari Jild-4 Safa-242 me is silsile me likhte hai

وسميت أيام التشريق لأن لحوم الأضاحى تشرق فيها أي تنشر في الشمس وقيل لأن الهدى لا ينحر حتى تشرق الشمس

Yani In Teeno dino ko (11,12,13) Ayyam e Tashreeq is liye kaha jata hai ki in dinon me qurbani ke gost ko dhoop me sookhne me liye failaya jata hai , nez is silsile me ye bat bhi kahi gayi hai ki chunki qurbani ke janwar sooraj chamakne se pahle jabah nahi kiye jate

[مسجله" التـوعيـهنئی دهلی ستمبر ۱۹۹۱ص٣٦]

Maulana Inamullah Sahab Qasmi Likhte hai : Is qaul yani wajah tasmiyah bamujab Ayyam e Tashreeq ka itlaaq jitne dino par bhi hoga uska talluq jabiha aur qurbani se hoga , kyunki koyi aisa din jisme qurbani jayez na ho Tashreeq ka din nahi kaha ja sakta lihaza jab Yaum un nahar ke baad 3 dino ko ba-ijma ummat Tashreeq kaha gaya to qurbani bhi Yaum un nahar ke baad 3 dino tak jayez hogi.

[Ayyam E Qurbani Safa-22]
 

Top